Sooryanvanshi 2

Hindustan ka dil kahe jane wale Mumbai ne aaj tak na kitne bam dhamake dekhe or sahe honge. Lekin ek or shaksh bhi aisa tha jisne ye sab kuch dekha or inke piche chipe gunehagaaron ko saza dilaane ki kasam kha li. Or vo the IPS officer Rakesh Maria. Rakesh Maria ka janam 1957 mai huya jab desh dusri baar election or pehli baar booth capturing ka gavaah bana. Rakesh ke pita Arts and cultures filed se taalluk rakhte the. Lekin Rakesh ka man khel khood mai zyda rehta tha. Rakesh ne humesha hi Police officer ban kar Desh ki seva karna chaha. Or Ek din unka ye sapna sach bhi huya. Saal 1981 mai Rakesh ne pehli baar police uniform pehnai. Service ke pehle kuch saal bahut ache se beete. Din tha 12 march 1993 ka. Jab sardiyon ne apne peir sikodne shuru kar diye the. Khili dhoop ke sath Log humesha ki tarah Sadkon par nikal kar apne har din ke kaam kar rahe the. Tabhi ek sath 12 jagahon par bam dhamakon ki aawaz se na sirf Mumbai balki pura Hindustan dehal gaya. Charon taraf logo ne bhaagna shuru kar diya. Har ek insaan kisi bhi khuli jagah mai khade hone se bhi darne laga tha. Phir dopehar 1:30 minute par Bombay exchange ki 28 manzil ke basement mai ek or dhamaka huya. Chaaron or se logo ke cheekhne chillane ki aawaze aa rahi thi. In dhamako mai 257 log ki maut ho gayi or 713 log ghaayal ho chuke the. Sadkon par koi puri laash padi thi toh koi aadhi. Mumbai jaise sehar mai logo ko admit karne ke liye hospitals kam padne lage the. Iss bhayanak bam dhamake ka pata lagane ke liye meeting bulayi gayi. Phone ki ghanti baji or Rakesh Maria ko jald se jald Officer Samra ke ghar aane ka order mila. Rakesh ne apni jeep uthayi or sidhe ruki Samra ke bungalow par. Rakesh jaise hi ghar ke andar pahuche, unhone apne saamne Samra ke sath sath Joint CP crime branch Mahesh Narayan ko paya. Rakesh ko Mumbai mai post huye abhi 22 mahine hi huye the, tabhi unhe iss bam dhamake ka investigation officer chuna gaya. Uss waqt Rakesh ke man mai bas ek hi khyaal aa raha tha ki kya vo begunah logo ke kaatil ka pata laga payenge? Or lagayenge bhi toh kaise? Na koi saboot tha or na hi gavaah. Tabhi Samra me Rakesh se kaha, “Rakesh tum jaante ho ye kitne serious bam dhamake hain. Lekin isase bhi badi problem ye hai ki humare pass na toh koi suraag hai or na hi gavaah ki kisne kiya, kyun kiya? Ab Mumbai police ki reputation tumhare haath mai hai.” Rakesh ke saamne Karo ya maro jaisi situation khadi thi. Apne upar bharosa dilate huye Rakesh ‘Jai Hind’ bol kar vahan se chale gaye. Iss case mai total 152 teams banayi gayi. Lekin sabko lead karne wale sirf ek the Rakesh Maria.

Din tha 13 march 1993. Rakesh apne kaam mai busy the. Tabhi unhe ek tip mili. Unhe ek phone call aata hai. Jisme unhe ye pata chalta hai ki worli ilaake mai hathiyaaron se bhari ek van mili hai. Iss van mai AK 56 assault rifles, 14 magazine, 4 hand grenade mile. Rakesh ne bina deiri kiye jaanch ko aage badhya. Or unhe iss jaanch mai pata chala ki ye van Suleiman Menon ke naam par hai. Van ke kaagazaat mai pata tha Mahima ki Al Hussaini building ka. Rakesh ko shaq huya or unhone apne informer se pata lagane ko bola. Informer ne bataya ki building Tiger Menon ki hai. Ye pehli baar tha jab Rakesh ne Tiger Menon ka naam suna. Rakesh ne apne informer se poocha, “Tiger Menon? Ye kaun hai?” Informer ne bataya ki Tiger Menon Ek smuggler hai jo Dubai mai sone ki smuggling ka kaam karta tha. Or uska connection Underworld se hai. Underworld ka sahara pakar hi Tiger Mumbai mai bhi gold smuggling ka kaam karne laga. Ye aisa pehla naam tha jiska khulasa Rakesh ke saamne huya tha. Lekin ab bhi bahut se logo ke naam aane baaki the. Or kuch logo ke naam aise bhi the jo pure Hindustan ka chaheta sitara tha.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Karan Arjun 2

Karan Arjun, bollywood की वो फिल्म है, जिसने हमें हँसाया भी है और रूलाया भी है। कभी इसके गानों के साथ झुमना, तो कभी ‘ये

Read More »
Singham 3 ,Directed by Rohit Shetty. , Ajay Devgn, Akshay Kumar, Deepika Padukone,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Singham 3

Police alag alag tarike se gunhegaaron se confession lene ki koshish karti hai. Aisa hi kiya tha 2007 mein People v. Smith ke case mein.

Read More »
Sooryavanshi 2, Rohit Shetty, Akshay Kumar, Katrina Kaif, Ajay Devgn, Ranveer Singh,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Sooryavanshi 2

Kuch din pehle hi Police ko information mili thi ki Coimbatore ke ek karkhane mein ganja banaya jaa raha hai. Yeh secret information thi jiske

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​