Sooryanvanshi 2

26 July 2008. Gujrati ke sehar Ahmadabad mai chaaron taraf shanti chayi huyi thi. Log humesha ki tarah shaam ko Sadkon par nikale huye the. Bazaaron mai Raunak hai. Shaam ke 6:45 minute ho rahe hai. Tabhi police department ko ek mail aata hai. Ye mail koi aisa vaisa mail nahi balki aatank ke sargana Indian Mujahedeen ka dhamki bhara mail hai. Jisme usne likha hai ki “agle 5 minute ke andar hi sehar mai bomb blast hone wale agar himmat hai toh rok lo.” Police kuch samjh pati usase pehle hi Maninagar ek bheed bhare bazaar mai ek zordaar dhamaka hota hai. dhamaka itni tez hai ki uski goonj sabke kaano ko sun kar deti hai. Iss dhamake ke bite 2 minute nahi huya ki 20 Or dhamake pure sehar ko dehla dete hai. Chaaron taraf afra tafree machi thi. Police ke jeep ki aawaz ke sath ambulance ki aawaze aa rahi thi. Ye bomb blast sirf market mai hi nahi balki 2 hospitals mai bhi huye the. Hospital mai ghaayal huye logo ko jaldi jaldi dusri jagah shift kiya jane laga. Government order par iss case ki jaanch ke liye ek special team banayi gayi. Taki iss dhamake ka ek bhi mujrim bach na paye.

Iss bomb blast ke mastermind Indian Mujahedeen ka kehna tha ki ye dhamake usne 2002 ke godhara kaand ka badla lene ke liye kiya tha. Lekin uski ye baat tab jhooti sabit ho gayi jab police ka dhyan Maninagar par gaya. Kyunki Maninagar uss waqt ke CM Narendra Modi ji ka vidhansabha area tha. Chaanbeen mai Police ko Maninagar se 2 zinda bomb mile. Or usi area mai 3 jagah bomb blast huye the. Police ko bomb rakhne ka pata tab chala jab unhone CCTv camera mai kuch suspicious logo ko cycle or bag ke sath dekha tha. Police ne uss waqt media ko ye bataya tha ki aatankwaadiyo ne bomb rakhne ke liye tiffin box ko apna sahara banaya hai. Vo tiffin box ke andar Bomb rakh kar laye the. Or unhone ye tiffin box rakhne ke liye mohara banaya cycle ko. Taaki logo ki nazar se vo boxes aaram se bach sake.

Iss mamle mai 35 FIR darz ki gayi thi. Jisme mai se 20 Ahmadabad mai ki gayi thi toh 15 Surat mai. Court ke kehne par in sabhi FIR ko ek mai mila diya gaya tha. Iss ghatna mai total 78 aaropi ko police ne pakda tha. Jiske baad chalaki dikhaye huye ek aaropi sarkaari gavaah ban kar police ki madad karne ke liye taiyaar ho gaya hai or ab 77 mujrimo par mukdma hona baki tha. Lekin ab bhi 9 log faraar the. Or Police in 9 logo ko kisi bhi kimat par chhodne ko taiyaar nahi thi. Saal dar saal beet’te gaye. Kayi gavaah ko jaan se maar diya gaya toh kaiyon ne khud hi iss aatanki maamle mai fasne se mana kar diya. Police begunahaon ko nyaay dilane ke liye har koshish karne ko taiyaar thi. Ek ek karke police ne sabhi mujrimo ko pakdna shuru kiya. Lekin police ke liye bhi ye raah aasaan nahi thi. Jo bhi police wala iss maamle ki tah tak jane ki koshish karta tha, achanak hi unki maut ho jati thi or ye kaun karta tha ye kisi ko pata nahi tha. Kai police walo ko dhamki bhare phone calls bhi aane shuru ho gaye the. Ek taraf un par tak aatanki hamlon ka dar tha toh dusri or begunah logo ke parivaar walo ke nyaay ki aas. Waqt laga lekin court ne sahi ka saath diya. Saal 2022 mai 13 saal ke lambe intzaar ke baad Court ne 49 mai se 38 aaropiyon ko faasi ki saza sunayi. Or bache 11 aaropiyon ki aakhiri saans tak Jail mai rahne ki saza di. Court ne ye saza tab sunayi jab sabhi kaidi alag alag jail mai baithe huye the. Aisa pehli baar huya tha jab Court ne itne saare logo ko ek sath faasi ki saza sunayi ho. Lekin sirf itna hi nahi court ne dhamake mai maare gaye logo ke parivaar ko 1-1 laakh muaavza(मुआवजे) dene ka ailaan bhi kiya.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Housefull 5

“Pairi Pona Mummy Ji!” Typical Indian Bahu aur uske sanskaar. Iski classes leni padh sakti hain kabhi kabhi. Hum Indians kabhi kabhi kuch aisa karte

Read More »
Baaghi 4, Tiger shroff , Hrithik Roshan, Vivek Oberoi, Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Baaghi 4

आज हम एक ऐसे पुलिस officer के बारे में बात करने जा रहे हैं, जो criminals के लिए किसी बुरे सपने की तरह बन गया

Read More »
Houssefull 5 , Akshay Kumar, Pooja Hegde, Kriti Sanon, Jacqueline Fernandez ,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Housefull 5

Hansana kise pasand nahi aur agar puri film hi comedy par based ho toh bas maja hi aa jata hai. Sajid Khan ka naam kisne

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected