KGF 3

Smuggling ke cases mein maza ismein nahi ata ki kis cheez ki smuggling hui hai, balki iss cheez mein ata hai ki kaise ki gayi hai yeh smuggling. Chahe cocaine ho yaa phir sona, sabhi ko pata hai smuggling kuch hi cheezon ki hoti hai. Aise mein kaise dimaag laga kar, yeh smuggling ho rahi hai, yeh jaan ne wali baat hai.

Toh aise hi kuch interesting kisse hain, jin mein Gold ki taskari hoti dikhi hai. Kuch reports ke hisaab se, thode samay pehle gold ki smuggling ek ajeeb tarike se hui thi. Smuggle karne walon ne ek naye tarike se sone ko smuggle karna chaha. Iss tarike mein Gold ko pighalaya gaya, bilkul itna chota jitna chota koi beej hota hai, aur phir usse artificially ek mehenge fruit mein dala gaya. Pure world mein “Dates” naam ka fruit import export hota hai, isi liye iss fruit mein, iss melted gold ke beej daal diye gaye the.

Abb fruit toh alag se transport kiya jata hai, aur itni covering ke baad, iss beej ko scanner bhi as it is nikaal raha tha. Itne saare dates, aur itne saare dates mein yeh gold ke beej. Bhai waah kya strategy hai. Kaam bhi ho raha tha, aur kisi ko khabar bhi nahi mil rahi thi. Hum aapko bata dein ki India mein lag bhag 700kg gold har din smuggle hota hai, aur aise mein sirf ek tarika nahi hai. Smugglers alag alag tarike se, jaise phones ke chargers mein, yaa tak ki apne daaton ki cavities mein bhi chupa kar smuggling kar rahe hain.

Magar inn sab mein hamara favorite toh dates wala hi hai. Usse pakadhne mein kaafi time lag gaya tha, jab tak pata chala tha. Yeh gold Dubai se India mein araha tha, aur woh bhi chote chote seeds ke shape mein. Abb zaahir si baat hai jab sona Dubai mein sasta hai, toh uski India mein demand bhi khoob hogi. Magar India se bhi aise hi Gold smuggle kiya jata hai, kyon ki sona yahan ka khara hota hai. Isi liye sone ki mines mili nahi ki kismat khul jaati hai. Aur smuggling hi aisa tarika hai jisse heavy tax bachaya ja sakta hai. Aur aise mein iss smuggling ko kam hi log mil kar pura karte hain. Akhir jitney zyada log involve honge, utna hi khatra hoga. Isi liye hi plan ko sochne ke baad iska execution bhi khud hi dekhna padhta hai, kyon ki pakde gaye toh haal hum sab jaante hi hain. Magar smugglers ko kahan kisi ka darr lagta hai!

 

Aisee mein bhala Kya Rocky Bhai ko lag sakta hai kisi se darr?

Obviously nahi. Isi liye hi woh iss baar ki taskari kuch interesting tarike se karte hue dikhenge!

Dekhna yeh hoga ki kaise!

Tab tak agar aapko hamara yeh blog pasand aya toh share karna na bhulein.

 

Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

KGF3

KGF 3

KGF VS PUSHPA पूरी दुनिया में इंडियन सिनेमा का डंका बजाने वाली दो फिल्में KGF aur Pushpa के lead actors Allu Arjun and Yash को

Read More »

Pushpa 2

Hamne pushpa mein deka tha ki kaise pushpa ne last last tak kaise police waalo se apna peecha chhudaya tha lekin makers iss baar pushpa

Read More »
KGF 3, Yash, Sanjay Dutt, Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

KGF 3

Mundra Port India ka sabse bada private commercial port hai. Yeh 1998 mein khula tha jisse pehle desh mein sirf 1 aur port tha, Port

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​