Ganapath

 

17 saal ki umar me aam log kya karte hai? Jaahir si baat hai apne teenage life ko jee rahe hote hai aur apni life ko lekar thoda serious hona shuru karte hai. Par agar mai aapse kahu ki koi 17 saal ki umar me hi apne profession se retire ho jaaye? toh aapka kaisa reaction hoga? चौंक gaye na? Lekin hum sach keh rahe hai yeh kahani hai ek aise martial artist ki, jinhone sirf 11 saal ki umar me martial arts me national champion ka title own kiya tha aur sirf 17 saal me woh iss khel se retire bhi ho gaye. Jet Li martial artist hone ke alawa ek actor bhi hai. 26 April 1963 ko China ke Beijing me janme Jet Li ne khud ko wushu naamak Chinese martial art me train kiya hai. Wushu lagbhag Kung fu ki tarah hi hoti hai halanki yeh Kung fu ki modernize version hoti hai. Jet Li ne 17 saal ki umar me Wushu se sanyaas liya, jiske baad China me apni film ki shuruat ki jisse who apne desh me star ban gaye. Jet Li apne 5 bhai-bhehno me sabse chote the. Jab Li sirf 2 saal ke the tabhi unki pita ki mrityu ho gayi, jiske baad Li ka pariwaar gareebi me raha. Li jab 8 saal ke the, uss dauran woh school summer course me Wushu ki practice kiya karte the. Issi dauran logon ne Wushu ko lekar Li ke talent ko pehchaana. Iske baad Jet Li ne ek Wushu event me hissa liya aur uske baad Jet Li ne “Beijing Wushu Team” ko join kar liya, jo China me hone waale National khelon me martial art ka pradarshan karte the. Jet Li ko iss dauran 2 aise coaches bhi mile jinhone Li ke talent ko aur fine kiya. Wu bin(वू बिन) naamak Jet Li ke coach, Li ke pariwaar ke liye khaana bhi laate the taaki Li ko paryapt maatra me protein mil sake. 11 saal ke chote se Li ne apne se bade umar ke logon se compete kiya aur 1975 se lekar 1979 tak Li “National All around champion” rahe. Jet Li iss baare me kehte hai ki “meri winning position ne chaaron taraf sansani faila di thi. Mai sirf 11 saal ka tha aur baaki ke dono khilaadi apne mid 20s me the. Award ceremony ke dauran jab mai podium pe khada hua tab bhi mai 2nd aur 3rd medalist se chota tha. Yeh sach me dekhne laayak scene tha.” Li ke anusaar jab woh chote the tab “Chinese National Wushu Team” ke saath America gaye the taaki woh President Nixon ke liye perform kar sake. Nixon ne Li se pucha tha kya Li unke personal bodyguard banenge? Jispe chote Li ne kaha tha ki “mai kisi aadmi ko nahi protect karna chahta. Mai chahta hu ki jab mai bada ho jaau toh mai apne 1 billion Chinese logon ki suraksha kar saku.” Jet Li Wushu ke kayi styles me maahir hai. Jet Li ka kehna hai ki “Mai ek bahut gareeb pariwaar se tha aur humare paas ek acche school ke liye paryapt paisa nahi tha. Issiliye sports school accha tha. Isne mujhe accha khaana aur China se baahar jaane ka mauka diya.” Jet Li national champion banne ke baad apni Wushu Team ke sang 45 deshon ki yaatra pe gaye. Jaha shaayad ek aam schooli baacha bhi nahi jaa paata hai. Jet Li ne apni filmi career ki shuruat 1982 me aayi film “Shaolin Temple” se ki jisme unhone director (चांग सीन येन) ke saath kaam kiya tha. “Shaolin Temple” ne Jet Li ko apne desh me star banne me madad kiya. Iss film ke kayi sequel banaye gaye. Jet Li 1980 ke dashak tak Hong Kong shift ho gaye, jaha pe reh kar unhone martial arts based filmon me kaam kiya. 1991 me Jet Li ki ek film aayi jiska naam tha “Once Upon a Time In China” yeh film kaafi jyada popular hui jiske 2 sequel banaye gaye. 1998 me Li L.A shift ho gaye jaha pe woh ek Hollywood film ka hissa bane. Iss film me woh Chinese mafia ka kirdaar nibha rahe the. Film ke liye Jet Li ne angrezi ki kadi training li aur antt me apne dhamakedaar acting skill se darshakon ka dhyaan apni yod kiya. Li ne iske baad 2000 me aayi film “Romeo must Die”me apna abhinay ka jaadu chalaya jisne bhi darshakon se khoob taaliyaan batori. Iske baad bhi Li ne kayi Hollywood filmon me kaam kiya. Kayi filmon me toh Li ne khud hi action sequence direct ki. Filmon ne Li ke anbhinay ki wajah se alag popularity gain ki. 2004 me Jet Li Maldives me chutiyan bita rahe the jaha pe tsunami aa gayi. Logon ne kaha ki uss tsunami me Li ki maut ho gayi halanki aisa hua nahi tha. Li apni 4 saal ki choti beti ke saath surakshit aa gaye. uss dauran Li ke pairon me maamuli chot aayi thi. Li apne acting ke prati kaafi serious the. Who apne aap ko character me dhaalne ke liye kaafi mehnat karte the. 2005 me aayi film “Unleashed” me Li ne kaam kiya. Yeh ek aisi film thi jisme Li ka kirdaar kaafi challenging tha. Isme Li ko ek aise aadmi ka kirdaar nibhana tha jo criminals dwara ek human attack dog bana diya gaya tha. Kirdaar ke gale se leash(पट्टा) hatane ke baad usse aggressive behave karne ke liye train kiya gaya tha. Iss character me dhalne ke liye Li jungli dogs ko dekhne gaye ki aakhir woh kis tarah se bartaav karte hai, jab woh bhukhe hote hai ya phir jab woh gusse me hote hai. Li ne apne iss kirdaar ke liye kayi raat sirf roti aur paani pe unn dogs ke saath guzare, taaki woh iss character ko acche se adapt kar sake. Yeh film box office pe kaafi jyada hit rahi. 2008 me aayi film “The Forbidden kingdom” me Li ko Jackie Chan ke saath kaam karne ka mauka mila. Halanki film accha nahi kama paayi. Jet Li aage chal kar aur bhi kayi filmon ka hissa rahe jinme se “The Mummy” bhi shaamil hai. Apne Jeevan me Li ne bahut tarakki ki hai aur unka yeh kaam aage bhi jaari rahega.

Toh yeh thi martial artist Jet Li ki kahani. Jet Li jaise kirdaar ko hum Tiger Shroff starrer film Ganpath me dekh sakte hai. kyunki Iss film me Tiger bhi martial arts ki training lene China jaane waale hai.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Tiger 3

सलमान खान की अपकमिंग फिल्म टाइगर 3 फिल्म “जवान और पठान को फाड़ देगी”, well यह लाइन हम तो नहीं कह रहे हैं, पर यह

Read More »
Dabangg 4,Salman Khan,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Dabangg 4

Ashok Vihar Delhi ka ek bahut hi famous area hai. Yahan par tarah tarah ke log rozmara ki zindagi ki cheezein khareedne aate hain. Yahan

Read More »
MUNNA BHAI

Munna Bhai Series

मीडिया वाले का ये दावा था कि मुन्ना भाई एमबीबीएस को हिरानी ने हॉलीवुड कि मूवी से कॉपी किया था जिसमें मीडिया वालों ने ये

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​