Tridev 2

Bihar mein baat jab rajniti ki aati hai toh Kapuri thakur, Lalu yadav aur nitish kumar ki baat hoti hai lekin agar don, bahubaliyon aur apradhiyo ki baat hoti hai toh bihar ki siyasat adhuri ho jaati hai. Shahabuddin, Anant Singh jaise dabanggo ke bich ek bahubali neta aisa bhi tha jiske gunaho ka suraj uski umar se sath badhta chala gaya aur usne aapne naam ko khud failaya. Bihar ke mokama ka naam aate hi rajnitik sarkari badh jaati hai, ye wo ilaaka hai jaha pichley 3 dasak se bahubaliyon ka samrajya hai, kai bahubali pahele apradh ki duniya ka master banate hai phir bahubali ki hanak ke sahare rajnitik safar tay karte hai. Iss ilaake mein iski shuruaati bahubali vidhayak Anant Singh ke bade bhai dilip kumar Singh ne ki thi jo saal 1990 mein janta dal ke ticket par chunav jeet gaye the lekin issi mokama mein ek aisa bhi bahubali ka janam hua jiska naam hai Surajbhan Singh, hatya, loot, apharan sahit 30 sangeen maamle Surajbhan Singh par darj hai.

5 March saal 1965 ko ganga kinaare base patna gille ke Mokama mein janme Surajbhan Singh ki kahani bhi kuch aisi hi hai, apradh ki seedhiyaan Surajbhan ne itni aachi se chadhi ki log uske naam se hi kaapne lage, rangdaari, apharan aur hatya jaise apradh uske liye aam ho chuke the. Mokama ke ek chote se gaaon ki galiyon mein khelte kudte bade huye Surajbhan Singh ke pita ek business man Sardar Guljeet Singh ki dukaan par naukari karte the aur issi se inka ghar chalta tha. Unke bade bhai ki naukri CRPF mein lagi toh pariwaar ko bada Sahara mila, unke pitaji sochte the ki lambi chaudi kad kaati wala chota beta bhi fauz mein jaayega lekin kismat ko toh kuch aur hi manjur tha. Surajbhan ki kismat ki lakirey toh usse siyasat aur jurm ki uss duniya mein le gayi jaha uske naam ka sikka chalta tha. Surajbhan pahele Bahubali phir vidhayak aur iske baad saansad bane, shuruaat mein Surajbhan ko aise logo ki sangat mili jinke sath milkar pahele usne rangdaari aur phir wasuli karni shuru kar di. 80 ke dasak mein Surajbhan chote mote apradh karte the lekin 90 ke dasak aate aate unke crime ka graph teji se badhne laga. Unhe aage badhane ka credit do logo ko jata hai congress ke vidhayak aur mantri reh chuke Shyaam Sundar Singh dhiraj aur anant singh ke bade bhai dilip kumar ko. Actually kabhi Shyaam Sundar ke liye ek booth kabzaane waale bahubali dilip singh ne unhe chunavi ran mein na sirf chunauti di balki jeete bhi aur Lalu Prasad Yadav ki sarkaar mein mantri bann gaye. Dilip singh ko Dhiraj ne hi pala- posha tha , aise mein unke paale- poshe shaqs ne unhe hi chunavi maidan mein shikast di iss baat se wo baukhala gaye . Iss dauraan unki najar padi dilip gang ke ki ek ladke par jisme jurm ki duniya mein cha jaane ka bhoot sawaar tha, wo ladka Surajbhan tha. Jab Dilip mantri bankar white collar job mein aa gaye toh unhe siyasat bhi karni thi aur rutba bhi barkarar rakhna tha. Iss dauraan Surajbhan ne uss Guljeet Singh se bhi rangdaari maang li jo unki aankhon ke saamne bada hua tha aur jinke yaha uske pita ji kaam karte the. Guljeet iss bartaav se dang the unhone Suraj ke pita ko bataya aur pitaji ne baad mein apne bete ko samjhane ki khub koshish ki lekin tab tak Ganga mein bahut paani beh chuka tha.

Surajbhan ne Mokama se saal 2000 mein tatkaaleen Bihar sarkaar mein mantri dilip singh ke khilaaf vidhansabha chunav lada aur jeetkar indipendent vidhayak bann gaye. Uss waqt police record mein unn par Uttar Pradesh aur Bihar mein kul 26 maamle darj the, iske baad saal 2004 mein wo Ramvilas Paswan ki lok jansakti party ke ticket se bihar ke Sansad bane aur kaha ye bhi jata hai ki wo kabhi Nitish Kumar ke sankatmochakh bhi the. Saal 2003 mein dindahade Mokama ke former councillor aur apradhi umesh yadav ki goli maarkar hatya kar di gayi thi. Umesh ke parijano ne Surajbhan par ilzaam lagaya lekin maamle ki sunwai puri hone ke baad Surajbhan ko bari kar diya gaya tha. Halaaki ye toh aise maamle hai jo kanoon aur police ki nigaahon mein aaye leki kuch apradho ka chitta toh kabhi khula hi nhi. Kabhi log Surajbhan ke naam se darte the lekin ab aisa nhi hai, Surajbhan ke chunav ladne par rok laga di gayi hai. Unki patni Veena devi Munger ki saansad reh chuki hai, unke bete Ashutosh singh ki saal 2018 mein ek sadak haadse mein maut ho gayi thi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Tridev 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Karan Arjun 2 , Salman Khan , Shah Rukh Khan ,bollygradstudioz.com

karan-arjun2

राजसमंद में 4 साल एक मासूम के पुनर्जन्म ki kahaani hai. दरअसल यहां किंजल नाम की एक मासूम ने अपने परिवार को ऐसी बाते बताई,

Read More »

Gadar 2

Aisa nhi hai ki sirf India aur Pakistan ke bich sirf yudh ke maidan mein hi yudh hua ho kabhi kabhi desh se judi uski

Read More »
TRIDEV 2

Tridev 2

Mysore Puttaswamaiah Jayaraj ka janam saal 1944 mein banglore mein hua tha, wo bachpan se hi thigalrapete ke Annayappa garadi mein kusti practice kiya karte

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​