Mundra Port India ka sabse bada private commercial port hai. Yeh 1998 mein khula tha jisse pehle desh mein sirf 1 aur port tha, Port Pipavav. Bade bade store houses, badi badi gadiyan, bade bade cargo ships sab yahi rehti hain. Africa ho yaa middle east sabhi ka saman yahi load hota hai. Lagbhag 70% imports yahin par aate hain, jo ki pure desh mein isse number 1 banate hain. Itna hi nahi balki pura kaam achi khaasi advanced machines aur artificial controlled machines se kiya jata hai.
Aise mein port operator ko charges milte hain jisse port ki maintenance bhi hoti hai, aur operations bhi chalte rehte hain. Alag alag tarike ki machines jaise grab sheet unloaders aur mobile harbor cranes ka istemaal kiya jata hai, jisse samaan utaara aur chadhaya jata hai. Abb yeh machines bade bade engineers banate hain aur toh aur iski khas dekh rekh bhi ki jaati hai taaki koi hadsa na ho jaaye. Itni badi machines ka fayda hi yeh hai ki zyada se zyada kaam hota hai aur woh bhi kam se kam waqt mein. Isi liye hi toh Mundra Port sabse bada operational Port hai India ka. Aise mein badi badi cars, bade bade consignments sabhi ke sabhi yahin aate hain. Itna hi nahi iss system mein itni tight security hoti hai ki sabhi saman ke liye apne apne warehouses bane hue hain. Aise mein harr tarike ka saman tab tak store kiya jata hai, jab tak authorized collector aakar samaan lekar nahi jata. Yeh saman koi chota mota order nahi hota, balki bade bade business walon ka raw material hota hai, toh kabhi kabhi inventory bhi aati hai. Foreign ka import ka saman yahin par utara jata hai toh India ke exports bhi yahi se chadhte hain. India ka sara exports ka maal jo Africa aur Middle East mein jata hai, woh issi port se rawana hota hai. Khaas scanning aur verification ke baad yeh saman load kiya jata. Yeh scanners kaafi strong hote hain aur inki rays bilkul penetrate ho jaati hain, isi liye hi smuggling ke chances yahan par kam hote hain. Akhir port operator kyon hi apna dhandha band karwana chahega. Iske alawa sabko pata hai ki sirf 1 stage checking nahi hoti balki multiple check points hote hain. Isi liye hi iss raaste se smuggling karwana kaafi mushkil hota hai. Koi bada aadmi hi jo system mein ho, wahi sirf isse asani se nikalwa sakta hai. Baaki toh iss raaste se taskari karwa pana mushkil hai! Bus yahi guthi KGF mein Rocky Bhai kaise solve karte hain yeh dekhne ko mil sakta hai.
Tab tak agar aapko hamara yeh blog pasand aya toh isse share karein.
Pratima Ratwani.