Operation Vajra ki taiyaari poori ho chuki hoti hai. Udhar Afghanistan ka padosi desh Tajikistan India ko uska airport use karne ki permission de deta hai, Indian Air Force ke 2 C-130J super Hercules aircraft or 2 Tejas fighter jets Tajikistan pahunch jaate hai. Ek aircraft ke andar command center banaya jaata hai, vahi doosre aircraft ke andar medical center banaya jaata hai. Doosri taraf, India mein Tiger ( Salman Khan ), Karan ( Anant Vidhaat Sharma ) aur Garud commandos Afghanistan ke liye nikal jaate hai. Hum dekhte hai ki raat ke andhere mein 2 C-17 Globemaster aircraft Afghanistan ke airspace mein ghuste hai or Bagram airbase ki taraf badh rahe hote hai. Kuch time baad pehla aircraft Bagram airbase ke upar land karta hai, jab ye pehla aircraft rukta hai to iske andar se shatrujeet brigade ke soldiers nikalte hai or aircraft ke chaaro taraf positions le lete hai. Jiske baad aircraft ka back door khulta hai jisme se sabse pehle ek Land rover car nikalti hai, uske peeche peeche ek Audi car nikalti hai, or uske peeche ek aur Land rover car nikalti hai. Ye teeno cars same to same vaise hi cars hoti hai jaise Muhammad Hassan ( Pradhuman Singh ) apne kaafile mein use karta hai. Ye teeno cars runway se hokar old terminal building ki taraf jaati hai, jahan par hostages ko rakha gaya hota hai. Audi ke andar Karan baitha hota hai jo ki Muhammad Hassan ki tarah dikh raha hota hai, usi car mein Tiger or sath mein kuch Garud commandos bhi chupe hote hai. Baaki ki do Land rover cars mein bhi Garud commandos chupe huye hote hai.
Jab ye cars old terminal building se kuch doori par hoti hai to ek Talibani aatanki inhe dekh leta hai, lekin use lagta hai ki car mein Muhammad Hassan baitha hai isliye vo cars ko nhi rokta hai. Jab ye cars old terminal building ke pass pahunch jaati hai to in teeno cars mein se Tiger aur Garud commandos badi teji se nikalte hai or old terminal building ka darvaaja todte huye andar main hall mein ghus jaate hai. Main hall mein enter hone ke baad Tiger dekhta hai ki jyadatar hostage soo rahe hote hai, Tiger or baaki ke commandos vahan mojood chaar mein se teen hijackers ko palak jhapakte hi maar dete hai lekin ek Hijacker kuch goliyan fire karne ke baad maara jaata hai. Tiger vahan mojood ghabraaye huye hostages ko shaant hone or ese hi jameen par lete rehne ke liye kehta hai. Hijackers ki suraksha mein tainaat Talibani aatanki Tiger or Garud commandos par firing karne lagte hai. Iss firing mein ab tak 12 Talibani aatanki maare Jaa chuke the or kai ghayal bhi the. Plan ke mutaabik Indian Air Force ke or 2 C-17 Globemaster aircraft Afghanistan mein enter kar jaate hai or Bagram airbase par land karne hi waale hote hai, ki tabhi koii aatanki Bagram airbase ki electricity cut kar deta hai. Ab kyunki runway par light nhi hoti hai to vo dono aircraft land nhi kar paate hai, idhar l light na hone ka faayda uthakar kuch Talibani aatanki main hall ke pass aa jaate hai jahan par sabhi hostages, Tiger aur Garud commandos hote hai.
Hum dekhte hai ki main hall mein kaafi firing hona start ho jaati hai, Tiger aur commandos apne night vision goggles ki madad se main hall mein mojood sabhi Talibani aatankiyon ko maar dete hai. Shatrujeet brigade ke kuch soldiers firse Bagram airbase ki electricity supply on kar dete hai, jab main hall mein light aati hai to Tiger dekhta hai ki cross firing mein 2 hostages ki death ho chuki hoti hai or 3 hostages ghayal ho chuke hote hai. Bagram airbase ki electricity vaapas aane ki vajah se runway ki lights bhi on ho jaati hai, jiske baad vo dono C-17 Globemaster aircraft bhi Bagram airbase ke upar land karte hai jinme se kuch or commandos bahar nikalte hai. Commandos ki kai team hostages ko un aircrafts ki taraf le jaate hai, kuch hi minutes mein saare hostages ko aircrafts mein baitha diya jaata hai. Tiger, Karan aur baaki ke Garud Commandos bhi aircraft mein vaapas aa jaate hai, jiske baad vo teeno aircraft Afghanistan se take off karke Tajikistan land karte hai. Iss Hijacking ka master mind Moosa ( Emraan Hashmi ) apni jaan bachaane ke liye Pakistan bhaag jaata hai. Tajikistan mein land karne ke baad Tiger iss mission ke successful hone ki khabar Shenoy ko deta hai, Shenoy Tiger se vaapas India aane ke liye kehta hai. Lekin Tiger kehta hai ki uski family uska intezar kar rahi hai, jiske baad Tiger Tajikistan se hi vaapas apni family ke pass chala jaata hai. End mein hum dekhte hai ki bachaye huye hostages ka aircraft Indira Gandhi international airport par land karta hai, or isi ke saath ye kahani yhi par end hoti hai.