Hexagonal yaa phir yun kahein षट्कोणीय cut Taj Mahal Emerald India ke bahut se famous treasured jewels mein se ek hai. Yeh baariki se banaya hua, hare rang ka gem hai jo ki log dur dur se dekhne aate hain. Mughals ke Raj mein bana yeh nayaab jewel aaj bhi bahut logon ki nazar mein hain.
Hamesha se hi Mughals hare, laal aur safed palette ke deewane rahe hain. Isi liye hi uss zamane ki saari kalakari emeralds, rubies aur diamonds mein ki jaati thi. Jitne khoobsurat yeh jewels banaya jaate the, utne hi kimti bhi hote the yeh. Na sirf behad sundar hote the yeh jewels balki inke peeche ki kahani aur bhi रोमांचक hoti thi. Abb jaise iss Taj Mahal Emerald ko dekhein toh isse “Tears of the Moon” se symbolize kiya jata tha. Yeh jewel lagbhag 141.13 carat ka hai aur iss par Mughals ki signature designs bani hain. Iss par chrysanthemum, lotus aur Mughal poppy flowers ki kalakari hai. Yeh emerald pura hara hone ke bawajood aise banaya gaya hai ki iss par yeh sabhi design bilkul saaf saaf dikhti hai. Iski chamak toh kisi se toli ja hi nahi sakti, aur iss par bane mann mohne wale flowers zaroor se hi uss zamane ke mahan artists ki kala ko darshaate hain.
Aise mein kya khasiyat hai iss jewel ki?
Kyun iss jewel ko Taj Mahal Emerald kaha jata hai?
Toh darsal iss jewel par bani kalakari same ussi ke jaisi hai, jaisi Taja Mahal mein bani hui hai. Iss par bane phool bilkul waise hi hain jaise agar koi Taj Mahal jaayega, toh usse Taj Mahal ke pillars par dekhne ko milenge. Isse banaya hi iss tarike se gaya hai jisse aisa lage ki yeh bade Taj Mahal ki design ka chota namuna hai. Yeh jewel sirf yahi nahi batata balki Mughals ki गरिमा aur संपन्नता ko bhi jatata hai.
Art Deco Era mein iss Taj Mahal Emerald ko Paris ke exhibition mein Cartier company ne as central piece rakha tha. Isse Cartier Collier Bérénice naam se rakha gaya tha, baad mein isse auction mein dollar 794,500 mein bech diya gaya tha. Khareedne wali company Qatar Royal Al-Thani collection of jewels ne isse Cartier Brooch mein bana diya hai. Iss Emerald ki beauty se wakeyi sab dang reh gaye the kyon ki itne chote se tukde par, itni detailing ki gayi thi ki harr koi bus iski tareef hi kar raha tha. Isse dekhne wale ko aisa hi lagta hai ki usne Taj Mahal ka ek tukda pakdha hai, aur zaahir si baat hai isi ki wajah se yeh puri duniya mein itna jana jata hai.
Toh bus ho sakta hai ki iss baar Dhoom 4 mein, hamare villain ki nazar iss nayaab tukde par ho!
Tab tak bane rahiye Bollygrad Studioz ke saath.
-By Pratima Ratwani.