RRRR

Ashfaqulla Khan ka naam India ke itehaas mein bahut famous raha hai. Ashfaqulla unn chuninda logon mein se ek the jinhone unhein loota jo hamein loot kar gaye hain. Hum baat kar rahe hain angrezon ki!

Yeh kahani hai Kakori kand ki!
1925 mein hui thi yeh planning. Hota yeh tha ki angrez harr railway station se paise ikhata kiya karte the. Yeh paise fines se aate the, warna kuch idhar udhar ke submission se bhi collect kiye jaate the. Abb harr mahine yeh paise train se Lucknow lejaaye jaate the. Yeh sabhi paise guard cabin mein pade rehte the, aur koi na koi iski rakhwali kar raha hota tha.

Bus tabhi iss train ko lootne ka plan banaya gaya. Iske mastermind the Ashfaqulla Khan aur Ram Prasad Bismil. Plan bahut hi simple tha!

Jo India ko loot rahe hain, unhein yeh log lootenge. Inke plan ke hisaab se train ko Lucknow station pahuchne se pehle, kisi gaon mein lootna tha. Yahan zyada security nahi hoti, aur sirf aur sirf train se jaa rahe angrezon se ladhna padhta!

Bus phir kya tha. Jab soch liya tha toh phir kisi ki thodi sunne waale the yeh. Kam se kam 10 jane uss din yeh train lootne gaye the. Aur iss train ko loota gaya Kakori mein. Yeh jagah 16 km ki duri par hai Lucknow se. Inn logon ka target koi passenger nahi tha. Yeh kisi ki bhi jaan bhi nahi lena chahte the. Bus lootna chahte the yeh sab!

Uss din jaise hi train Kakori pahuchi tab yeh sab log train par chadh gaye. Ek ek kar kar inki hatha paayi hui, aur 2 jaane uss guarded cabin mein ghus gaye. Unhone uss samay 8000 rupay chura liye the. Yeh uss samay ki bahut badi rakam thi. Lootne ke baad yeh sabhi log train se utar rahe the. Kuch golibaari bhi hui. Yeh kisi ko maarna nahi chahte the, magar idhar udhar goliyaan baras rahi thi. Isi wajah se crossfire mein ek officer ki jaan chali gayi, jisne iss case ko aur bhi aag de di. Train Lucknow pahuchti usse pehle hi yeh sab log utar gaye the, aur yeh inka ek successful mission tha. Train Lucknow khali pahuchi thi jiski wajah se angrezon ka padha chadh gaya tha. Unhone sabko dundhne ka warrant nikal liya tha. Magar angrezon ki chaal unhein par bhaari padhi. Yeh sabhi log batt gaye the isi liye inhein nikaal pana mushkil hogaya tha. Kuch log jaldi mil gaye the, toh kuch log 1931 tak bhi inke haath nahi aaye the.

Aisi hi loot RRRR mein dikhayi jaa sakti hai. Kyun ki bhale hi yeh normal robbery lage, magar usmein jo action hoga woh movie ko extra star dila jaayega!

 

-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Kalki 2898 AD

एक ऐसे warrior जो राह देख रहे है भगवान विष्णु के कल्कि अवतार के आने का ताकि उन्हें मिल सके मौक्ष और imoratality के श्राप

Read More »
thalapathy 68

Thalapathy 68

एक्टर जोसेफ विजय चन्द्रशेखर को टॉलीवुड फिल्म इंडस्ट्री वाले विजय थलापति के नाम से जानते हैं और सिर्फ टॉलीवुड वाले ही क्यों, पूरी दुनिया विजय

Read More »
Jawan

Jawan

मैं पूण्य हूं या पाप हूं? मैं भी आप हूं… यही कहते हुए हम सब के लाडले किंग खान ने हमें prevue की डेट और

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​