Tridev 2

Aksar aisa hua hai ki criminals khud ki apradh ko chipane ke liye ya toh jhut ka sahara lete hai ya politics ka kyuki wo jaante hai agar aap ek baar politics mein ghush gaye toh bina kisi thos sabut ke aapko koi chuu bhi nhi sakta hai aur shayad isliye hamare politician har chiz ko ek dum lightly lete hai. Innhi criminals mein se ek hai Sanjeev Singh jo ek aache politicians mein se the lekin apne bade bhai ke maut ke baad inhone apni pakad majbut banayi aur unn sab se apna badla liya jinhone inke bhai ko marwaya tha. Sanjeev Singh ka janam 18 November saal 1965 mein hua tha aur inka ghar aaj bhi Jharkhand mein sthit dhanbad mein hai. Sanjeev ne apni padhai bhi thik se puri nhi ki thi kyuki wo jaante the ki aage chal kar unko apne gharwaalo ke nakshe kadam par hi chalna hai kyuki inke pita Surya dev Singh bhi dhanbad mein coal king ke naam se toh prasidh the hi aur unki pahuch politics mein Bahut dur dur dur tak thi. Maano jaise inke purey pariwar ke log politics mein hi the kyuki Sanjeev ki maa Kunti Singh bhi Jharia gaaon ki vidhayak reh chuki hai aur toh aur inka ghar bhi dhanbad mein kaafi charchit roop mein rehta hai jiska naam Singh mansion rakha gaya hai.

Sanjeev ko kabhi bhi kisi dusre ke zindagi mein koi dilchaspi nhi rahi hai wo Hamesha koshish karte the ki jitna ho sake wo apna waqt ya toh ghar ke member ke sath bitaye ya apne party ke liye jitna ho sake utna kaam kare taaki logo ko lage ye aur inka kaam aacha hai aur inhe hi iss baar election jeetaya jaaye . Ab aisa ho gaya tha dhanbad ke ghar ke baare mein charcha toh ho hi rahi thi aur sath sath ab Surya dev Singh ki kaamaan ko sambhalte huye neeraj aur Sanjeev Singh ki bhi charcha hone lagi thi. Logo ko lagne laga tha ki ab ye dono bhai milkar apne pitaji ki kamaan sambhalenge aur aisa hi ho raha tha . Sanjeev Singh ka pariwar hamesha bhartiya rashtriya congres ta kattar virodhi raha hai aur unke pitaji Surya dev Singh bhartiya rashtriya congres ke ummidwaron ko hara kar saal 1977 se 1991 tak lagataar vidhansabha ke member chuune gaye the, Sanjeev singh janta majdur jo dhanbad aur India coking coal limited mein sabse bada aur sabse prabhavshaali trade union hai jo aaj bhi unke virodhiyon ke aankhon mein chubti hai, yaha tak ki Surya dev Singh Hindu majdur sabha ke bhi vice president reh chuke the. Apni pita ki Virasat ko badhate huye Sanjeev Singh ne saal 2014 ke jharkhand vidhan sabha ke chunao mein unhone apne virodhi bhartiya rashtriya congres ke ummidwar ko 32,000 se jada voto se haraya tha uske baad maano jaise inke virodhi inka picha karna shuru kar diye taaki mauka milte hi badla liya jaaye aur shayad bhagwan ne inki suun li aur inhe ek mauka de diya tha wo bhi saal 2017 mein. Congress ke logo ne socha aur plan banaya ki agar Sanjeev ya Niraj mein se kisi ko maar diya jaaye toh dusra apne aap tut jaayega jisse pura support unke upar se hatt jaayega. Niraj ko maarne ka plan banaya gaya tha aur 21 march saal 2017 ko dhanbad ke Saraidhela police station mein unknown motorcycle par sawaar kuch murderer aayee aur andha dhuun unhone Niraj par goli chala kar apne kaam ko anjaam de diya tha. Iss maamle ko 11 April saal 2017 ko Sanjeev Singh ne sunwai ke liye supreme court ka darwaza khat khataya tha lekin jab usne dekha ki koi unki baaton par jada dhiyan nhi de raha hai toh unhone ek bhartiya rashtriya congres neta aur 3 dusre log dhanbad mein ek golibaari mein murder ka aarop lagaya gaya tha lekin baad mein unn logo ne aatmasamarpan kar diya tha. Baad mein apradh ki duniya mein utar kar Sanjeev ne ek ek karke sabko maut ke ghat utaar diya tha. Uske kai dino ke baad usne khud apni bhabhi se shaadi kar li thi wo bhi ghar waalo ki manjuri se kyuki Sanjeev nhi chahta tha ki uski bhabhi aur bhatiji akele padh jaaye aur unko koi Sahara na de paaye. Kuch saalo ke baad Congress party ne Sanjeev Singh ke upar case darz karwa diya tha aur saare sabut sahi hone par Sanjeev ko saja hui aur wo abhi bhi jail mein apni saja kaat rahe hai . Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Tridev 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Soldier 2

Major Shaitan Singh ka janm 1 December 1924 ko Jodhpur ki Rajput family mein hua tha. Desh ki seva karne ka jajba unke khoon mein

Read More »

Gadar 2

India aur Pakistan paani aur tel ki tarah hai inhe jeetna bhi milaane ki koshish karlo wo kabhi nhi mil sakhte hai aur aakhir kaar

Read More »

Gadar 2

India aur Pakistan ke bich aaj tak jitne bhi yudh huye hai ya jaha bhi yudh hotey the unn sab mein sabse khatarnak aur jaan

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​