Sultan 2

Thumbnail:- Sultan हुआ retired!

Content:-
Salman khan ki film Sultan ki kahani ki shuruat hoti hai Delhi se, jaha pe Sultan(Salman khan) ko retirement ke baad Arjun Award se nawaza jaata hai. Asal me Indian President ki taraf se desh ka maan badhane ke liye Sultan ko Arjun
Award diya jaata hai. Sultan award paakar waise toh bahut khush tha, halanki wrestling se retired hone ki wajah se woh thoda emotional bhi tha. Sultan award paakar khushi khushi-apne ghar Haryana laut’ta hai jaha pe Arfa(Anushka Sharma) garv bhari nazaron se Sultan ke aane ka intezaar kar rahi thi. “Kya hua aise kyun dekh rahi ho?” Sultan thoda confusion me sawaal karta hai. “Aree! President se award jeeta hai tumne, aise toh dekhungi hi naa..accha woh sab chodo aur mujhe dikhao ki aakhir Arjun Award hota kaisa hai”.Arfa Sultan ki haaton se bag leti hai aur usme se award ko nikaal ke dekhne lagti hai. Arfa award ko dekhte huye khyaalon me kho jaati hai jispe Sultan usse sawaal karta hai “Kya hua kya soch rahi ho?” Sultan puch kar jaise hi Arfa ke kandhe(कंधे) pe haanth rakhta hai, Arfa waapas apne khyaalon se baahar aati hai. “Kuch nahi…bus yahi soch rahi hu ki agar mujhe sahi wakt pe Olympic me jaane ka mauka milta toh shaayad aaj mere paas bhi yeh award hota…mera sapna tha ki mai poore desh ki ladkiyon ko wrestling sikhau taaki woh andar se mazboot bane aur ek hi baar me apne dushmano ko hara de”. Arfa aisa keh kar jor se saans letike kandhe(कंधे) pe haanth rakhta hai hai aur apne dukhi man ko Sultan ke saamne rakhti hai. Sultan Arfa ki inn baaton ko sunn thoda dukhi ho jaata hai aur kehta hai , “Arfa tu chinta mat kar! ab tera yeh sapna humari beti Aafreen(Suzi khan) pura karegi”. Sultan Arfa ko nayi umeed dete huye kehta hai jispe Arfa uski taraf ek halki si muskaan deti hai. Sultan aur Arfa ki 6 saal ki beti hai jise abhi tak wrestling se awagat nahi karaya gaya hai. Sultan waise toh ek international wrestler tha jisne desh ko kayi tournament me jeet dilwayi hai, halanki uski personality down to Earth hoti hai, yaani ki woh zameen se juda hua insaan hota hai, jise dikhawa karna ya apne naam ka galat fayeda uthana pasand nahi tha. Yaha tak ki Haryana ki sarkaar ne Sultan aur uske pariwaar ke liye flight ko free karwa diya tha, jiski wajah se Sultan kabhi bhi kahi bhi free me plane se safar kar sakta hai. Par Sultan Sarkaar ki iss deal ko apnaye bina humesha ki tarah aaj bhi Haryana se train pakad kar Chandigarh ke liye jaa raha hai. Sultan Chandigarh me reh rahe apne pariwaar se milne ke liye, wakt pe Arfa aur Afreen ke saath station pe toh pahuch jaata hai, par tabhi Afreen ka haath Arfa ke haaton se chut jaata hai aur Afreen station ki bheed me kho jaati hai. Ussi beech Chandigarh ki train aa jaati hai. Par Sultan aur Arfa dono bhi Afreen ko lekar pareshan hote hai ye sochkar, ki aakhir woh kaha gayi hogi. Poore station par dhundhne ke baad bhi jab Afreen nahi milti, toh Arfa aur Sultan dono kaafi ghabra jaate hai.
Toh audience aapko kya lagta hai kya Afreen mil payegi? Kya Sultan khoj paayega apni beti ko? Ye hum janenge agle blog me.

(To be continued part 1)

Cast:-
SULTAN:- Salman khan
ARFA:- Anushka Sharma
AFREEN:- Suzi khan

Khyati

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Mogul

Mogul

  T-series के founder गुलशन कुमार पर  इंडस्ट्री के सभी लोगों ने हमेशा प्यार बरसाया। पर एक बार ऐसा भी हुआ कि, गुलशन कुमार पर

Read More »

PK Again

उत्तर प्रदेश में कई माफिया हुए जिन्होंने अपराध की दुनिया में नाम बनाया। इन्हीं माफियाओं के बीच लखनऊ में एक कुख्यात गैंगस्टर रहा जिसने अपराध की दुनिया

Read More »

Krrish 4

यह घटना सन 1935 की है , और इसी वक्त भारत में govt of India act pass भी किया गया था. । उसी दौर की

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​