Bahubali 3

Duniya ke itihaas mein tarain ke yudh ke baare mein sunhare words mein likha gaya hai, paschim taraf apna parcham lehrane ke baad Shahab -ud -din Muhammad Ghori ne Bharat ko apna gulaam banane ki sochi, usse pahele Ghori ne kai saare yudh ko as a leader direct kiya tha.Shahab -ud -din Muhammad Ghori ka ek maqsad tha wo ki Islam ko puri duniya mein failana hai aur khaas kar bharat mein muslim rajya sthapit karna tha. Saal 1175 mein Multaan ke shashako ke khilaaf abhiyan shuru kiya gaya tha jiske baad dakshin ka rukh kiya aur phir desert paar karke Ahilwadka ke liye rukh kiya. Saal 1178 mein bharat ke kai yaadgaar yudh huye hai jinme se ek Tarain ka yudh tha, yahi wo yudh hai jiske baad bharta mein muslim saamrajya ka invention hua tha jiske baad kai saalo tak bharat muslim shashako ke aadhin raha tha, aur yahi ek aisa yudh tha jisse kai baar dauhraya gaya tha. Tarain ka pahela yudh saal 1191 mein Tarain ke maidaan mein lada gaya tha, ye yudh Hindu Rajput raja Prithviraj Chauhan aur bharat par hamla karne waale Shahab -ud -din Muhammad Ghori ke bich hua tha. Iss yudh mein Ghori ki karaari haar hui thi aur uski sena waha se bhaag gayi thi yaha tak ghori buri tarah se ghayal ho gaya tha aur usse apni jaan bachakar Bharat se bhaagna pada tha. Jald hi Ghori ne apna saamrajya ko bharat mein failaane ke liye koshish karne laga tha uss samay Uttar ki Bharat thodi kamjor thi isliye Ghori ne socha ki kyu nhi udhar pahele hamla kiya jaaye. Lekin hamla karne se pahele Ghori ne socha ki kyu nhi pahele ek samjhauta karne ke liye baat ki jaaye toh usne Prithviraj Chauhan ke darbaar mein apna ek dut ko bheja aur yeh shart rakhi ki Chauhan ko Islam dharm apnana hoga uske baad hi usse waha ka raja bane rahne diya jaayegaa. Ye suntey hi Prithviraj Chauhan ne fauran mana kar diya tha aur unhone yudh ke liye Ghori ko chunauti bhi de di thi.

Bharat mein apni sena ke sath ghuste huye Ghori Bhatinda ke kiley par kabza karne ke liye aage badha aur bhatinda ke logo ko delhi ki sena ne harqat mein la diya jiske kaaran Prithviraj Chauhan na apne dosto ko eekhata kiya aur yudh mein Ghori ka saamna karne ke liye apni sena ko control karne ka faisla liya. Saal 1191 mein Delhi se 150 kilometres north mein Tarain ke maidan mein dono sena aamne saamne thi, itihaaskaaro ki maane toh Prithviraj Chauhan ki sena ki sankhya 2 lakh thi lekin kuch itihaaskaar batatein hai ki 50 hazar sena thi. Mohammad Ghori aur Prithviraj Chauhan ki sena mein kaafi antar tha jaha rajputoh ki sena mein haathiyo ki taakat jada thi toh wahi Ghori ki sena mein dhanudhariyo ne uska bahut faida uthaya tha. Prithviraj Chauhan ne turant uss hamle ka jawab diya jo Ghori ke taraf se aaya tha aur ye hamla dekh Ghori ke senao ki hosh hi udd gaye the uhne samjh hi nhi aa raha tha ki iss hamle ka jawab kaise de.

Iss yudh mein Prithviraj Chauhan se ek galti ho gayi thi jiske karan Tarain ka dusra yudh bhi hua tha. Unse ye galti hui thi ki unhone apni bahudari aur himat toh unhe dikha di thi lekin ghori ki bhaagti hui sena ka unhone picha nhi kiya tha aur itihaaskaar batatein hai ki jab Ghori aur sena yudh se haar kar wapas ja rahe the tab wo bina kisi dikat ke wo apne desh chale gaye thy aur yahi ek bada karaan tha Tarain ke dusre yudh ka jisme ghori ko sab pata tha aur ussi ka faida dusre yudh mein Ghori ne uthaya tha jiske wajah se Prithviraj Chauhan haar gaye the. Pahela Yudh bhale Ghori haar gaya tha lekin uski himmat abhi bhi nhi tuti thi. Tarain ke yudh ke baad Prithviraj Chauhan, Ghori ke taraf se pura nischint ho gaye the unko lag raha tha ki Ghori ab wapas nhi aayegaa. Baad mein Prithviraj Chauhan apne patni Sanyogita ke sath busy ho gaye the aur apna pura waqt unko dene lage the. Lekin wahi dusri aur Ghori apne haar aur bezzati ka badla lene ki taiyaari mein lag gaya tha. Uss yudh mein kai rajya aise bhi the jo khud ko Prithviraj se apmanit samjh rahe the jiske wajah se unhone Prithviraj Chauhan ka sath chor diya tha aur Ghori se ja miley the.

Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Bahubali 3 ki,aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

pushpa 2

Pushpa 2

पुष्पा मूवी के डायरेक्टर सुकुमार ने सोचा लिया था कि मूवी को इस तारिके से बनाएंगे जो लोगो को बरसो तक याद रहे, और सुकुमार

Read More »
Leo

Leo

जब से फिल्म लियो का प्रोमो विडियो आया है audience की curiosity और excitement हद से ज्यादा बढ़ गई है । Audience भी उस विडियो

Read More »
KGF 3 , yash , Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

KGF chapter 3

Aaj hum baat karne wale hai Mumbai ke sab se badnaam mafia Don ke baare mein, jisne Mumbai sheher mein 1960 ki shuruaat se lekar

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected