Beta 2

Hum sabhi ne Ramayan ki kahaniya toh suni hai, humare dada, dadi ya phir nana, nani ki jubaan se. hum sabhi ne Shravan kumar ki kahani suni hi hogi, Jo apne andhe budhe maa baap ka eklauta beta aur sahara hota hai aur wo apne maa baap ko apne kandhe pe leke apne saath jaate hai.

Aesi hi ek kahani hum apke samne leke aaye hai, jo hum sabhi ko ek acche bete hone ke kartavya(कर्तव्य) yaad dila dega. Ye kahani hai Kailash Giri Brahamchari kim

Kailash (Tiger Shroff) Uttar Pradesh ke ek gaon se hai. kailash ke ghar ki halat kuch khass acchi nhi hoti, Jahan wo apne maa (Madhuri Dixit) baap (Anil Kapoor) ke saath rehete the. Kailash ke bachpan mein jab ek din wo apne dosto ke saath khelte khelte gaon ke bahar chala jata hai.

Tab kailash ka dost use keheta hai ki, wo ek sharth lagayenge, jaise ki jo us ped par sab se pehele chadega, wo sab se jyada takatwar hoga. aur chota kailash iss sharat ke liye maan jata hai. wo bhagte bhagte us ped par chadta hai. wo ped pe chad toh jata hai lekin ped ki teheni (टेहनी) kamjor hone ke karan wo teheni gir jaati hai, jise wajah se wo ped se gir jata hai aur use chot lag jaati hai.

Jiske baad uske dost use ghar le aate hai. par chote kailash ki wo chot abhi bhi geheri hoti hai aur jiski wajah se wo chal nhi pata hai. tab uski maa puri koshish karti hai ki wo jaldi se thik ho jaye. ab uske liye wo use samay pe dawayiya bhi det hai aur saath mein uske liye bhagwan se mannat bhi mangi ki wo thik ho jaye.

Chota Kailash apni maa ki har wo koshish dekhta hai aur soch leta hai ki wo apni maa aur baap ke liye kuch karega.

Waqt bit jaata hai aur kailash bada ho jata hai. Jahan budhape ki wajah se ab kailash ki maa ki ankhen kamjor ho chuki hai. Aur uski maa ki sirf yehi iccha hoti hai ki wo char dhaam ki yatra karna chahti hai. Chaar dham ki yatra karne se insaan ko moksha ki prapti hoti hai. Lekin umra badhne ki wajah se Kailash ki maa thik se chal bhi nhi paati.

Wahin dusri taraf Kailash ke pass itne paise bhi nhi the ki wo kisi sukh suwidha se apne mata aur pita ko yatra ke liye bhej sakta hai aur yehi sab soch ke Kailash ke mata pita ye soch lete hai ki, wo ye yatra kabhi kar hi nhi payenge.

Lekin unka beta unhe aise niraash nhi dekh sakta tha aur fir ek Kailash apne mata aur pita ko thik Shravan kumar ya shravan baal (बाल) ki tarah apne kandho pe bitha ke char dham ki yatra ke liye jata hai, jahan use kayi dikkato ka samna toh karna padta hai, lekin use uske is safar mein kayi aise log bhi milte hai, Jo khule dil se uski aur uske mata pita ki madad karte hai. Iss naye jamane ka Shravan kumar apne maa baap ki iccha pura karne mein safal hota hai aur is duniya ko ye sikhata hai ki sirf maa baap ka farj nhi hota humara khayal rakhna, balki humara bhi farz hai unki iccha ko poora karna aur unka khayal rakhna.

 

THE END

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Aashiqui 3, Directed by Anurag Basu,Kartik Aaryan, Jennifer Winget, Koushik Mahata, Sonia Birje,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Aashiqui 3

Thumbnail हमारी लव स्टोरी का हीरो कोई आदमी नहीं बल्कि हमारा मुख्य किरदार एक साइकिल है। इसी साइकिल की बदौलत यह प्यारी सी लव स्टोरी

Read More »
Race 4,Saif Ali Khan,Salman Khan, Jacqueline Fernandez Deepika Padukone ,bollygradstudioz.com

Race 4

Car racing ka culture famous toh khoob hai India mein, magar abhi tak kuch khaas races dekhne ko nahi mili hain. Log kaafi races jaise

Read More »
DHOOM 4 , Facts,Shahrukh Khan,Salman Khan ,Katrina Kaif ,Abhishek Bachchan Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Dhoom 4

Carl Gugasisn wo naam hai jisse paichan ki koi jarurat nhi hai ye ek aisa chor tha jo bahut saari degree paane ke baad bhi

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​