Krishna ki diary ki suruat!

Krrish 4 ki ane wali film me ki suruati story me hume ye dekhne ko milega, ki kese krishna ko apne sapno me apne pita rohit mehra ki memories or unke symbols najar ate the, jinhe wo diary me likhta rehta tha. Unhi me se ek thi unki kaal ke sath bani yad. Kese kaal ne Dr. Arya ke idea ko churaya, or use bhi ek idea aya ki wo bhi ek sanatan paida karega jise wo DNA mixing se banayega or duniya par raj karega.
Ab yaha Krrishna btata hai, ki kaal ka ye sapna to bhale hi pura nhai ho paya ki wo raj karega lekin usne uss bache ko aese banta tha, ki wo khud se soch sake, mehsoos kar sake yaha tak insano ki tarah baat bhi kar sake, usne iss bache ko Kaya se bhi advance banaya. Krrishna apni diary ke kuch aage ke panno se suruat karta hai jaha usne apne pehle sapne ka jikr kiya hota hai, krishna padhte huye btata hai, ‘yaha papa Kaal ko Dr. Arya ki kahani already bta chuke the, lekin abhi bhi kaal ne papa ka bone marrow nahi liya tha, kuki usne kaha ki mai apahij hote huye hi apne sari shakti ka istemal apne dimag ke liye kar pata hun, bone marro milne ke bad ye shakti mere pure sarreer me fail jayegi, or mera dimag pehle se kamjor ho jayega. Isiliye mai abhi apna pura dimag isse banane me kharch karna chahta hun.
Ye kehte hi usne papa ka DNA sample or apna DNA liya, or iske sath hi usne har uss janwar ke DNA ko inse fuse kiya jo possible ho sake, beech me ek doctor ne use rokte huye ye kaha, ki kaal kya ye sahi rahega, agar hume itne janwar ke DNA ko fuse kara dnege, to hine khud nahi Jan payenge ki hum kya bana rahe hain. Ye sunte hi kaal use marne hi wala hota hai, ki peeche se ek or Doctor bolte hain, ki rukjao kaal, sayad inki baat me practically bhi toddi sachhayi hai.
Agar hum aese hi kayi sare DNA ko fuse lara denge, to sayad body to generate ho jaye lekin, uspar hamara koi control nahi rahega, possible hai ki itni different abilities ke karan uska khud par bhi koi control na ho. Aese me hum jo banayenge wo sayad hamare liye hi ghatak sabit hi sakta hai.
Ab ye bat kaal ko samajh ati hai or wo iss experiment ko wahi rok deta hai. Or gusse me akaar wo apni lab ke sabhi kaanch Todd deta hai, jisse dekhte hi Krrishna ka sapna toot jata hai or wo jag jata hai. Isi ke sath uski diary ka ye kissa khatm ho jata hai. Ye sunte hi priya usse kehti hai, ‘han Krrishna sayad ye sab sach me hua tha kuki jab mai lab me thi to kayi dino tak mai ek hi chamber me baithi rahi, uss beech kayi dino tak mujhe kaal or uske doctors kahi najar nahi aye. Ho sakta ho wo isi experiment par kam kar rahe ho. Lekin isi ke bad Krrishna use btata hai, ye to bas suruat thi kuki kaal yaha nahi ruka, usne iss problem ka bhi solution nikal liya or ye mujhe pata chala apne ek or sapne me.
Ab iske bad Krrishna apne naye sapne ke bare me priya ko btane lagta hai, lekin uss sapne ko sunne ke liye apko abhi thodda sa wait krna paddega, kuki mai apse milunga next blog me aage ki kahani lekar. Tab tak aap hume comments me bat ye ki apko kya lagta hai ki kese kaal ne iss problem ka solution nikala hoga?

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Jawan

Jawan

फूलपुर के गांव में Hari नाम के किसान रहता था। Hari के पास बहुत सारी जमीन थी लेकिन उस जमीन पर खेती करने के लिए

Read More »

Hera pheri 3

Dumb Robbers की Dumb Robberies!   दुनिया में जहां बडे बडे scams, Money heist और Robberies हो रही है, वही कुछ robbers ऐसे भी है

Read More »
Khalnayak 2 ,Sanjay Dutt, Jackie Shroff, Tiger Shroff, Madhuri Dixit,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Khalnayak

Khalnayak Robinhood के बारे में तो आप सब जानते ही होंगे। बचपन में हम सब ने इसकी कहानी सुनी है कैसे यह चोर था जो

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected