Peggy Shippen ek aisi spy agent thi jinhone apni maksad ko pura karne ke liye saare spies se jada amount liye aur ek aise shaqs se shaadi ki jiska usne bharpur faida uthaya tha. Margaret urph Peggy Shippen ka janam 11 July, saal 1760 ko Philadelphia mein hua tha, Edward Shippen IV ki chauthi aur sabse choti beti thi jiske baad mein Peggy nick name rakha gaya tha. Peggy ek senior Philadelphia pariwar ke yaha paida hui thi jaha Philadelphia ke do mayor aur shippsburg, pennsylvania ke founder bhi maujud the. Edward Shippen pennsylvania ki provincial council ke ek judge aur waha ke member bhi the, Shippen pariwar rajnitik roop se vibhajit tha aur judge ko british taj ke prati nistha ke sath ya toh neutral ya ek secret tory mana jata tha. Peggy ke dono bhai ki bachpan mein hi maut ho gayi thi jiske baad Peggy ko ghar mein ek laute bache hone ka piyar mila aur sabki laadli bann gayi. Ab Peggy jaise jaise badi ho rahi thi usne gaano ka aanand lena shuru kar diya tha uske baad usne silaayi bhi kiya aur yaha tak usne drawing bhi shiki aur phir apne family ke nakshe kadam par chal kar rajniti join kar li. Peggy bachpan se hi apne pitaji ki laadli thi toh unhe follow karti thi aur ab jab wo rajniti mein aayi toh iske baare mein bhi usne apne pitaji ki hi madad li. Baat hai saal 1777 ki jab british ne Philadelphia par kabza kiya aur Shippen pariwar ne apne rajnitik faide ke aur stations ko dhiyan mein rakhte huye unhone apne ghar par ek social gatherings rakhi thi. John Andre, General Willian Howe’s ki command mein ek adhikaari lagataar guest ki tarah aaye the aur unhone Peggy par khaas kar ke dhiyan diya tha. Yudh ke mein France ke ghusne ke baad June saal 1778 mein british sehar se hatt gaya tha aur Andre ne apni saathi sainiko ke sath Philadelphia chhod diya tha lekin abhi bhi Andre aur Peggy contact mein the. Saal 1778 ke waqt se garmiyon mein Shippen ne Philadelphia islands military commander Arnold se mulakaat ki aur usne apne aur judge Shippen ke bich matbhedo ke baavajood usse pranam karna shuru kar diya tha. Kuch samaye ke baad Arnold ne Peggy ke pita ko ek letter bhej kar Peggy ka haanth maanga lekin Arnold ki kuch kanooni samasyaon ke kaaran Shippen ko Arnold par doubt tha . Saal 1779 mein pennsylvania ki top executive council ne Arnold ke khilaaf federal aur rajya sarkaaro ke dhan ke sath corruption aur durbhaavana ke liye 8 formal aarop lagaye the aur baad mein unhone do relatively maamuli maamlo mein doshi theraya gaya tha, iske baavajood Edward Shippen ne antatah Arnold aur Peggy ko shaadi karne ke liye manjuri de di thi jiske baad unki Shaadi 8 April saal 1779 mein hui thi. Shaadi ke kuch dino tak unn dono ne ek dusre ko aacha khaasa time diya aur ek dusre ko aache se jaanne aur paihchanne lage jiske turant baad Arnold ne jald hi apne side badal liye british ke sath ek planning karni shuru kar di thi. Peggy ne bhi iss planning mein ek important role play kiya tha, jiska pardaphaas british major John Andre ke September saal 1780 mein west point par ek important island sena ke aadhar ke planning ke hisaab se aatmasamarpan se related documents ke sath unko giraftaar kiya gaya tha.
Jab ye baad Arnold aur Peggy ko pata chali ki John Andre pakda gaya hai toh Arnold darr ke maare New York sehar bhaag nikla tha jiske pichey pichey Peggy bhi chali gayi thi. Ab jab pakde jaane ke darr se wo log idhar udhar bhaag rahe the toh dono ne milkar ye decide kiya ki wo London sath mein jaayenge aur waha jaate hi unhone ek aacha sa ghar liya aur apni khud ki ek business start ki aur ussi mein busy ho gaye the. Saal 1787 mein wo unke sath Saint John, New Brunswick mein shamil ho gaye the jahan unki local business man ke sath hui kai saari dikaton ne unhe December saal 1791 mein unhe laautne ke liye majbur kar diya tha. Arnold ki saal 1801 mein mrityu ho gayi thi jiske baad unhe apne commercial maamlo ko niptaana pada aur apne karz ka bhugtaan bhi karna pada tha. Saal 1804 mein Peggy ki bhi mrityu ho gayi thi aur wo apne pichey apne 5 bancho ko bachpan mein hi chor kar chali gayi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Black Tiger ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit