Duniya ke mahaan boxer ke naam se famous Roberto Duràn( रॉबर्टो डुरान), boxing ke 4 weight division ke champion hai. Durán Lightweight, Middleweight, light middleweight aur welterweight ke champion hai. Roberto Duran Samaniego (रॉबर्टो डुरान सैमानिएगो) ka janam 16 June 1951 ko Panama me hua tha. Duran ne apne boxing career me kul 119 matches kheli, jinme se sirf 16 matches me unki haar hui. 2002 me “The Ring” magazine ki taraf se Duran ko “5th greatest fighter of last 80 years” ka title mila tha. Roberto Duran gareebi se uthkar ek mahaan boxer bane. Panama me janme Duran, ka bachpan Panama ke El Chorrillo (एल चोरियो) me maujood slum area me beeta. Duran ke pita Mexican decent ke American the, jo Panama me American army ke roop me tainaat the. Halanki jab Roberto ka janam hua toh unke pita yeh naukri chod chuke the, jis wajah se Roberto ka bachpan gareebi me beeta. Wahi gareebi se peecha churane ke liye Roberto ne kayi kaam kiye. Unhone newspaper bechne se lekar sadakon pe naacha aur dusron ke shoes ko bhi polish kiya. Roberto Duran jab sirf 8 saal ke the, tabhi ek gym me unhone experienced boxers se boxing seekh li aur maatr 16 saal ki umar me Roberto ek professional boxer ban gaye. Patle aur bukhe Duran ne apne mehnat ke bal pe ek yuva fighter ke roop me apni jagah ranking tak banayi. 1972 me Duran ne WBA Lightweight championship ka title apne naam kiya. Ussi saal Duran ne apni pehli haar ka bhi saamna kiya, halanki yeh haar unhe jyada dino tak baahar nahi rakh paayi aur jald hi woh apni 41 lagataar victories ke saath waapas maidaan me laute. Unn dino Duran ne apni boxing punches ko kaafi tej bana liya tha jis wajah se unhe “Manos de Peidra”(मनोस दे पिएड्रा) yaani ki पत्थर के हाथ ka naam diya gaya. Duran ne apni lightweight belt jeetne ke baad welterweight me jaane ke liye usse chod diya, Jaha pe unhone bahut jald hi sabko yeh saabit kar diya ki woh professional boxer कार्लोस पालोमिनो pe jeet darj karne ke alawa dusre boxers ko bhi bade aaram se sambhaal sakte hai. 1980 me Duran ne Leonard ko hara kar Welterweight ka title bhi apne naam kar liya. Halanki isse haasil karne me Duran ko kaafi mushkilon ka bhi saamna karna pada. Welterweight me Duran ne 15 baar ke Olympic gold medalist Leonard ko haraya tha. Leonard ko harane ke baad Duran ne apne desh Panama me ek bada naam haasil kar liya. Aisa naam jise sun sab respect karte aaye hai. Inn sab ke baad aaya New Orleans me “No Maas” ka kissa. Asal me hua kya ki Leonard apni haar se kaafi chidha hua tha. issi wajah se usne Duran se dobara mukabla karne ki baat kahi. Duran ne bhi Leonard ki baat maan li aur ek re-match ke liye woh log taiyaar ho gaye. Iss baar Leonard puri taiyaari ke saath aaya tha. Leonard apne pairon pe jyada focused tha, jitna ki woh pichle baar nahi tha. Duran pehle round me Leonard ka mukabla nahi kar paaye. Saatve round me jab Leonard scoreboard me badhat le chuka tha, tab usne Duran pe taunt maanra shuru kar diya tha. Jaise hi 8th round shuru hua, waise hi Duran ne ladna band kar diya. Commentator aur Referee ke mutabik jab Duran ne match khelna achanak se band kar diya tha, tab unhone baar baar “No maas” shabd ka prayog kiya jiska matlab tha “No more”. Halanki iss baat se aage chal kar Duran ne a-sehmati dikhayi aur naa sirf unhone, balki unki team ne bhi iss baat se asehmati jatayi. Duran ke mutabik unhone “No maas” nahi balki “ No Quiero pelear con El payaso”(नो कियरो पिलियार को एल पायसो) kaha tha, jiska matlab tha “mai iss joker(Leonard) se nahi ladna chahta”. 2016 ke ek interview me Duran ne kaha ki unhone “No seigo”( सियेगो) kaha tha yaani ki “Mai aage nahi badhunga” Duran ko English bilkul bhi nahi aati thi aur unhone tooti footi angrezi me yeh bhi kaha tha “I don’t Box anymore”. iss “No maas” incident ke baad Duran Boxing se retired ho gaye. Halanki unhone jald hi apni soch badal li kyunki woh iss tarah ke kharaab note pe apne career ko nahi alvida kehna chahte the. Duran ab iss baar light middleweight aur middleweight ke liye maidaan me utare. Duran ne apne saath pichle match me huye haadse ko bhulane ke liye thoda wakt liya aur phir apna weight badha kar seedhe light middleweight me enter kiye. Lekin apne shuruati matches me haar ka saamna karne ki wajah se unhone apne hi fans ko chauka diya. Saal 1983 me apne 32nd birthday ke din, Duran ne kaafi tough fight ladi aur khud ko light middleweight ka title dilwaya. Iss title ko paana Duran ke liye kaafi mushkil tha. Isske baad Duran Middleweight me bhi apna haath azmaane gaye aur waha bhi apni jeet pakki ki. Halanki light weight se middleweight tak ka safar tai karne ke liye Duran ko kaafi kuch se guzarna pada tha. Unhone apne ek match me end tak pahuchne ke baad hi apne haathon ko match ke dauran tod liya tha. Iske baad unhone kuch matches aur kheli jisme unhe haar ka saamna karna pada. Baad me apne 37 saal ki umar me Duran ne middleweight ka title haasil kar, ek naya record haasil kiya. 2001 me Duran ne apni zindagi ki aakhiri match kheli. Duran iss match ko Super middleweight ke liye khel rahe the. Wahi ussi saal Duran ki ek car accident me ribs bhi toot gayi aur lungs bhi punctured ho gaye. Jis wjah se unhone saal 2002 me Boxing se retirement le li. Duran ek aise boxer hai jinhone lagataar 4 boxing category me jeet haasil ki. Iske alawa unhone 5 decades tak lagataar matches khela. Roberto Duran apne aap me hi ek champion hai aur apne desh Panama ke ek bade star hai.
Toh yeh thi boxer Roberto Duran ki kahani. Aapko yeh kahani kaisi lagi? Yeh hume comment section me jarur bataye. Dhanyawaad