RRRR

Hemu Kalani ek aise desh bhakt the jisne hanste hanste apni jaan desh ke liye de diya tha aur inki maut inke birthday se do mahine Pahele hi hui thi. Ye azad bharat desh ke ek aise karantikaari aur freedom fighter the jo desh ke liye kuch bhi kar sakhte the . Hemu ka janam Sindhi Jain family, Sindh ke Sukkur mein hua tha. Inke pita ji ka naam Pesumal kalani aur maa ka naam Jethi bai tha. Hemu Sindhi pariwaar mein janme bache toh the lekin unko aache se apne hak ke liye bolna aata tha aur kismat dekhiye inki aisi thi ki inka janam ussi tarik ko hua tha jiss tarik ko Bhagat Singh, Sukhdev aur Rajguru ko ek sath faashi di gayi thi . Jab Hemu chote the wo tabhi se khud aur apne dosto ke sath bidesi samaan ka bahiskaar kiya karte the aur sirf swadeshi chizo ka khud bhi istemaal karte aur logo ko karne ke liye prerit kiya karte the.
Hemu bachpan se hi nidar the, jab bhi gaaon mein Britisher apne logo ke sath jaate the toh log darr ke maare apne gharo aur dukaano ki darwaaze ke sath sath khidkiya bhi band kar lete the, magar Hemu bina dare seena chuda karke unke saamne ghuma karte the aur apne dosto ke sath ghumte huye gaana bhi gaya karte the. Lekin ek din hua ye tha ki Hemu ko ghumte ghumte ye pata chala ki unke pita ji ki ladai british se ho gayi hai toh wo daude bhaage ghar gaye jaha unhone dekha ki unki Maa ro rahi hai unko chup karwaate hi wo apne ghar se banduk liye aur apne pita ji ko wapas laane chale gaye. Lekin ussi bich unke teacher unko miley jispar unhone samjhaya ki akela jaana thik nhi hai kyuki bina group ke agar gaye toh wo baat ko nhi samjhenge. Unki baaton ko serious lete huye Hemu be Swaraj mandal dal ka hissa bane aur baad mein iss dal ke sabse important aadmi ban gaye the. Hemu apne sathiyo ke sath milkar kapdo ka boycott karne ke liye logo ko manaane lage the, wo saare bideshi kapdo ko jama karke chala dete the. Hemu logo ko British ke julm aur sitam se bachane ke liye apni jaan hatheli par lekar ghuma karte the aur unke buland awaaz se lagaye gaye naare se logo ko taqat mil jata tha. Ek baar jab unke dosto ko giraftaar kar liya gaya tha toh Unhone bahut saare logo ko jama kar liya tha aur british ke khilaaf bahut saare pardarshan bhi kiye the lekin phir bhi koi faida nhi hua tab baad mein unhone socha ki kiu na jail par bambari karke apne dost ko nikaalne ki koshish ki jaaye aur usme wo successful bhi ho gaye the. Ussi kaaran hui ladai mein 40 British officers maare gaye the aur kuch hamare log bhi shahid ho gaye the.
Hemu hamesha koi na koi aisa kaam kar dete the jisse british aksar pareshan ho jaate the aur unhe pareshan karke bahut maja aata tha hemu ko .
Saal 1942 mein jab Mahatma Gandhi ne Bharat choro aandolan chalaya tha toh Hemu bhi issme khud pade the, aur jab ussi saal Hemu ko pata chala ki British sena hathiyaro se bhari rail gaadi Rohari ho kar jaayegi, ye jaante hi Hemu aur uske dost samjh gaye the ki unko aage kiya karna hai aur wo sab milkar chale gaye patri ke tarah aur jakar purey patri ko idhae udhar kar ke rakh diye the. Wo ye sab kaam chip kar hi kar rahe the lekin pata nhi kaise ye baat waha ke police ko pata chal gayi aur unhone Hemu ko wo karte huye dekh liya tha jiske baad Hemu toh pakde gaye the lekin unke saare dost waha se bhaag nikle the. Jab Hemu ko court lekar gaya toh usse waha phasi ki saja sunai gayi thi . Hemu uss waqt sirf aur sirf 19 saal ke the aur thik unke birthday se do mahine pahele saal 1943, 21 January ko subha Hemu ko phasi de gayi thi lekin uss waqt inke haantho mein Bhagwat Geeta thi aur chehre par smile. Toh ye movie ho sakhti hai aane waali RRRR movie ki aur aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Leo

इस साल का मच अवेटेड face off भारत और पाकिस्तान की मैच के बाद, दशहरे पर Leo और Antony Das के बीच होने वाला है,

Read More »
Adipurush

Adipurush

प्रभास की आदिपुरुष रिलीज से सिर्फ दो दिन दूर है,  जैसे-जैसे 16 जून नजदीक आ रहा है, fans प्रभास को भगवान राम की भूमिका निभाते

Read More »
BAHUBALI 3

Bahubali 3

बाहुबली के director एसएस राजामोली बाहुबली फिल्म को एक ऐसी फिल्म बनाना चाहते थे, जिसे पूरी दुनिया याद रखे। राजामोली ने मूवी को वर्ल्ड वाइड

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​