KGF 3

Humne aapko pichli blog me bataya, ki aakhir kis tarah se JFK yaani ki John. F. Kennedy ki hatya hui thi. President Kennedy ki hatya ko lekar aaj bhi kaafi kuch cheezen, ek rahasya ban kar kahi kisi file me dabi hai. Koi kehta hai ki Cuba ke purv President Fidel Castro ne Kennedy ki hatya ki saajish rachi thi. Koi kehta hai ki Russia ne Kennedy pe humla karwaya tha. lekin sach kya hai, yeh aaj bhi nahi clear hai. Kennedy ki hatya ko lekar sabki apni-apni alag theories hai. Russia aur Fidel Castro ko iss theory me issiliye shaamil kiya gaya, kyunki humesha se hi America ka naa hi kabhi Fidel Castro se accha relation raha tha aur naa hi Russia se. Issi wajah se politically angle se Cuba aur Russia dono hi America ke dushman the. Lekin baat yeh hai ki Kennedy se pehle ek military officer, America ke president the, jinhe dushaman apna nishaana bana sakte the lekin aisa hua nahi. Iske alawa Kennedy ke baad Lyndon Johnson aur Richard Nixon bhi President ke post pe rahe, lekin inke term me bhi kisi ne unhe apna nishaana nahi banaya. lekin New York se U.S Senator ke post pe tainaat Kennedy ke bhai, Robert. F. Kennedy, jab presidential campaign me utare, toh kuch hi mahino ke andar unki bhi hatya karwa di gayi!! Isse yeh saaf ho gaya ki kisi ki dushmani sirf Kennedys se hi thi. Wahi iske peeche ka bhi kaaran saaf hai. Lekin waha tak pahuchne se pehle, hum jaante hai ki aakhir Oswald kon tha, jise Kennedy ki hatya ka aaropi banaya gaya tha. 18 october 1939 ko, Lee Harvey Oswald ka janam New Orleans stith ek French hospital me hua tha. Kaha jaata hai ki Oswald ke pita Robert, America ke purv President Theodor Roosevelt ke third cousin the, jinhone World War-1 ke dauran bhi apni service di thi. Robert ki maut Oswald ke janam se do mahine pehle hi, heart attack se ho gayi thi. Oswald ka bada bhai bhi Marine me tha. 1944 me Oswald ki maa apne pariwaar ke saath New Orleans se Dallas, Texas aa gayi. Oswald 1945 me 1st grade me gaya, jiske baad woh Dallas ke hi kayi dusre school me 6th grade tak padha. Oswald tej ladka tha jiski IQ 103 ke aas-paas thi. Oswald reading me bhi kaafi accha tha. Oswald ko jaan’ne waale kehte the ki Oswald ek introvert aur moody baccha tha. Oswald jab 12 saal ka hua, toh uski maa use New York sehar le gayi, jaha pe Oswald ka step-brother John rehta tha. Oswald aur uski Maa John ke yaha kuch hi dino ke liye ruke, jab ek argument ke baad Oswald aur uski maa ko chale jaane ke liye keh diya gaya, jisme Oswald ne jaha apni maa ko maara wahi John ki wife ko Oswald ne apne pocket knife se dhamkaya bhi tha.
Oswald ne 7th grade ki padhai ke liye Bronx ke ek school me admission liya, lekin woh jyadatar din school aata hi nahi tha, jis kaaran ek juvenile reformatory ke ek Psychiatrist ki salaah li gayi. Reformatory ke Psychiatrist Dr. Renatus(रेनाटस) kehte hai ki “Oswald apni hi fantasy life me dooba hua rehta tha, jisme woh khud ko kaafi taakatwar samjhta tha. Oswald ko lekar doctor kehte hai ki “woh emotionally disturbed hai, jo shaayad affection, emotional support, family life ki kami aur self involved maa ki yor se mile rejection ke kaaran hua hai.” Doctor ne kaha ki Oswald ki maa apne me hi rehne waalon me se thi aur woh Oswald ko apni yor se naa ke barabar affection deti thi, jis wajah se Oswald khud me hi rehne laga aur woh duniya ke logon se door hote chala gaya. Oswald ne kaha ki “mujhe iss duniya me kisi ne pyaar nahi diya. Mujhe lagta tha ki meri maa ko meri koi fikr hi nahi hai aur mai ek burden hu, jise meri maa ko tolerate karna pad raha hai.” Oswald ke khraab personality ke peeche kahi naa kahi uski maa ka hi haath tha. Kyunki Oswald ki maa uspe dhyaan nahi deti thi, issi wajah se Oswald apne me hi rehne lag gaya. Aage chal kar Oswald 17 saal ki umar me “US marine corps” ka bhi hissa raha. Oswald 9th grade tak padha tha. kyunki 10th grade me hi usne apni padhai ko beech me chod diya taaki woh Marine join kar sake. Oswald 22 location me reh kar, kareeb 12 schools me shaamil hua. Lekin uske paas high school diploma nahi thi.
Inn sab se alag ek bada sawaal yeh hai ki Marine me shaamil huye Oswald ne aakhir kyun President Kennedy ki hatya ki hogi? Kuch Americans ka kehna hai ki bhale hi sabhi ne Oswald ko goli chalate huye dekha tha, lekin iss ghatna ko lekar kayi theories chupe huye hai, jise aaj bhi logon se door rakha gaya hai.
Oswald toh bus ek mohra tha. Ek aisa mohra jispe koi shak bhi nahi karega aur woh apna kaam bhi kar dega. Lekin Oswald bhi unn logon ke liye khatra ban chuka tha, jisne asliyat me Kennedy ki hatya karwayi thi. Tabhi toh jail bheje jaane ke din hi Oswald ko Jack Ruby naamak ek insaan ne use maar diya.
Oswald ki agar hum baat kare toh 20 saal ke hone se pehle hi Oswald Soviet Union gaya tha.
Oswald ne khud ko Russian bhi sikhaya tha. Oswald ke Soviet pahuchne ke kuch hi dino me, uska Visa bhi expire hone waala tha, lekin woh waapas lautne ke badle Soviet Union ke officials se keh raha tha ki usse Soviet ki citizenship chahiye aur woh yahi basna chahta hai. Jab officials ne Oswald se iska kaaran pucha, toh usne kaha ki “woh ek Communist hai.” Halanki Oswald ki baaton se officials sehmat nahi huye aur usse waapas jaane ko keh diya. Jis din Oswald ko waapas lautna tha, uss din Oswald ne gusse me khud ke wrist ko kaat liya tha. Halanki Oswald ko kuch hua nahi, bus thoda khoon gira. Oswald uss din marna chahta tha. Oswald ka guide jab use lene aaya toh woh uski haalat ko dekh chaunk gaya. Baad me Soviet Union ne Oswald ko Moscow ke ek hospital me Physiatrist ki nigraani me rakha. Oswald ko waha 1 hafte ke liye rakha gaya tha. Jis din Oswald ko hospital me admit karaya gaya, uss din Oswald 4 aur Soviet officials se mila. Officials ne Oswald se pucha ki “kya use U.S waapas jaana hai?” ispe Oswald ne kaha ki use Soviet Union ka hi naagrik ban kar yaha pe rehna hai. Jab officials ne Oswald se uska identification paper maanga, toh usne apna marine corps discharge paper diya. Iske baad Oswald Moscow Stith US Embassy gaya, jaha ke interviewing officer se Oswald ne kaha ki usne apna man bana liya hai, woh yahi rahega aur kyunki woh U.S Marine me tha, issiliye ek sacche Soviet naagrik hone ke naate woh Soviet Union ko Marine ke anadar ki aisi kahabar dega jo unhe pata bhi nahi hogi.

Toh darshakon aapko kya lagta hai kya Soviet Union Oswald ko Russian ke taur pe swikaar karenge? Kya yahi kaaran tha ki Russia ka naam Kennedy ki hatya se joda jaata hai? Aakhir kon tha inn sab ke peeche? Kya Oswald sach me ek mujrim tha? Jaan’ne ke liye padhte rahiye humare iss channel ko, jiska naam hai Bollygrad studioz.

To Be Continued….PART-2

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Robot 3.0

Robot 3

Past में पीछे जाने वाली time machine को भले ही Avengers की End Game में हमने देखा था, और ऐसे ही past में जाने वाला

Read More »
RRR, Ram Charan , Jr. NTR, bollygradstudioz.com

RRRR

Mashur Kakori rail ki Dakaiti ki planning karne ke pichey Ram Prasad Bismil ka hi hantha tha. Bismil ek bahadur freedom fighter the yaha tak

Read More »
KGF 3, Yash, Sanjay Dutt, Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

KGF 3

Mukhtar Ansari Inka janam 30 june saal 1963 mein Uttar Pradesh ke Yusufpur sehar mein hua tha. Inke dada ji Indian National Congress ke president

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​