Daniel Punjab ke Gurdaspur se taaluk rakhte hai, jinhe Pakistan ne saal 1993 me pakad liya tha. Daniel ko Pakistan me kareeb 4 saal ki jail hui thi. Daniel philaal rickshaw chala kar apna guzara karte hai. Daniel ka kehna hai ki jab woh Pakistaniyon dwara pakde gaye toh Bhartiya adhikaari jinhone Daniel ko border par bheja tha, unhone Daniel ko pehchaane aur madad karne se saaf inkaar kar diya. Daniel ka kehna hai ki, woh Pakistan ki jail me kayi Indians se mile jinhe bhi jasoosi ke jurm me bandi banaya gaya tha. Daniel jab Bharat waapas laute toh unhone apna experience ek TV reporter se saajha kiya, jisme unhone iss baat ka khulasa kiya ki, kisi ne unki madad nahi ki. iske badle unhe indian Police dwara torture kiya gaya aur ek joothi file report ki gayi, ki woh khud apni marzi se Pakistan gaye the. Daniel ne bataya ki unhe Pakistan ki Sialkot jail me rakha gaya tha jaha pe unhe khoob torture kiya jaata tha. Pakistani unhe peetne ke alawa electric shock bhi dete the. Daniel ke anusaar unhone RAW ke liye kaam karna issiliye shuru kiya kyunki unhe paise aur government job milne ka offer diya gaya tha. 1992 me Daniel ko Pakistan bheja gaya tha. Daniel ne bataya ki unn dino sirf India ke border pe fences yani बाड lagaya hua tha. बाड mtlb barrier jise koi cross na kar paye. Issiliye border ke paar(पार) jaana mushkil nahi hota tha aur isme unki madad BSF ke jawaan bhi karte the. Daniel jab Pakistan pahuche, toh woh Lala Bashir naam ke aadmi ke contact me rahe, jinhone Daniel ko aage ki planning samjhayi. Daniel apne RAW ke dino ko yaad kar kehte hai, ki unhe garv hota tha ki woh RAW ke liye kaam kar rahe. Daniel saal me 10 se jyada baar border cross karte the, jisme unki madad BSF waale karte the. Border pe aane ke baad Daniel ko code word batana hota tha, jiske baad bina koi sawaal kiye BSF ke jawaan Daniel ko Bharat me ghusne dete the. kyunki who jaante the ki, Daniel RAW ke liye kaam kar rahe hai. Uss wakt Daniel ka code word “kalakaar” tha. Daniel ko Pakistani Army ki information jootani thi aur unki har movement pe nazar banayi rakhni thi. Daniel ne bataya ki unke jaise dusre Bhartiya agent, Pakistaniyon ko laalach dete the taaki woh RAW ke liye kaam kare. Daniel Bharat se badi amount me Pakistani currency ke saath jaate the taaki woh waha pe Pakistaniyon ko apne saath kar sake. Daniel ko uss dauran, Pakistani working ya retired military officers se dosti karne ka task mila tha, khaas kar unse jo jail me band the. Daniel ka kehna hai ki, woh log kaafi acche swabhaav ke the aur unse kaafi accha bartaav karte the. Daniel saal 1993 me Pakistani officers dwara pakde gaye. Daniel jab pakde gaye toh unhone apni identity ko lekar ek shabd bhi nahi kaha. Daniel ke mutabik unhe RAW ne pehle hi train kar diya tha, ki agar woh pakde jaate hai toh unhe bilkul bhi nahi kaboolna hai ki woh ek agent hai. Iske badle unhe aisa pretend karna hai jaise ki woh koi smuggler ho. yaa phir galti se bhatak kar boarder paar kar aaye ho. Daniel ko kaafi dino tak alag alag jail me rakha gaya. 4 saal tak jail me rakhne ke baad unhe Lahore ki Kot Lakhpat (कोट लखपत) jail se riha kar diya gaya. Daniel ki zindagi unke jail se riha hone ke baad kaafi badal gayi. kyunki unhe Bharat waapas aane ke baad pata chala ki, Raw ko ab unse koi umeed nahi hai. Daniel ne kaha ki, kisi ko unki parwaah nahi thi, jo apni zindagi ko khatre me daal kar seema paar jaate the. Wo kayi local neta se iss baare me mile, jinme se ek Pratab Singh Bajwa bhi hai par koi madad nahi mili. Apne interview ke aakhir me Daniel ne kaha ki woh RAW ki taraf se milne waali acchi salary ki wajah se bhi iss agency ka hissa bane the, lekin antt me unhe sirf 15,000 ka check diya gaya. Daniel ke mutabik naa hi unhe utna amount mila jitna ki unhe kaha gaya tha, naa hi unke jail me rehne ke dauran unke pariwaar ko koi madad di gayi. Daniel jab tak jail me the tab tak unki maa ko har mahine sirf 500 rupay diye gaye. Aaj Daniel ki zindagi khaafi kharaab hai. Woh kehte hai ki woh “used” feel kar rahe hai. unki ab bus ek hi wish hai ki woh apne pariwaar ko ek ghar de sake aur apne bade bete ke liye ek acchi naukri doondh le.
Yeh kahani sirf Daniel ki hi nahi hai balki unke jaise aise 100 se bhi jyada agents ki hai jinhe RAW ne unke haal pe chod diya hai.
Toh yeh thi Daniel ki kahani. Aap iss kahani ko lekar kya sochte hai yeh hume comment section me jarur bataye. Dhanyawaad
Cast:-
Daniel:- Vijay Sethupati