Content:-
Kahani hai ek जांबाज़ Raw agent ki joh dusre undercover agent ki gaddari ki wajah se, Pakistani Army dwara pakde toh gaye, lekin kabhi bhi desh se gaddari nahi ki.
Kahani hai Raw agent Mohanlal Bhaskar ki, jinka janam Punjab me saal 1942 me hua tha. Apni zindagi ki shuruati daur me Mohanlal ne newspaper baantne se lekar labor tak ka kaam kiya tha. Halanki inn sab ke bawajood Mohanlal ki padhai me rahi ruchi ki wajah se unhone M.A aur B.ED ki padhai puri ki. Wahi unhone apni padhai puri karne ke baad, wo ek teacher bhi bane aur aane waale wakt me woh Sikkim ke ek school ke vice principal ke roop me bhi rahe. Dikhne me Mohanlal ki chavi(personality) aap ko humare purv pradhaan mantri, Atal Bihari ki yaad dila degi. Dekha jaaye toh Mohanlal unki hi tarah har field me maahir bhi the. 200 se jyada lekh likhne ke alawa Mohanlal ne Radio me bhi kaam kiya hai. Halanki inn sab cheezon se alag unhe ek cheez khaas banaati hai aur woh hai “Desh bhakti”. Mohanlal ke andar desh bhakti ki bhaavna humesha se thi, jo Bharat-Pak ke partition ke baad aur badh gayi. Mohanlal ab desh ke liye kuch kar guzarna chahte the.
Asal me ek baar Mohanlal ne shaheed Bhagat Singh ki samaadhi pe unke liye likhi, apni kuch पंक्तियां padhi jiske liye unhone logon se khub taarifein bhi batori, Lekin tabhi ek officer unke saamne aaya aur kaha ki, “desh ke liye kavita padhna asaan hai, lekin uske liye marna bahut mushkil hai”. officer ki kahi hui yeh baat Mohanlal ko thodi khatki(खटकी), jiske baad unhone jawaab me kaha “saahab border pe agar goli chale toh bula lena, chaar kadam aage hi rahunga aur agar bhaaga toh goli maar dena”. Mohanlal ki apne desh ko lekar yeh bhaavna hi unhe RAW tak le aayi.
1967 me Mohanlal ko Pak bheja gaya. Mohanlan Raw dwara Pakistan, Mohammad Aslam ke naam bheje gaye the. Mohanlal ko Pakistan ke nuclear program ke baare me jaankaari Jutaani thi. Raw dwara jab Mohanlal ko Mohammad Aslam bana kar Padosi desh bheja gaya, tab unhe ek asli Pakistani ki har baariki sikha di gayi thi. Kaise Pakistani Muslim rehte hai aur unki bhaasha kaisi hoti hai, jaisi tamaam cheezen Mohanlal ko sikha di gayi thi. Mohanlal Raw ko Pakistan me reh kar kaafi madad pahucha rahe the ki tabhi unhe ek dusre agent (jo asal me Bharat aur Pakistan dono ke liye jaasosi kar raha tha) uske dwara Mohanlal pakde gaye. Uss gaddar ka naam Amreek Singh hai. Mohanlal ne inn sab ki jaankaari apne dwara likhi gayi kitaab “An Indian Spy in Pakistan” me di hai. Mohanlal ne gaddar Amreek Singh ki wajah se Pakistani officers dwara khub torture jhela. 1968 me Pakistan dwara unhe bandi bana liya gaya aur unhe Lahore ki “Kot Lakhpat jail” me band kar diya gaya. Mohanlal Lahore ki iss central jail me 1971 tak rahe, jis beech unki mulakaat Pakistani pradhaan Mantri, zulfikaar Ali Bhutto se bhi hui thi. Iske baad Mohanlal ko Miyanwaali jail bheja gaya. Baad me Bharat ke saath huye Shimla samjhaute me unhe baaki ke Pakistan me band Bhartiya kaidiyon ke saath riha kar diya gaya. Mohanlal jab tak jail me rahe tab tak unhe khub tang kiya gaya, lekin inn sab torture ke bawajood unhone kabhi bhi desh ke khilaaf gaddari nahi ki.
Toh yeh thi veer Mohanlal Bhaskar ki kahani jinhone desh ke liye apna har kuch daanv pe laga diya tha.
Agar aapko yeh blog pasand aaye toh like jarur kare, dhanyawaad!
~Khyati
Cast:-
Mohanlal Bhaskar:- Sonu Sood