Ganapath

Hawa Singh ka janam azaadi se pehle 1937 me Haryana me hua tha.

Hawa Singh ne maatr 19 saal ki umar me hi Army join karli thi. Army me bitaye apne wakt ke dauran hi Hawa Singh ne apni boxing ki career ki shuruat ki thi. Jis daur me Hawa Singh ne apna kadam boxing ki duniya me rakha tha, uss wakt desh ke bahut kam hi logon ko Boxing ko lekar jaankaari thi. Kadi mehnat aur himmat ki wajah se Hawa Singh 1960 me western command(Indian Army me maujood 7 command me se ek) ke champion ban gaye. Bharatiya sena me maujood Champion Mohabbat Singh ko hara kar, Hawa Singh western Command ke champion bane the. Iske baad Hawa Singh lagataar 11 saalon tak National boxing champion rahe. Yaha tak unki iss record ko aaj tak koi bhi champion nahi tod paaya hai. 1962 me Jakarta me huye Asian Games me Bharat ki taraf se Hawa Singh, ek kaabil Boxer ke roop me toh the, par Bharat aur China ke beech chal rahe Vivaad ki wajah se Hawa Singh uss khel ka hissa nahi ban paaye the. Halanki iske thik kuch saal baad Hawa Singh ne 1966 aur 1970 Asian Games me Gold jeet kar, itihaas rach diye tha. Yeh dono hi khel Thailand ke Bangkok me hua tha. Saal 1974 me Hawa Singh Tehran Asian Games me utare, jaha pe Hawa Singh ne apne Irani opponent ko buri tarah se hara toh diya tha lekin Referee ki yod se mile partial judgment ki wajah se woh apna lagataar teesra gold jeetne se reh gaye the. Boxing ki duniya me apna dum dikhaane ke baad Hawa Singh ne saal 1980 me iss khel ko alvida keh diya. Boxing se retirement lene ke baad Hawa Singh Haryana ke Bhiwani jaakar bas gaye. Yaha pe Hawa Singh ko Boxing wing ka chief coach banaya gaya. Uss dauran Hawa Singh ke batch me 10 students the. Hawa Singh apne har students se kehte the ki “Boxing kaafi saral khel hai yeh sirf punch lagaane aur punch se bachne ke hi baare me hai.” Hawa Singh ka training dene ka tarika bhi alag tha. Woh apne students ke haath peeche unke kamar(waist) se bandh dete the aur phir uske baad unse daur lagwaate the. Hawa Singh ka maan’na tha ki isse aadmi ke kandhe bhi mazboot hote hai aur pair bhi. Kaha jaata hai ki Hawa Singh ka sapna tha ki woh ek baar World Boxing Champion Mohammed Ali se saamna kare. lekin unki yeh wish kabhi puri nahi ho paayi. Hawa Singh ko 1966 me Arjun Award se nawaaza gaya tha. wahi unhe 1968 me chief of Army Staff dwara “best sportsman” ki trophy di gayi. Wahi saal 2000 me Hawa Singh ko Bharat sarkaar ne Dronacharya Award ke liye chuna. Yeh Award khiladiyon ke coach ko di jaati hai. Lekin jab tak unhe yeh Award milta usse pehle hi matra 62 saal ki umar me Hawa Singh ki maut ho gayi. jiske baad Hawa Singh ki wife ne unke badle Dronacharya Award grahan Kiya.

Toh yeh kahani thi humare desh ke mahaan boxer Hawa Singh ki. Agar aapko yeh blog pasand aayi toh isse like karna naa bhule. Dhanyawaad

Cast:-

Hawa singh:- Siddharth Malhotra

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Gadar 2

Azaadi ke baad mano jaise pakistan ke par hi nikal gaye ho usse toh ab har taraf sirf aur sirf khud ki maujudgi dikh rahi

Read More »
Soldier 2 , Bobby Deol | Sara Ali Khan | Prakash Raj | Abbas Mastan Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Soldier 2

June 2013, kahani ki shuruaat hoti hai Jammu & Kashmir ke Pulawama district ke Yachu Guchan gaon se. Subah ka waqt hota hai or gaon

Read More »
GADAR 2

Gadar 2

    गदर 2 फिल्म का announcement जब से हुआ है, लोगों कि खुशी का कोई ठिकाना नहीं है। सभी चाहते हैं कि फिल्म जल्द

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected