To Dosto, jaisa ki hum abhi tak Jan hi chuke the, ki kaal ne rohit mehra ke DNA ka istemal karke ek naye bache ko janm dene ka plan bnaya tha. Or sirf plan hi nahi usne iss experiment ko execute bhi kiya or kayi dikkato ke bad usne ek aese bache ko janm diya jisme kaal rohit mehra, or kayi species ke DNA fused the. Lekin bas itna hi nahi, kaal ne ise ek high tech AI functioning device se bhi less kiya tha, jisme usne apni memories, apne future plans, uski khud ki origin or kayi data upload kiya. Kaal ka kehna tha ki ise wo sab pata hona chahiye jo mujhe nahi pta tha, ki ye Kese bana or iske sath kya kya hua.
Lekin isi ke sath kaal ne isme ek or device Inbuilt kari thi, jo iske brain ki capability ko kayi guna tak bhadane ka kam karti thi. Yani jo bhi body ka brain functioning karne wala hoga, ye device manually use kayi level tak bhadda degi. Lekin filhal, iss body ko complete generate or grow hone me abhi kafi lamba samye lagne wala tha. Ye process lagbhag aesi hi thi, jaise ek test tube baby ki growth ke sath hota hai. Kaal chahta to uss device ki madat se bache ki growth ko bhi bhadda sakta tha, lekin usne ye risk nahi liya. Uska kehna tha bhale hi ise banane me 1 sal lag jaye, lekin ye banega perfect hi.
Ab iske bad kaal ne rohit mehra ka bone marrow liya or Krrish se laddne nikal padda or uske bad kya hua ye to hum sab jante hi hain. Lekin ab agar apni current story par aye to yaha Krrishna priya ko apni diary ka teesra chapter sunane ja rha tha, or ab ye sapna uske uss waqt ka tha jab uske papa ki death ho chuki thi, or Krrish ka beta bhi paida ho chuka tha. Apne iss sapne ki taraf bhadate huye Krrishna btata hai ‘mujhe lgta tha ki mujhe apne sapno me sirf wo dikh rha hai jo papa ki najaro ne dekha tha. Lekin nahi priya mujhe wo sapne bhi aye jaha papa maujood nahi the, yaha tak ki papa ke jane ke bad ke sapne.
Ab yaha Krrishna btata hai, ‘ priya mujhe wo phle hi dikh chuka hai, mene use din ba din bhaddte huye dekha hai, itne salo me mene aese kayi kisse dekhe jab wo jaga, chillaya, uski powers itni jyada or ajeeb thi ki sirf uske cheekh ane par hi waha tabahi ho gayi. Uski dekhabal karne wale scientist tak jakhmi ho gaye. Lekin ek din ek din wo utha gaya, uska apne mind par puri tarah control aa gya or phir…. Ye kehte hi wo ruk jata hai, kuki diary ka page palatate time uski najar ek drawing par paddti hai, jise usne banaya tha.
Priya ise dekhti hai, or boht jyada chauk jati hai. Or ghabra ke khadi ho jati hai. Ab filhal aesa kya tha uss drawing me, krishna ne aesa kya bna rkha tha, jise dekh priya itna chauk gayi… Hum ye sab jaenge boht jald, bad thoda sa intejar or… Hum milenge apse next blog me kaal ke bete ki tasveer lekar!
Brahmastra 2
फिल्म ब्रह्मास्त्र को अगर रोमांटिक फेयरीटेल के साथ-साथ सुपरनैचुरल फॉर्मेट वाली फिल्म कहा जाएगा तो ये कोई गलत बात नहीं होगी, क्योंकि फिल्म की ऐसी