Gadar 2

India aur Pakistan ke bich kai baar yudh huye hai jisme jada tar India ne dusre desh ko bachane ke liye khud saamne se Pakistan se ladai ki thi. Lekin bahut kam hi aisa waqt aaya hai jab koi India ke support mein aaya ho. India-Pakistan yudh ke dauraan ek samaye aisa bhi aaya jab America ne Pakistan ki madad ke liye aage aa gaya tha. America ne Japan ke karib tainaat apne nausena ke saataven bede ko pakistan ki madad karne ke liye Bangal ki khaadi ki aaur bhej diya gaya tha. Iss yudh mein Pakistan ke 93 hazar sainiko ne bhartiya sena ke saamne aatmasamarpan kiya tha. Ye itihaas mein world war ke baad ka sabse bade military ko surrender karwaane wala yudh mana jata hai. Bhartiya sena ki himmat ke aage Pakistani sena ne mahaj 13 din mein hi ghutne tek diye the. Jab India aur Pakistan yudh ke dauraan ek samaye aisa bhi aaya jab America ne Pakistan ki madad ke liye aage aa gaya tha. Iske pichey ka kaaran tatkaaleen America president Nikson aur India ki prime minister Indira Gandhi ke bich sambando ka aacha na hone ki bhi batayi gayi thi. Saal 1971 ke samaye America ne Pakistan ko kai advanced hathiyar diye the. Pakistani nausena ki PNS gazi bhi America duwara nirmit ki gai ek advance pandubbi thi. Isse India ke vimaanwahak yuddhapot INS vikrant ko tabah karne ke liye bheja gaya tha. Haalaki Bhartiya nausena ne isse Visakhapatnam ke paas dubo diya tha aur Pakistani nausena ki kamar tod di thi.
America nausena ke saataven bede mein USS interprises namak parmanu sakhti se lais vimaanwahak yuddhapot aur anya vidhwansak pot aadi saamil the. Iss bede ko uss samaye duniya ke sabse sakhtishali nausainik bedo mein se ek mana jata tha . USS interprises bina dobara indhan ki jarurat ke duniya ke ek kone se dusre kone tak ja sakhta tha, vimaanwahak yuddhapot INS vikrant ke mukaable kahi jada bada tha. America ne iss bede ko Bangal ki khaadi mein bhejne ke pichey Bangladesh mein phanse America ke citizens ko bahar nikaalna bataya tha. Haalaki aage chalkar ye baat saamne aai ki iss bede ka maqsad tatkaaleen East Pakistan mein yudh ladd rahi bhartiya sena par dabaab banana tha. America nausena ke saataven bede ke India ki taraf badhne ki khabar ke baad India ne Russia se madad maangi thi, yudh shuru hone se kuch mahine pahele hi India ne Russia ke sath Soviet – India peace, dosti aur madad ki treaty sign ki thi. America nausena ko Bangal ki khaadi ki taraf badhta dekh kar Russia ne India ki madad ke liye apni parmanu capacity se lais pandubbi aur vidhwansak jahaajon ko Pacific Ocean se Indian Ocean ki taraf bhej diya tha. America ka saataven bede jab tak pakistan ki madad karne ke liye Bangal ki khaadi mein pahuch pata usse pahele hi 16 December saal 1971 ko Pakistani sena ne India ke saamne ghutne tek diye aur aatmasamarpan kar diya tha. Russia ki madad ke baad America aur Britain ke hosh udd gaye the unke hisaab se Russia ne british carrier battle group commander Admiral Dimon garden ke messages ko intercept kiya gaya tha. Iss message mein wo saataven bede ke commander se keh rahe the , sir hame bahut late ho gayi hai. Aaspaas Russia ke pandubbi hai aur kai aise warships hai, aur agar hum aage badhe toh inke warships se hum nhi jeet paayenge aur hamare saare equipments barbaad ho jaayenge. British jahaajon ko Madagascar mein hi rok diya gaya tha aur America task force ko bangal ki khaadi mein entry hi nhi mil paayi thi.Haalaki Russia ki nausena ne saataven bede ka picha tab tak nhi chhoda jab tak wo wapas nhi laut gaya tha aur uske baad Russia ki sena bhi wapas apne desh chale gaye the.
India aur Pakistan ke bich jaari yudh ke dauran America ke sath sath dusre desh bhi pakistan ke sath khade the. America ne joint rashtriya suraksha parishad mein yudh viraam ka proposal lakar pakistan ki madad karne ki koshish ki, haalaki Russia ne iss proposal par Vito karke India ki madad ki thi aur iss kaaran se bhi Russia ko India ka sadabahar dost bhi mana jata hai. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

gadar 2

Gadar 2

गदर 2 को रिलीज करने की तैयार जोरों सोरों से शुरू हो चुकी है, और फिल्म का प्रमोशन कर रहे मेकर्स काफी एक्साइटेड है फिल्म

Read More »
Solider 2 , Bobby deol , By Yash Vashishtha bollygradstudioz.com

Soldier 2

Aaj hum aapko bataane wale hai ek ese Indian Army Para Special Forces Commando ke baare mein jisne dushman ki do goliyan lagne ke baad

Read More »
Beta 2 , Anil Kapoor, Madhuri Dixit,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Beta 2

Yeh kahani hai Karrey aur Aman ki. Karrey, Sunil ki dusri patni thi. Sunil ki pehli biwi ek accident mein unki shaadi ke 4 saal

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​