Ganpath

Jackie Chan ko kaun nhi pehchanta. Ek aise great actor, jinki mahaanta se puri duniya waakif hai. Jackie Chan ka janam 1954 me Hong Kong me hua tha. Uske baad woh apne maata pita ke saath Australia shift ho gaye. Jackie Chan ke pita Australia me American embassy me head cook the. Apne pita ko cooking karte dekhna, Jackie ko bahut pasand tha. Jackie Chan primary school ke pehle hi saal fail ho gaye jis wajah se unke pita ne unhe waapas Hong Kong ke boarding school bhej diya. Jackie ko padhai me bilkul bhi mann nahi lagta tha. halanki unhe martial arts, music aur acrobats me bahut interest tha aur issi field me woh apna career bhi banana chahte the. Jackie sirf 8 saal ke the jab unhone filmon me kaam karna shuru kiya tha. Iske baad Jackie ne martial arts me black belt haasil kiya aur baad me Judo, Karate aur Taekwondo bhi seekha. Yeh sab karte huye, Jackie apni padhai puri nhi kar paaye. Unke maata-pita Australia me rehte the. wahi Jackie akele Hong Kong me the. Jackie ke aas paas ka mahaul sahi nahi tha. Unke aas paas मारपीट aur गुंडागर्दी karne waale bahut se log the. Unke kayi dost toh drugs bhi bechte the. Lekin Jackie ne apne pita se waada kiya tha ki woh drugs, gambling, casino jaisi cheezon se door rahenge aur unhone apne pita ko diya hua yeh waada lagataar nibhaya. Jackie jab 17 saal ke huye toh woh filmon me stuntman ke taur pe kaam karne lage. Unhone “enter the dragon” me Bruce Lee ke saath bhi kaam kiya. Halanki issi beech Jackie ke paas filmon ki kami shuru ho gayi, jis wajah se woh ek construction worker ke taur pe kaam karne lag gaye. Waha ek builder tha jiska naam “Jack” tha. Inhi ke naam se Jackie ko “little Jack” aur baad me “Jackie” bulaya jaane laga. Iss tarah se woh “Chan Kong-Sang” (चैन कॉन्ग सान्ग) se Jackie Chan ban gaye.

Jackie ko ek din Willie Chan(विली चैन) mile jo ki Malaysian film producer hai. Unhone hi Jackie Chan ko film ka offer diya. Willie, Jackie ki pichli filmon me nibhaye gaye stunts ko dekh prabhaavit the. Jackie ke career ko banane me Willie ka hi haath hai. Woh Jackie ke manager ke roop me bhi rahe. Dusri taraf Jackie ko unke stunts ki wajah se chote kaam milte rahe. 1978 me “Snakes In The Shadow” ke director ne unhe puri छूट di ki woh apni creativity ka istemaal kare aur stunts bhi apne style me hi perform kare. Yeh Jackie ki pehli super-hit film saabit hui. Jackie maante hai ki, Kung Fu aur comedy ka sahi balance hi unki filmon ko kaamyaab banata hai. Jackie ke aane waale dino me “Drunken master” aur “Spiritual Kung fu” bhi safal rahi. 1981 ke baad unhone Hollywood ki kuch filme ki, lekin unki filme lagataar flop hoti rahi. Issi wajah se Jackie ne socha ki woh ab Hong Kong ke cinema pe hi dhyaan denege. Woh Hong Kong waapas aa gaye jaha pe unhe pyaar mil raha tha. Jackie Chan ki “Young master” ne Bruce Lee ke records tod diye aur issi ke saath Jackie, China ke sab se bade star ban gaye. Inn sab ke baad ab ek baar phir Jackie ko Hollywood ki filmon ki taraf se offer milne lag gaye. Unki “rush hour” badi hit saabit hui. Iske baad unki do filme lagataar flop rahi lekin Jackie ne iske bawajood bhi apne production house ki shuruat ki. “The spy next door” aur “The Kartate kid” kaafi hit rahi, jisme kaam karke Jackie ko kaafi maza aaya. Jackie ne 2017 me Sonu Sood aur Disha Patani jaise indian actors ke saath “Kung fu yoga” banayi. Jackie Chan ne super-hit film “Kung fu panda” me apni awaaz bhi di hai. Iss film me unhone “Monkey” ke kirdaar ko awaaz di hai. Jackie ko music me bhi bahut interest hai. Unhone kareeb 20 se jyada albums bhi release kiye hai. Ek wakt pe construction worker ke taur pe kaam karne waale Jackie Chan ki aaj estimated net-worth kareeb 400 million dollar ke aas paas hai.

Toh yeh thi Jackie chan ki kahani. agar blog pasand aaye toh ise like kre aur channel ko subscribe jarur kare. Dhanyawaad

Cast:-

Jackie chan:- Jackie chan

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Rocky aur rani ki prem kahani

Rocky rani ki prem kahani

कहावत है, शरीर पर वार करो और वह ठीक हो जाता है। लेकिन दिल को चोट पहुंचाओ तो वो घाव जीवन भर रहता है।” दिल

Read More »
Baaghi 4, Tiger shroff , Hrithik Roshan, Vivek Oberoi, Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Baaghi 4

साल 1991 का वह दिन, जहां एक होटल के कमरे में आईने के सामने एक लड़की दुल्हन बनकर बैठी थी। पर दुल्हन के जोड़े में

Read More »
Baaghi 4, Tiger shroff , bollygradstudioz.com

Baaghi 4

आपने टाइगर श्रॉफ की बागी सीरीज को enjoy तो किया होगा ना? अब टाइगर श्रॉफ का एक्शन, उसमें नजर आने वाली केमिस्ट्री यह सब कुछ

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected