Karan Arjun 2

Hamare dharmik garanth toh punarjanam ki baaton ko aur karmo ke anusaar naya jivan milne ki baatein clearly bolte rehte hai. Geeta aur Gadud puran mein bhi punarjanam ko lekar kaafi kuch kaha gaya hai jisse padhne ke baad har koi yakeen karne lagta hai. Mahabharat ki ek ghatna aisi thi jo punarjanam ke taraf ishara karti hai ki sach mein punarjanam jaisi chize hoti hai. Mahabharat mein jo sabse strong aur bujurg insaan the wo Bhishma Pitamah the jinhe aapne 6 janmo ki saari baatein yaad thi. Jab wo baano ki bed par battlefield mein lete the tab unhone Shri Krishna se pucha tha ki Hey Madhav! Mujhe apne 6 janmo ki baatein yaad hai lekin maine Inn janmo mein toh aisa koi karm nhi kiya hai jiske liye mujhe aisi mirityu mil rahi hai. Ye suunte hi bhagwan Krishna ne kaha ki aapko apnna saatwa janam yaad nhi hai uss janam mein bhi aap ek famous aur veer Raja the lekin aapse ek bhul ho gayi thi aur jab aap rath se bangal ke raaste se gujar rahe the toh aapke rath ke pahiye ke nichey ek saap aa gaya tha aur jab aapko iss baat ka pata chala toh aapne uss saap ko apne tir ki madad se uthakar apne raaste ke kinaare naagfani ke kaanto par phek diya tha aur ussi ke kaaran aaj aapko aisi mirityu mil rahi hai. Aur iss baat se kahi na kahi ye sabit hota hai ki punarjanam jaisi baatein kahi na kahi sach hoti hi hai, aur aisi hi ek punarjanam waali kahani hai ek Uttar Pradesh ke bache ki.
Mainpuri gille mein ek punarjanam ka anokha maamla saamne aaya hai aur waha ke pramod kumar ko jab ek anjaan 8 saal ke chote bache ne pita kehkar bulaya aur unke paas chala gaya toh ye dekh pramod chauk gaye the. Jab uss bache se unhone baat chitt ki toh pata chala ki wo koi aur nhi unka hi beta Rohit hai jo 8 saal pahele nahar mein dub kar mar gaya tha. Rohit iss baar punarjanam lekar aaya hai aur iss janam mein uska naam Chandraveer hai aur jab wo apne pichley janam ke pita ji se mila toh gaaon ke log ye sab dekh kar bhawuk ho gaye the. Jab inn sab baaton ki pusti ke liye Promod Kumar jo ki Rohit ke pitaji the unn se baat ki gayi toh unhone bataya ki takriban 8 saal pahele unka beta Rohit jab wo uss waqt 13 saal ka tha tab uski nahar mein dubne se maut ho gayi thi. 4 May saal 2013 ko wo ghar se nikal kar nahar par nahane ke liye gaya tha joki waha jaana aur nahana koi badi baat nhi thi lekin uss din wo jab nahar mein kuda toh wo nahar se nikal nhi paaya aur baad mein uski dead body nikaali gayi aur ab wo apni biwi aur beti ki sahare apna zindagi kaat rahe hai. Agar Chandraveer ye sab baatein nhi batata toh shayad hi kisi ko kuch pata chalta. 8 saal ka Chandraveer, Pramod Kumar ki gaaon se 6 kilometres dur Nagla Amar Singh gaaon mein Ramnaresh ke ghar 8 saal pahele hi janam liya tha. Jaise jaise wo bada ho raha tha uss apne pichley janam ki baatein yaad aa rahi thi, usne sabse pahele himmat karke apne Maa-Baap ko batayi lekin koi bhi iski baaton par biswas nhi karta tha nahi isse koi pramod ke ghar lekar ja raha tha. Lekin jab Chandraveer ne apne puraane maa -baap se milne ki zid thaan li toh uske pitaji Ramsharan usse lekar pramod ke paas gaye. Jaise hi dono waha pahuche toh Chandraveer ne sabse pahele apne pichley janam ke pita ji ko dekha aur jor se chilla kar pukara pitaji itna sunte hi Pramod Kumar chauk gaye aur jab uski punarjanam ki baatein unhone suuni toh unko bilkul biswas nhi hua lekin jab Chandraveer ne apne marne ki kahani batayi aur iske alawa aisi baatein jo sirf Rohit aur uske ghar waale jaante the ye sab suun kar unko ye biswas ho gaya tha ki ye unka hi beta Rohit ka punarjanam hai Chandraveer ke roop mein. Jab Chandraveer apni maa se mila toh dono phut phut kar rone lage aur uski behen ka toh khusi ka koi thikana nahi tha.
Jab ye baat dono pariwar ke saamne aayi toh unhone samjh daari dikhate huye isse dono pariwar mein aane jaane ke liye manjuri mil gayi aur dono pariwar ne isse khoob piyar diya aur abhi Chandraveer apne dono pariwar ke sath hai. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Karan Arjun 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Fighter

Fighter

फाइटर फिल्म की शूटिंग शुरू हो चुकी है और मेकर्स अब पूरा फोकस्ड होकर फिल्म को बना रहे हैं। कुछ दिन पहले हुए एक इंटरव्यू

Read More »
DHOOM 4 , Facts,Shahrukh Khan,Salman Khan ,Katrina Kaif ,Abhishek Bachchan Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Dhoom-4

Kahani jyada purani nahi hai. 1990 ka daur, duniya ke har kone me kisi nayi ghatna ko anjaam de raha tha. Kahi Hubble space telescope

Read More »
Jawan, Shah Rukh Khan,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Jawan

26 जनवरी 1982 दक्षिण sikkim की तहसील मे एक मां एक बब्बर शेर को जन्म देती है जिसे नाम मिलता है Sanjog Chhetri । Sanjog

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​