Major Mukund Varadarajan ( Boby Deol ) apni Quick Response Team ke soldiers ke saath uss double story building ko gher lete hai jiske andar Altaf Wani ( Mir Sarwar ) chupkar baitha hota hai. Abhi kuchi hi der pehle Major Mukund ko ye intelligence mili hoti hai ki Altaf akela nhi hai, uske saath Lashkar-e-Taiyaba ke do aatanki aur mojood hai. Hum dekhte hai ki, Major Mukund aur aatankiyon ke beech fire fight shuru ho jaati hai. Aatanki jis ghar mein the vo us area ki sabse unchi building thi, jis vajah se aatankiyon ke pass Major Mukund ke mukaable advantage hota hai. Major Mukund ko iss baat ka pta nhi chal paa Raha tha ki, aatanki ghar ke kis corner se unke upar firing kar rahe hai. Major Mukund aur aatankiyon ke beech fire fight shuru huye kaafi der ho chuki thi, lekin Major Mukund ko aatankiyon ki position abhi tak pta nhi chal paayi thi. Tabhi Major Mukund ki najar unki wrist watch par padti hai, vo dekhte hai ki shaam ke 5 baje chuke hai. Major Mukund achee se jaante the ki, unhe sunset hone se pehle hi in aatankiyon ka kuch karna padega, warna agar ek baar andhera ho gaya to ye operation kai jyada guna mushkil ho jaayega or aatankiyon ke bachkar bhaagne ke chances bhi badh jaayenge. Major Mukund kisi bhi keemat par Altaf Wani ko bhachkar nhi jaane de sakte the, vo achee se jaante the ki agar Altaf Wani aaj bach gaya to vo dobara kabhi haath nhi aayega. In teeno aatankiyon ko maarna isliye bhi jaruri tha kyunki abhi kuch din pehle Anantnag mein election karvaane jaa rahi Poling Party ki ek bus par aatanki hamla hua tha, jisme ek poling officer maara gaya tha or 5 log buri tarah se ghayal ho gaye the. Poling Party ki bus par huye iss kayartapurna aatanki hamle ke peeche inhi teen aatankiyon ka haath tha, jo Qazipathri. gaon ke iss ghar ke andar chupe huye the.
Major Mukund apne mann mein sochte hai ki, agar aaj Altaf Wani yahan se bachkar nikal gaya to Kashmir ghati mein aatanki hamle or badh jaayenge, isiliye mujhe jald se jald kuch karna padega. Iske baad Major Mukund Varadarajan apne buddy Sipahi Vikram ( Pranay Pachauri ) se kuch kehte hai, Vikram apna sir haan mein hilaate hai or peeche mud apne haath se baaki saathiyon ko aage aane ka ishaara karne lagte hai. Vikram se signal milte hi QRT ke soldiers dheere dheere aage badhne lagte hai aur Major Mukund aur unke peeche peeche Sipahi Vikram apne pet ke bal us ghar ke bageecha mein andar ghusne lagte hai. Peeche se mil rahe cover fire ke beech Major Mukund aur Sipahi Vikram aage ghar ki, taraf badhne lagte hai aur saamne se aatanki unke upar firing karne lagte hai. Aatankiyon ki taraf se aane wali goliyaan Major Mukund aur Sipahi Vikram ke upar se or daye baye se gujar rahi hoti hai. Saamne se aa rahi aatankiyon ki bhaari golibaari ke beech kuch minutes tak pet ke bal chalne ke baad Major Mukund aur Sipahi Vikram ghar ke darwaaje par pahunch jaate hai. Ghar ke main darwaje par pahunchne ke baad Major Mukund apne bag se ek Improvised explosive device nikaalte hai or use plant kar dete hai. Major Mukund Improvised explosive device ko active kar dete hai aur Sipahi Vikram ke saath thoda peeche hatkar cover lene lagte hai. Major Mukund aur Sipahi Vikram ne abhi sahi se cover bhi nhi liya tha, ki tabhi ek jordaar dhamaaka hota hai or ghar ka aage ka hissa neeche dheh jata hai. Dhamaaka hone ke turant baad Major Mukund aur Sipahi Vikram firing karte huye Ghar ke andar ghus jaate hai. Ghar ke andar ghuste hi ek aatanki un dono ke upar tabadtod goliyaan barsaane lagta hai, inme se ek goli Major Mukund ki kalai ko chookar nikal jaati hai. Iske turant baad Major Mukund aur Sipahi Vikram us aatanki par fire karne lagte hai aur jawabi firing mein vo aatanki maara jaata hai. Lekin jo aatanki maara gaya tha vo Altaf Wani nhi hota hai, iska matlab tha ki Altaf Wani or vo doosra aatanki abhi bhi ghar ke andar hi mojood hote hai. Ghar ka toota hua malba unn dono aatankiyon ko ek achaa cover provide kar raha hota hai.
