Humne bahut saari love story ke baare mein sunna hai jisme ek partner ne apne dusre partner ke liye aisa kiya ya waisa kiya ya ek couple ne aisa kiya. Lekin duniya mein har lovers ya couple ek jaise nhi hotey hai, kuch log ya toh kabhi khud ke piyar ko shabit karte reh jaate hai ya kuch couple aisa kar jaate hai jiske baare mein log suun kar haka baka reh jaate hai. Sabki life story alag alag hoti hai lekin kai baar aisa hota hai ki jo dikhta hai wo hota nhi hai aur jo hota hai wo dikhta nhi hai, aisa hi kuch tha Bonnie aur Clyde ke rishte mein logo ko lagta tha ki ye ek aam couple hai lekin jo inhone kiya usse America kabhi bhula nhi sakhta hai .
Bonnie aur Clyde ka bachpan kahi na kahi ek jaisa tha aur wo dono bachpan se ek dum shant rehne waalo mein se the unko jada kisi se baat karna ya kisi ke sath rehna jada pasand nhi tha. Bonnie Parkar ka janam Texas mein ek bricks banane waale ke pariwar mein hua tha lekin jab bonnie sirf 4 saal ki thi toh uske pitaji ka dehant ho gaya tha. 3 bacho waali ek maa ke liye teeno ko akele paalna bahut muskil tha phir bhi unhone unn sab ko padhaya aur padhne ke liye school bhi bheja kyuki wo jaanti thi padhai mein hi future hai warna unhe bhi bade hokar yahi sab kaam karna hoga. Bonnie padhai mein apni dono baheno se kaafi hi aachi aur hoshiyar thi, techers bhi Bonnie ki har activities ko notice Karti thi jisse se pata chala ki bonnie ko kavitayen likhne ka bahut shauk tha. Jab bonnie 15 saal ki thi tab uski mulakaat uske ek teacher Roy Thornton se hui thi uske baad bonnie aur Thornton ne decide kiya ki wo dono shaadi kar lenge aur bonnie apna padhai bhi chor degi, dono ke manjuri ke baad unhone saal 1926 mein shaadi kar li lekin unki shaadi jada din nhi chal paayi kyuki unke bich hamesha ladai hua karti thi jiske wajah se bonnie ko waiter ke kaam ke liye bhi force kiya gaya tha, lekin cafe band hone ke baad unke ghar ka situation aur bhi kharab hota chala gaya tha. Yaha tak ki Thornton kuch dino tak gayab bhi tha lekin jab Bonnie uske gayab rehna ka kaaran puchti thi wo usse ignore kar diya karta tha inn sab ke wajah se bonnie ne Thornton ko divorce de diya tha.
Clyde, bonnie se sirf ek saal bada tha lekin dono ka bachpan ek jaisa. Clyde ka janam ek kissan pariwaar mein hua tha aur iske ghar mein total 7 bache the jisme Clyde 5 number par aata tha. Uska pariwaar ek dum bilkul garib the aur yahi kaaran tha jiske wajah se Clyde chor bana. Saal 1926 mein Clyde paheli baar jail gaya tha lekin jail se aane ke baad bhi nhi sudhara aur chori karta raha saal 1930 mein wo phir se jail gaya tha aur iss baar usse Texas ke jail mein bhej diya gaya tha. Lekin saal 1932 mein Clyde ko chor diya gaya tha lekin jab wo jail se bahar aaya toh ek market mein Bonnie se mila tha, dono ek dusre ke pahele aache dost bane aur baad mein ek dusre ko wo pasand karne lage the aur bonnie ko Clyde se iss hadd tak piyar ho gaya tha ki wo iske liye kuch bhi kar sakhti thi aur isliye wo Clyde ke sath chori karne waale gang mein shamil ho gayi thi. Ab Clyde aur bonnie milkar chori karte the aur apne kaam ko asaani se anjaam dete the bonnie toh sirf Clyde ke piyar mein thi isliye wo chup chhap se uska har kehna maanti thi. Bonnie aur Clyde ne apni dehsat iss kadar faila di thi ki police waale bhi unnse pareshan ho gaye the baad unhone socha ki ab uss couple ki laaas miley ya wo khud miley sab chalega aur unn dono ko pakadne waalo ko sabse badi rakam di jaayegi government ke taraf se.
Baat hai 23 may saal 1934 ki jab Bonnie aur Clyde kahi jaane ki taiyari kar rahe the dono ne jaane se pahele ek dusre ko kiss kiya aur car mein baith kar nikal pade ussi dauran waha 6 police waale ne unhe gher liya tha aur andha dhun unn par goli chala kar unhe maar diya gaya tha, police waalo ne 107 baar goliya chalayi thi lekin unhe sirf 57 goliye hi lagi thi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Dhoom 4 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit