Ganpath

IP Man (आईपी मैन) Hong Kong based martial artist the, jinka janam 1 October 1893 ko hua tha. IP apne 4 bhai-behano me se teesare the. IP ka bachpan, Fatshan (फतशन) aur kwangtung (क्वांगतुंग) jaise sheharon me, ek ameer pariwaar me beeta. IP ko apne bhai behano ki hi tarah traditional Chinese education di gayi. IP jab 9 saal ke the tab unhone Wing chun(विंग चुन) naamak martial art ki training shuru kar di thi. Uss dauran IP, Chan-Wah-Shun (चान-वाह-शुन) se training le rahe the. Chan uss wakt sirf 57 ke hi the aur IP unke 16 aur aakhiri student the. Unki umar ke kaaran Chan IP ko sirf 3 saal ki hi training de paaye. uske baad Chan ko mild stroke aaya aur woh apne gaaon waapas laut gaye. IP uske baad jyadatar apni skills aur techniques Chan ke second most senior student वू झोंगसु se seekha. 16 saal ki umar me apne ek relative ki madad se, IP Hong Kong shift ho gaye aur waha ki St. Stephan’s college me apna admission karwa liya. St. Stephan’s uss wakt ka sab se ameer secondary school tha, jaha pe sirf ameer pariwaar ke aur Hong Kong me base foreigners ke bacche hi padhte the. IP ko Hong Kong shift huye 6 mahine hi huye the ki, unke ek classmate Lai(लाइ) ne IP se kaha ki ‘Lai ke pita ke dost, jo ki Kung fu expert hai woh philhaal Lai ke ghar pe hi reh rahe hai aur IP ke saath ek match karna chahte hai.’ IP jinhone abhi tak ek bhi match nahi haara tha. Woh iss match ke liye raazi ho gaye. IP Sunday ko Lai ke ghar gaye, jaha pe formal meet ke baad IP ne Lai ke pita ke dost ko challenge ke liye kaha. Lai ke pita ke dost aur koi nahi balki Leung Bik (लेउंग बिक) the, jo ki professional Wing chun martial artist the. Leung Bik kaafi tej speed se fight karte the aur apni issi speed se unhone IP Man ko hara diya. Haarne ke bawajood IP ne dobara match ke liye kaha aur ek baar phir Leung Bik se haar gaye. Apne haar se niraash hokar IP bina kuch kahe hi waha se nikal aaye. IP itne jyada niraash the ki unke andar ab himmat nahi bachi thi ki woh yeh keh sake ki, “unhe Kung fu aati hai.” Kuch dino ke baad IP Man ke dost Lai ne kaha ki, “Leung Bik unhe doondh rahe hai.” IP ne kaha ki, woh apni haar se kaafi jyada sharminda hai. Ispe Lai ne kaha ki, “Leung Bik ne IP ke Kung fu style ki taarif ki hai aur woh aur koi nahi balki wing chun ke king kahe jaane waale Leung Jan(लेउंग जान) ke bete hai, jinhone IP ke master Chan-Wah-Shun ko bhi train kiya hai.” IP iss baat ko jaan kar Leung Bik ke dwara training lene lage. Halanki 1911 me Leung ki maut ho gayi.