Isse pehle ki Major Mukund aur Sipahi Vikram aage kuch soch paate, unki taraf do hand grenades aate hai. Vo dono turant hi malbe ke peeche cover lene ke liye chhalaang laga dete hai aur grenades ke dhamkaako se Bach jaate hai. Grenade ke dhamaake ka faayda uthakar ek aatanki ghar se bahar bhaagne lagta hai. Major Mukund us aatanki ka chehra dekh lete hai or vo pehchaan jaate hai ki vo aatanki koi or nhi balki Altaf Wani hi hai. Altaf ghar se bahar bhaagte huye compound mein bane outhouse mein ghus jaata hai. Iss samay tak sab ko yahi lag raha hota hai ki, Altaf outhouse mein chupa hua hai or vo doosra aatanki abhi bhi ghar ke andar hai. Hum dekhte hai ki, Major Mukund aur Sipahi Vikram outhouse ki taraf bhadne lagte hai, or vahi Quick Response Team ke soldiers ghar par firing karna jaari rakhte hai. Outhouse se thodi doori par pahunchne ke baad, Major Mukund ek grenade outhouse ke andar fenk dete hai. Grenade fatne ke baad Major Mukund ko lagta hai ki, iss grenade ne Altaf ko buri tarah se ghayal to kar hi Diya hoga. Lekin jaise hi Major Mukund aur Sipahi Vikram outhouse ke andar ghuste hai vaise hai, vaise kuch goliyaan aakar seedhe Sipahi Vikram ko lagti hai. Sipahi Vikram ko do goliya lagti hai, ek uske gale ke paar ho jaati hai or doosri goli uske lower jaw mein lagti hai, jiski vajah se Sipahi Vikram buri tarah se ghayal ho jaate hai or thodi der baad unki maut ho jaati hai. Or isi ke saath Sipahi Vikram Singh aatankiyon se ladte huye muthbhed ke dauraan veergati ko prapt ho jaate hai. Darasal, jab Altaf Wani ghar se nikalkar outhouse ki taraf bhaga tha, tab vo doosra aatanki bhi Altaf ke saath Ghar se bhaagkar outhouse mein aa gaya tha. Major Mukund ke dwara outhouse mein fenke gaye grenade se vo doosra aatanki to maara gaya tha, lekin Altaf Wani abhi bhi jinda tha or usi ke dwara fire ki, gayi goliyon se Sipahi Vikram ki maut hui thi. Major Mukund bhavnao mein na behte huye, Altaf ke upar lagatar firing karne lagte hai. Major Mukund ki firing se bachne ke Altaf cover le leta hai aur vo bhi Major Mukund ke upar firing karne lagta hai. Lekin Major Mukund Altaf ki firing se bachne ki koshish nhi karte hai aur uske upar tabadtod firing karte rehte hai. Thodi der ke baad humein pta chalta hai ki, Major Mukund ki firing se Altaf Wani maara jaa chuka hai. Major Mukund outhouse se bahar nikalte hai to ek soldier unke pass daudte huye aata hai, Major Mukund us soldier se kehte hai ki, “Altaf maara gaya lekin kishmat thodi kharab nikli Vikram humein chodkar chala gya. Tum ek baar jaakar Altaf ko check karlo”. Wo soldier thodi der tak Major Mukund ko dekhta hai or kehta hai ki, “sur aapko goli lagi hai”, jab Major Mukund dekhte hai toh unhe pta chalta hai ki unke pet mein teen goliyaan lag chuki hai. Tab tak baaki ke soldiers bhi Major Mukund ke pass aa jaate hai, or vo Major Mukund Varadarajan ko compound se bahar nikalne lagte hai. Kisi bhi soldier ko ye vishwas nhi ho paa Raha tha ki aakhir itna blood loss hone ke baavjood Major Mukund ab tak hosh mein kaise hai.
Major Mukund ke saathi unhe ek ambulance mein litate hai, or vo ambulance Major Mukund ko lekar Srinagar ke 92 base hospital ke liye nikal padti hai. Ambulance abhi Qazipathri gaon se bahar nikalkar kuch hi door pahunchi hoti hai ki, tab tak Major Mukund Varadarajan apna dum tod dete hai. 25 April 2014 ki shaam ko Major Mukund Varadarajan aatankiyon ko dher karne ke baad veergati ko prapt ho jaate hai. Major Mukund ke parthiv shareer ko unke hometown Chennai le jaya jaata hai, jahan par unka poore rajkiya samman ke saath antim sanskaar kiya jata hai. Hum dekhte hai ki, 26 January 2015 ke din Major Mukund Varadarajan ko unke adamya sahas or asadharan veerta ke liye Ashok Chakra se sammanit kiya jaata hai. Vahi Sipahi Vikram Singh ko unke sahas or asadharan veerta ke liye Shaurya Chakra se sammanit kiya jaata hai.