War 2

Baat jab bhi detectives ki aati hai, toh humesha humare mann me yahi baat aati hai ki yeh kaam toh aadmiyon ka hai, naaki auraton ka. Bade bade detectives chahe woh Sherlock Holmes ho ya phir James Bond yeh sabhi log auraton ko baar baar yaad dilaate aaye hai, ki jaasos banna sirf aadmiyon ka kaam hai. Aur issi stereotype ko todne ke liye humare desh ki Rajani Pandit(रजनी पंडित) aayi aur unhone humare samaaj ko yeh bataya, ki aisa koi kaam nahi jo ladkiyan nahi kar sakti. Chahe woh yudh me sabse aage khada hona ho ya phir kisi crime ko solve karna ho, ladkiyan har cheez me aage hai. Rajani Pandit humare desh ki pehli private investigator hai, jinhone abtak 80,000 se bhi jyada cases ko solve kiya hai. Rajani Pandit ka janam Maharashtra ke Palghar me, 1962 ko hua tha. Rajani ke pita ussi jagah ke sub-inspector the. Waise toh Rajani ne apni career detective agency me banane ki kabhi nahi soch thi, lekin unhe humesha se hi Mysterious aur detectives ki kahaniyon me ruchi thi. Rajani jyadatar aisi hi kitaabe padhti thi. Rajani ne Mumbai ke Ruparel College se apni graduation puri ki. Rajani ka pehle case ki shuruat 22 saal ki umar me tab hui, jab woh apne College me hi padhai kar rahi thi. Hua yu ki ek din Rajani ne apni classmate ko phone pe baat karte huye suna ki ‘kaise woh apne pariwaar ko bewakoof bana rahi hai’. Rajani ki classmate acche ghar se thi lekin uski aisi baatein Rajani ke mann me shak ko paida karne ke liye kaafi thi. Rajani ne uss ladki ka peecha kiya aur yeh paaya ki woh ladki galat logon ke sampark me hai. Rajani ke anusaaar usne iss baare me uss ladki ke pariwaar waalon ko bataya, lekin unn logon ne ulta Rajani ko hi bhala-bura keh diya. Rajani ne baad me jo jaankaari uss ladki ke pariwaar-waalon ko di uske baad unlogon ko Rajani ki baaton pe vishwaas hua aur woh log satark huye. Uss ladki ke pariwaar waalon ne Rajani ka dhanyawaad kiya aur kaha “Aap toh ek spy ho”. Yahi pehla incident tha jisne Rajani ke dimaag me detective banne ki beej boyi. Iske baad bhi kuch aur incidents huye jo Rajani ki samjhdaari ki wajah se hi solve ho paaye. inn sab cheezon ne Rajani ko provoke kiya ki unhe apni career ek detective ke roop me hi banani chahiye. Rajani batati hai ki “jasoosi ko lekar, jo logon ke mann me thrill aata hai woh sirf filmon aur novels tak hi seemit hote hai. Iss field me bahut risk hai. Dusri baat yeh, ki ek mahila hone ke naate yeh risk aur bhi jyada badh jaati hai.” Rajani batati hai ki unke pita kyunki police me the toh woh jaante the ki iss field me bahut risk hai. Thodi si bhi galti hone pe log, ungliyan uthane lagte hai. Issi wajah se Rajani ke pita unke detective banne ke khilaaf the. halanki unki Maa unka pura saath de rahi thi. Kuch dino baad unke pita bhi raazi ho gaye. Jab Rajani graduation karne ke baad ek office me clerk ka kaam sambhaalne lagi. Ussi beech ek aur incident hua jisne unki detective banne ki raah humesha ke liye khol di. Asal me unke office me kaam karne waali ek mahila ke ghar me achaanak chori ho gayi aur mahila ko shak tha ki chori unki bahu ne ki hai. Rajani ko phir ek baar detective banne ka mauka mila aur unhone mahila ke ghar ke sabhi logon ke daily routine pe, kuch dino tak nazar banaye rakha. Iss dauran Rajani ne paaya ki ghar ke sabse chote bete ne hi chori ki hai. Yeh Rajani ka pehla paid case tha. Iske baad unlogon ne Rajani ko apni iss skill ko aur aage badhane ke liye motivate kiya. Iss case ke baad unki ek choti si article paper me chap gayi, jiske baad bahut saare log khaaskar mahilayein Rajani ke paas apni cases lekar pahuchti thi. Rajani ne 1986 me apna pehla Investigation bureau khola. Iske baad Rajani ko India ki pehli mahila jaasos ka title mila. Halanki Rajani ne apne career ke dauran kayi mushkilon ka saamna kiya. woh bhi sirf iss wajah se kyunki woh ek mahila thi. Newspaper unki article print karne se sirf issiliye mana kar dete the. kyunki unhe aisa lagta tha ki ek mahila kabhi bhi detective nahi ho sakti.

Toh darshakon aapko kya lagta hai aakhir kis tarah ki chunautiyon ka saamna kiya hoga Rajani ne? Kaise woh bani desh ki Lady James Bond? Puri kahani jaan’ne ke liye bane rahiye humare saath. BOLLYGRAD STUDIOZ PE.

To be continued

CAST:-

RAJANI PANDIT:- Rekha

 

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

DON 3

Don 3

13 अक्टूबर की रात को दिल्ली के एक नामचीन five star hotel में Ashish pandey 3 indian और foreign लड़कियों के साथ अपनी BMW car

Read More »
Aashiqui 3, Directed by Anurag Basu,Kartik Aaryan, Jennifer Winget, Koushik Mahata, Sonia Birje,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Aashiqui 3

Koi bhi movie banne se pahele kai muskil raste se gujarti hai phir wo chahe sahi actors ko dhundhne ki ho ya sahi script ki,

Read More »
Dangal 2 , Aamir Khan, Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

DANGAL 2 (Part 4)

पिछली वीडियो में हमने बात की कि Raju खेत से जल्दी जाता है ताकि वह खेल और रोमांच के लिए समय निकाल पायें । अब

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​