IP 1916 me 24 saal ki umar me Hong Kong se seedhe apni jagah Fatshan aa gaye jaha aakar IP, desh ki sarkaar ke liye ek police officer ban gaye. IP ne bhale hi apne kuch relatives aur doston ko wing chun ki training di, lekin unhone officially ek martial art school ko nahi khola. IP ne aage jaakar Zhāng Yǒngchéng (झांग योंगचेंग) se shaadi ki aur unke do bete aur do betiya hui. IP Nationalist Party of China “Kuomintang” (कुओमिनटांग) ke bhi member the. Iske alawa yeh bhi kaha jaata hai ki, IP ne 1938 me “Central bureau of Investigation and Statistics” ko bhi join kiya tha aur shaayad issi ke baad IP, Fatshan ke ek intelligence officer ke roop me laute honge. Halanki iss baat ka koi mazboot saboot nahi hai. shaayad issiliye bhi kyunki ek agent ki life kabhi bhi disclose nahi ki jaati. Second Shino-Japanese war ke dauran IP apne ek student ke saath hi rahe aur jaise hi War khatam hua tab jaakar IP Fatshan laute aur ek police officer ke roop me apni servicing di. IP 1949 ke dauran, apne dusre bete ko wing chun ki training de rahe the. 1949 ke antt me “Chinese Communist party” Chinese Civil War jeet gayi aur kyunki IP “Kuomintang” ke member the. issi wajah se woh apne pariwaar ke saath Fatshan chod Hong Kong waapas chale gaye. IP apni wife aur bacche ke saath 1950 me Macau ke raaste Hong Kong aaye. Lekin IP ki wife Zhāng Yǒngchéng aur unki beti baad me Fatshan wapas chali gayi, taaki woh apna identity card le sake. Lekin border pe tanaav (तणाव) ki wajah se IP, unki wife aur beti ek dusre se separate ho gaye, jaha IP Hong Kong me hi reh gaye. wahi unki wife apni maut tak Fatshan me rahi. Hong Kong me IP ki teaching business acchi nahi jaa rahi thi, kyunki waha pe unke students sirf kuch hi mahino ke liye rehte the. IP ne apne training school ko do baar badla. pehle woh Hong Kong ke “castle peak road” pe the, jaha se wo “Lee Tat Street” chale gaye. Uss wakt tak IP ke kuch students wing chun me mastery haasil kar chuke the, jiske baad unn logon ne apne alag school ki shuruat ki. IP ke students aage jaakar dusre-dusre martial artist se bhi mukaabla kiya, jinhe haraane ke baad IP ka naam aur famous hua. IP ko opium ka bhi addiction tha. IP ke students ne aage jaakar “Wing chun athletic association” ki shuruat ki. Iss association ka main purpose, IP ko Hong Kong me ho rahi financial dikkaton me madad karna tha. IP ko yeh dikkat unke lagataar Opium ke istemaal ki wajah se ho rahi thi. IP ke students ne bataya ki “IP apne tuition ke paise ka istemaal opium pe lagaate the.” 1960 me cancer ki wajah se IP ki wife ki Fatshan me maut ho gayi. IP ke sab se famous student me se ek Bruce Lee bhi the. 2 December 1972 ko IP ki maut cancer se Hong Kong me ho gayi. IP ki maut Bruce Lee ki maut ke thik 7 mahine baad hui. IP ne wing chun se apni ek alag legacy banayi thi. IP ki zindagi ke kayi artifacts Fatshan me maujood ek museum me rakhe huye hai.

Toh yeh thi IP man ki kahani. Ganpath me Tiger shroff ke guru bhi IP Man ki tarah skillful ho sakte hai. Film me Tiger Boxing aur martial arts ke mixed form ki training lete huye nazar aayenge. Aise me jab agar unke guru IP ki tarah jabardast martial artist honge, tab hume Ganpath me Tiger aur unke guru ke roop me Bruce Lee aur IP Man nazar aa sakte hai.

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Rowdy Rathore 2,Akshay Kumar,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Rowdy Rathore 2

Rajasthan ka ek bahut hi famous gaon hai Tilonia. Iss gaon ki yeh khaasiyat hai ki yahan ke log unth ki chamdhi se bags aur

Read More »
Ganpath , Tiger Shroff, Kriti Sanon , Amitabh Bachchan ,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Ganapath

Mohammad Ali ek aise boxer the, jinhe duniya ke mahaan boxers me se ek kaha jaata hai. Cassius Marcellus Clay Jr. ( कैसियस मार्सेलस क्ले

Read More »
Baaghi 4, Tiger shroff , Hrithik Roshan, Vivek Oberoi, Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Baaghi 4

Baaghi 4 RAW का घातक mission. Indira Gandhi ki mrutyu ke bad Bharat per Ek anchaha khatra mandra raha tha.. RAW agency ko lag raha

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​