Bahubali 3

Bharat mein kai saare aise yudh huye hai jo ya toh bharat ko purey tarike se badal diya ho ya ek nai misaal kaayam ki ho. Yudh jab do dushmano mein ho toh samjh aati hai ki uska anjaam kiya hoga lekin jab do dost ladte hai tab unka kiya aur kaisa anzaam hoga ye koi nhi bata sakhta, thik aisa hi hua tha Bharat ke Raj kumar Porus aur inke dost Shikandar ke bich gehri dosti hone ke baad bhi unke bich bahut badi yudh hui thi jo pura bharat usse kabhi nhi bhul sakhta hai. Porus aur Sikhandar ki kahani 2000 saal purani hai tab bharat mein sabse strong koi samrajya tha toh wo Magadh tha . Lekin jab hum kisi bhi desh ki banayi itihaas ki kitaab ko padhte hai toh hame pata chalta hai ki kisi ne kuch toh kisi ne kuch likha hai, thik aisa hi hua tha Porus aur Sikhandar ke ladai ke itihaas ke sath Greece ke itihaas ke kitaab ke hisaab se Shikandar ek mahaan yodha tha aur vijeta bhi lekin itihaas ka ye kehna hai ki Irani aur paschimi jo bhi kehta hai duniya usse aankh band karke unki saari baatein maan leti hai. Lekin agar hum Porus aur Sikhandar ki kahani ka itihas Irani aur China ke itihaas ke najariye se dekhe toh unki kahani puri alag thi. Agar hum itihaas ko dekhe toh uske hisaab se Shikandar ne Porus ko hara diya tha aur sahi mein agar aisa kuch hua hota toh Shikandar aaram se magadh pahuch jata aur aaj bharat ka itihaas kuch alag hi hota, lekin itihaas likhne waale ne Unanio ne Shikandar ki haar ko Porus ki haar mein badal diya gaya tha. Unani ke saare jhut ko pakadne ke liye Irani, China aur Bharat ka itihas ek baar ache se padhna aur dekhna bahut jaruri hai tabhi hum duniya ko asli kahani bata sakhte hai ki uss yudh mein kiskii jeet aur kiski haar hui thi aur jhut kon bol raha hai.

Itihaas mein Porus aur Sikhandar ki ladai bahut famous hui thi, jisme unke ladai se jada unke dosti ke khisey ko yaad rakha jata hai. Punjab mein jhelum se lekar chenab nadi tak raja Porus ya Purowaas ka rajya tha , iski rajdhani maujud Lahore ke aas paas thi aur Raja Porus, Porwa ke vansaj the. Unka samrajya uss waqt Punjab mein jhelum aur chenab nadi tak tha wo bhi saal 315 Era ke bich mana jata hai. Raja Porus ka asli naam Raja Puroshotam tha jinko Raja Poru bhi kaha jata tha, kyuki bhartiya itihaas ko muslim invaders ne sab barbaad kar diya tha isliye Raja Poru ke baare mein adhik jaankaari maujud nhi hai. Jo bhi jaankaariya uplabdh hai wo pidi dar pidi chali aa rahi hai aur ye hame sirf aur sirf ya toh mandiro, kahawato , khandar ki diwaaro par likhi mili thi, baaki Jo bhi information hai wo Unani ke itihaas mein hai jaha Raja Poru ko Raja Porus kaha gaya hai isliye Raja Poru ko Raja Porus kaha jata hai. Porus ko lekar itihaaskaar aur Delhi University mein itihaas padhne waale professor R.C. Thakran ne BBC se baat karte waqt bataya tha ki Porus jhelum nadi ke kinaare base ek chotey rajya ke raja the, aur jis tarah se aaj hum bharat ko dekhte hai ussi tarah pahele bharat ek desh nhi tha, alag alag rajya the jisme se ek ka Shashak Porus the.

Shikandar ka janam 20 July saal 356 Era mein Pele mein hua tha jo ji pahele wo nepolean ki rajdhani hua karti thi. Alexander, Philip II ke bete the jo Macedonia aur Olympias ke raja the aur iske padosi rajya Epirus ki rajkumari Olympia unki Maa thi, aur Shikandar ki ek bahen bhi thi. Shikandar apne pita ki maut ke baad apne sautele aur chahere bhaiyon ka katal karne ke baad ke Macedonia ke singhasan par baitha tha, aur usne apni matlab aur shauk ko purey karne ke liye puri duniya par rajya karne ke liye nikal pada tha. Shikandar ki khaas dushmani Iranio se thi aur inhone Iran ke Raja Daara ko hara diya tha duniya ka vijeta kehlaane laga tha, yahi uski bhuk khatam nhi hui aur ab usse puri duniya par raaj karna tha. Jab Shikandar Iran se aage badha toh uska saamna bhartiya Sima par base chotey chotey rajya se hua, bharat sima mein pahuchte hi pahadi simaao par bharat ke veer sena sab khaade the aur unko ek bhiyanak takar bhi di. Matsyaraj rajya mein toh aurotoh ne Shikandar ke sena ko mu thod jawab de diya tha lekin baad mein dosti ka wasta dekar Shikandar ne unn par hamla kar diya aur waha ke kai Raja ko bandhak bhi bana liya.

Itihaaskaar batate hai ki Shikandar duniya ko jeetne ke liye nikal gaya tha aur sab taraf se wo jeet hi raha tha aur ghumte ghumte wo Porus ke rajya tak ja pahucha wo Porus jisne bina dare Shikandar ko surrender karne ke liye bol diya tha. Itihaaskaro ka maanna hai ki jab takshila ke raja ne Shikandar ke aage ghutne tek diye the aur usne Shikandar se Porus par hamla karne ke liye kaha tha taaki unka rajya aur vistaar ho sake. Sikhandar ne toh pahele ek sandesh bhejwaya tha Porus ko jisme ye likha tha ki Porus tum aatmasamarpan kar do warna yudh karo, jispar Porus ne bina dare yudh karne ka faisla le liya. Ab dikat thi toh Shikandar ke liye kyuki Sindhu aur Jhelum ko paar karne ke baad hi Porus ke rajya mein pao rakhne milega lekin ye jitha easy bolne mein tha utna hi muskil inn nadiyon ko paar karna tha.

Itihaaskaaro ki maane toh Shikandar ki sena mein 50 hazaar paidal sainik, 7 hazaar ghudasavaarvthe toh wahi Porus ke paas 20 hazaar paidal sainik, 4 hazaar ghudasavaar, 4 hazaar rath air 130 hanthi the, Shikandar apne chune huye 11 hazaar Aambhi ki sena bhartiya and Shikandar ki sena ke Unani sainiko ko lekar jhelum ki aur chal gaya tha. Jab ye baat Poru ko pata chali toh unhe apni veerta aur sena par pura biswas tha aur ussi wajah se unhone Shikandar ko jhelum nadi paar karne de diya aur sayad yahi inki sabse badi galti thi. Lekin itihaaskaar batate hai ki jab Shikandar nadi paar kar liye the toh wo bahut buri tarah waha fhas gaye the kyuki nadi paar karne ke Baad waha baadh aa gayi thi.

Kuch waqt tak rukne ke baad unhone Porus par hamla kar diya tha lekin Porus ne bahut hi bahudari ke sath ladai ladi aur kaafi sangharsh karne ke baad haar gaye lekin isme Shikandar ki sena ka bhi bhari nuksaan hua. Jab Porus haar gaye the tab unhe Shikandar ke saamne pesh kiya gaya tha aur Shikandar ne Porus se pucha ki unke sath kaisa bartaav kiya jaaye? Jispar Porus ne bade aatmaviswas aur aatmasamaan ke sath kaha ki thik waisa hi jaisa ek raja ko dusre raja ke sath karna chahiye. Ye jawab Shikandar ko bahut hi pasand aaya aur usne baad mein ye mehsus kiya ki uski bhi sena ko yaha kaafi mehnat karni padi thi aur nuksaan bhi jhelna pada tha. Iss tarah ke nuksaan aur takraao se bachne ke kiye Shikandar ne porus se dosti karni chahi taaki aage chal kar jab bhi Shikandar ko koi jarurat pade toh wo aaram se Porus ki madad le sakhta hai aur uska istemaal kar sakhta hai. Lekin baad mein Shikandar ko ye aihsas hua ki wo kahi na kahi galat hai jo wo dosti ke naam par uska istemaal kar raha hai isliye usne majbur kar diya tha Porus ko aatmasamarpan karne ke liye aur phir baad mein usse uska sab chiz wapas kar diya tha.

Abhi tak koi bhi itihaaska iss baat par nhi pahuche hai ki aakhir uss yudh ka parinam kiya hua tha lekin agar kuch bade itihaaskaaro ki maane toh wo yudh Porus jeete the kyuki agar aisa nhi hua hota toh Shikandar jaisa jaalim raja jo kisi ko kuch nhi samjhta tha wo bharat ke logo ko kaise chor deta aur aisa kahi bhi jikar nhi mila hai jisme ye bataya gaya ho ki Porus haar gaye the, lekin wahi kuch itihaaskaro ka ye bhi Maan na hai ki Porus haare nhi the lekin haan unhone aatmasamarpan jarur kar diya tha jiske baad Shikandar ne unhe unka sara rajya de diya tha aur Shikandar wapas chale gaye the. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Bahubali 3 ki jisme ye dhikhaya ja sakhta hai ki kaise ek Raja ne dosti ka wasta dekar dusre raja ka istemaal kiya aur phir dono ke bich yudh hua.

Aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

 

Chandan Pandit

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

KGF

KGF 3

KGF एक ऐसी film series है, जिसके बारे में जितनी बात की जाए उतनी कम है और KGF Fan Armies तो BTS Armies के जैसे

Read More »
Robot 3.0,Rajinikanth ,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Robot 3.0

Aaj jis daur mein hum sab jis phone ko Hanth mein rakh kar use kar rahe hai wo sirf aur sirf scientist ki hi den

Read More »
KGF 3 , yash , Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

KGF chapter 3

Aaj hum baat karne wale hai Mumbai ke sab se badnaam mafia Don ke baare mein, jisne Mumbai sheher mein 1960 ki shuruaat se lekar

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​