Albert Spaggiari ek aisa chor tha jo kabhi kisi bhi chori ke liye na toh khoon kharab, na hi hataya aur na hi kise se nafrat ke liye chori karta tha. Wo France ke choro mein top most chor tha aur uss waqt Spaggiari ko pakadna bahut hi muskil rehta tha wo aapne baaton mein logo ko aisa fasata tha ki log uski baaton par bharosa bhi kar lete the aur wo unhone haka baka kar ke chala jata tha.
Albert Spaggiari ka janam 14 December saal 1932 ko Hautes -Aples mein Laragne-Montéglin mein hua tha , inke maa aur pita ji ka naam Richard aur Marcelle tha. Spaggiari ke pitaji ka dehant saal 1935 mein ho gaya tha aur Hyeres mein paley bade, apni padhai puri ki aur waha unki mummy ek lingerie store mein kaam kar rahi thi . Jab Spaggiari 19 saal ka tho wo fisrt Indochina war mein ek paratrooper ke roop mein usse bharti kiya gaya tha aur usse 3rd Battalion colonial paratrooper mein kaam diya gaya tha. Jab Spaggiari ko waha tainaat kiya gaya tha toh uss waqt wo aur uske kuch dosto ne kisi dusre ke sar par banduk rakh di thi jiska ye kehna tha ki Spaggiari aur uske dosto ne usse loota tha halaki court ka ye maan na tha ki ye sach mein hua tha jiske wajah se Spaggiari ko 4 saal ke liye jail bhej diya gaya tha. Apni rihaai ke baad wo North Africa chala gaya tha aur secret armed organisation se jud gaya aur khud ko unn sab mein jod kar Algerian ki independence ke liye ladne laga tha, isspar bhi uska hi nuksan hua usse phir se politics terrorism ke liye 3 saal 6 mahina ke liye jail bhej diya gaya tha. Spaggiari jab jail se nikla toh ussne soch liya tha ki iss baar wo koi aisa kaam nhi karega jo ya toh politics se juda ho ya kisi war agency se. Usne pahele hi ye sab soch kar rakha tha toh bahar aate hi apni patni Audi ke sath Nice, France chala gaya. Waha jaate hi usne waha ke naami The Wild Geese Villa mein wo log rahne lage the aur kaam ke liye wo log murgiyo ko paalte the, aur as professional unhone waha as photographer ke roop mein bhi kaam shuru kar diya tha.
Saal 1975 mein Albert Spaggiari aur Corsican Brotherhood ko chile ke secret police, DINA duwara france mein bharti kiya gaya tha. Spaggiari ka uss waqt code name Daniel tha aur uski saari gatividhiya unknown thi lekin Corsican Brotherhood ke aur bhi members ko france mein chile ke saare kaam ko dekhne ki zemedari shaupi gayi thi, aur inka group ka naam DINA “Brigada Corsa” rakha gaya tha. Uss waqt Spaggiari ko bas dher saara paisa chahiye tha taaki wo aache tarike se apna zindagi ko jee sake, usse jab ye pata chala ki Nice ka ek nala society general bank ki tijori ke karib hai toh usne ye plan banana shuru kar diya tha ki wo chori kaise karega aur bank ko lootega, usne ab decide kar liya tha ki wo ab koshish jarur karega. Spaggiari ne apne liye bank mein apna ek account khulwaya aur waha ek tijori bhi bhaade par li aur usme ek alarm bhi lagwa diya tha, wo aisi ghadi thi jo koi bhi awaaz ho phir wo chahe bhukamp hi kiu na ho usse bhi pehchan leti thi . Bank ke maalik ne tijori par koi alarm nhi lagwaya tha kyuki wo maanta tha ki bank ke darwaze itne motey hai ki koi chah kar bhi isse paar nhi kar paayega aur uss darwaaze ke alawa waha aur koi dusra rasta bhi nhi tha bank ke andar jaane ka. Iss kaam ke liye Spaggiari ne kai aise gangster se contact ki jinhone apne tarike se iss kaam ko karne ki sochi unhone iske upar chan binn bhi ki lekin unhone Spaggiari ke sath chori karne se mana kar diya tha. Spaggiari ki dost dubaraa ussi agency mein kaam karna chahte the isliye wo log wapas Nice se chale gaye, phir bhi Spaggiari ne haar nhi maani aur apne unn dosto ko bulaya jinhone wo agency chor di thi, unn sabne milkar 8 feet lambi surang ko 2 mahine mein khod diya, jab ye khudai ka kaam chal raha tha tab Spaggiari ne kai baaton par savdhani barti aur saare log bas drilling karne mein busy rahe. Spaggiari ne drilling karwate waqt unhe clear bol diya tha yaha koi sharaab pi kar nhi aayega aur sab apne apne chuti waale shift mein kam se kam 10 ghante tak soyenge taaki yaha aakar aache se kaam ho sake . Aakhir kaar wo din aa gaya aur 16 July saal 1976 ko unhone Bastille day ki chutiyon ke dauran tijori mein ghush gaya tha aur 400 safe boxes ko khol diye aur 30-100 million tak ki saari chize chura liye aur uss waqt Jo chori hui thi France mein wo uss waqt ki sabse badi chori thi waha ki. Kuch reports ki maane toh tijori khulne ke baad Spaggiari ne apne dosto se jo wada kiya usse pura kiya usne pahele toh bank ke darwaaze ko andar se band kar liya aur phir wahi par sabne khana khaya, sharaab bhi pi aur chunn chuun kar sabhi box ko chura le gaye aur jaate jaate Spaggiari ne diwaar par ye likh gaya ki usne bina ki hathiyar ya bina kisi hinsa ya nafrat ke uss bank ko loot raha hai, itna kehte hi wo aur uske dost waha se chale gaye.
Subha hui bank kholi lekin andar se band hone ke kaaran gate khuli nhi aur waha afra tafri mach gayi jab ye baat france police ko pata chali toh wo chakit rah gaye , bahut chaan bin karne ke baad ek chor ki girlfriend ki madad se ek chor ko pakad liya gaya tha bahut puch tach hone ke baad usne Spaggiari aur uske gang ke baare mein sab kuch bata diya. Lekin usse giraftaar uss waqt kiya gaya jab Spaggiari nice ke mayor Jacques Médecin ke sath nice wapas aa raha tha photography ke kaam se toh usse airport par hi giraftaar kat liya gaya tha. Spaggiari ko jail bhej diya gaya aur usne apne bachao mein wakil ke roop mein Francis sena ke ek anubhavi Jacques Peyrat ko chuna jo uss waqt national front se judi hui thi. Pahele toh Spaggiari ne iss ilzaam se khud ko dur rakhne ka jhut bola phir usne ye maana ki wo Catena naam ke ek agency ke liye kaam kar raha hai jab ki ye agency uske dimaag mein thi. Spaggiari ko kuch samjh nhi aa raha tha toh usne sunaai ke waqt hi waha se bhaagne ka plan banane laga usne apna plan aaisa banaya ki majburan usse court le jana pade aur aisa hi hua jab usse court le jaaya gaya toh waha jab sunwai ho rahi thi ussi waqt jab judge ne usse kuch apne favour mein bolne ke liye toh wo chup raha phir usne bola ki ab wo apni sachai batayega itna sunte hi sabka dhiyan Spaggiari par gaya aur mauka miltey hi wo waha ki ek khuli kidki se khud kar baag nikla. Court ke nichey uska ek aadmi motorcycle lekar uska intezaar kar raha tha aur uske nichey aatey hi wo waha se nikal bhaga.
Court se bhaagne ke baad kuch reporters ka ye kehna tha ki uss bachane mein waha ke mayor ka hanth tha.
Spaggiari aapne baaki life ke liye free ho gaya tha lekin usko aajivan karawash ki saja sunai gayi thi. Kaha jata tha ki usne apni plastic surgery karwai jiske kaaran wo chipey rahne mein safal raha aur jab bhi usse apni Maa ya biwi se milna hota tha toh wo hamesha chip kar jaaya karta tha. Kaha jata tha ki Spaggiari ki maut bahut hi rahasyamayi tarike se hui thi , press waalo ko uska dead body 10 June saal 1989 mein uske ghar ke bahar mila tha lekin kuch din baad ye clear ho gaya tha ki lung mein cancer hone ke kaaran Spaggiari ki maut 8 June saal 1989 mein hui thi aur uss waqt uski patni bhi uske sath thi. Reporter ka toh ye bhi kehna tha ki usne iss tarike se chori ki thi ki aaj tak uska sabut kisi ko bhi nhi mil paya aur na hi aage uss case ki koi sunwai hui.
Aapko ye Dhoom 4 ki story jo ho Sakhti hai kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit