Ye kahan hai Indian Army ke Para Special Forces ke Commando Lance Naik Mohan Nath Goswami ( Bobby Deol ) ki, jinhone 10 din ke andar 3 anti-terrorist mein hissa lekar 10 terrorists ko 72 hooro ke pass pahunchaya tha. Kahani ki shuruaat hoti hai 21 August 2015 se, hum Para S F ke Captain Dipesh Mehra ( Amit Sadh ) ko dekhte hai. Captain Dipesh ko intelligence mili hoti hai ki Handwara District ke Khurmur gaon mein 9 terrorists aane wale hai, Isliye Captain Dipesh apne team ke saath vahan pahunchte hai. Agle din 22 August ki der raat ko Lance Naik Mohan apne 2 saathi Para Commandos ke saath Major Anurag Kumar ki leadership mein apne unit camp se kisi doosre mission par jaane ki taiyari kar rahe hai. Major Anurag ko intelligence mili hoti hai ki 10 terrorists ek nirdharit jagah par milne wale hai. In charo ka mission hota hai raaste mein or soldiers ko apne saath lekar us nirdharit jagah par pahunchna. Ye charo apne military squad vehicle mein bethkar us nirdharit jagah ke liye nikal jaate hai, tabhi inke radio par message aata hai ki Captain Dipesh ko goli lag gayi hai. Ye message sunte hi Lance Naik Mohan Major Anurag se kehte hai ki Mehra sahab ko goli lag gayi hai, chaliye fatafat vahi par chalte hai. Major Anurag iss baare soch hi rahe hote hai, tabhi radio par ek or message aata hai ki terrorists ke pass Pulemyot Kalashnikov naam ki machine gun mojood hai. Iska matlab ye tha ki Khurmur gaon mein terrorists ke pass ek esi machine gun hai, jo 60 seconds mein 700-800 rounds fire kar sakti hai. Iss machine gun ki vajah se Terrorists ke pass pahunch pana lagbhag namumkin tha. Itna sab kuch hona kaafi nhi tha ki tabhi Khurmur ki squad se aane wala radio communication bilkul shaant ho jaata hai. Lance Naik Mohan Major Anurag se kehte hai ki “sir achanak se radio itna silent kyu ho gaya ? Kahin humare sabhi fauji bhai veergati ko to prapt nhi ho gaye”. Itna sunte hi Major Anurag apne driver ko Khurmur gaon ki taraf jaane ka order dete hai.
Khurmur gaon se 200 meters dur chaaro Para commandos gaadi se neeche utarte hai, or 6 figure reference grid system ki madad se apne saathiyon ki location ka pta lagane lagte hai. Lekin tabhi unki gaadi par kuch goliyan aakar lagti hai, jiske baad charo Para commandos turant alert ho jaate hai or cover le lete hai. Kuch minutes wait karne ke baad charo Para Commandos jhuk kar aage badhne lagte hai, or Khurmur gaon ke kinaare pahuchkar pet ke bal letkar aage badhne lagte hai. Apni position se 20 meters dur Handwara ke pahad ki taraf unko Terrorists dikhne lagte hai, or terrorists ki position se 10 meters dur unhe Captain Dipesh Mehra ghayal halat mein dikhayi dete hai. Charo Para Commandos ek bade se ped ke peeche cover le lete hai. Captain Dipesh Mehra ki team ko apni position batane ke liye Lance Naik Mohan nath Goswami apni torch light ko Handwara ke pahad ki taraf flash karte hai. Torch light ki flash ko Terrorists bhi dekh lete hai, jiske baad vo machine gun se usi direction mein fire karne lagte hai jis direction se torch light ki flash aayi thi. Lekin machine gun ki saari goliyan ped mein lagti hai, or charo mein se kisi bhi commando ko goli nhi lagti hai. Apni position reveal Hote hi ye charo commandos terrorists ke saath seedhe fire fight karne lag jaate hai.
Lance Naik Mohan nath Goswami apni Tar 21 rifles se ek terrorist ko maar giraate hai, or bhaagkar ghayal pade Captain Dipesh Mehra ke pass pahunch jaate hai. Lance Naik Mohan nath Goswami Captain Dipesh Mehra ko badi hi saavdhani se or terrorists ki firing se bachaate huye ek surakshit jagah par le jaate hai. Iske baad Lance Naik Mohan nath Goswami apni squad or Captain Dipesh Mehra ki team ke saath terrorists ke upar tabadtod firing karna start kar dete hai. Terrorists bhi apni Pulemyot Kalashnikov machine gun se lagatar firing karte rehte hai. Major Anurag Kumar achee se jaante the ki terrorists ka ammunition kabhi na kbhi to khatam hoga hi, or esa hota bhi hai. Kuch der baad terrorists ki machine gun shaant ho jaati hai, or Major Anurag ka re-enforcement bhi aa chuka hota hai, jiske baad ek ek karke saare terrorists maare jaate hai.
( To be continued…. Part 1 )