Mirzapur-3

Pichli blog me humne Vikas Dubey naam ke ek gangster ki life history pe ek nazar daali thi. Wahi aaj hum usi gangster ke encounter ki puri kahani jaan’ne waale hai, jo desh bhar me kaafi jyada popular rahi thi. Vikas Dubey ke encounter ko lekar logon ki alag-alag theories hai. Kuch log ise aaj bhi fake maante hai toh wahi kuch ke liye yeh kisi vardaan se kam nahi. Vikas Dubey ki encounter ki kahani hume seedhe 2020 ke july me Bikroo gaaon le jaati hai, jab Vikas aur uske gang ne milkar police waalon ko maar giraya tha. Kanpur ke main sehar se 40km ki doori pe stith Bikroo gaaon me Vikas Dubey ka apna alag hi swag tha. Vikas iss gaaon ka akela badshaah tha, jo khulam-khula apraadh karta raha aur use har baar political influence dwara bacha liya jaata tha. Vikas ka gaaon se lekar poore U.P tak aatank faila tha, jo 2020 me kuch jyada hi badh gaya tha. Issi wajah se 3 july, 2020 ke raat ko police C.O(circle officer) Devendra Mishra apne police team ke saath Bikroo gaaon pahuche. Devendra ki iccha thi ki woh aaj kisi bhi haal me gangster ka kaam tamaam karde. lekin unhe kya pata tha ki jis police department me woh kaam karte hai, unhi me se koi unke plan ke baare me pehle se Vikas ko bata kar, use alert kar dega. Kaha jaata hai ki Vikas kuch police waalon ke lagataar contact me tha, jo use pal-pal ki khabar pahuchate the aur kuch aisa hi 3 july ke raat ko bhi hua. Ek saath 3 police थानों se force mangwayi gayi aur sabhi ne milkar CO Devendra Mishra ke guidance me, raat ke andhere me Bikroo gaaon me apna dhaava bola. Iss force me chote post pe tainaat police waalon se lekar higher rank ke deputy SP tak shaamil the. Sabhi ne soch rakha tha ki aaj woh gangster ko apne kabze me leke rahenge. 40 km ka safar tai kar jab police Bikroo gaaon pahuchi toh waha ka nazara kaafi alag tha. Pure gaaon me andhera chaya hua tha. Police apne gaadi ko gaaon ke andar le jaane ki koshish toh puri kar rahi thi lekin entrance pe hi ek JCB khadi thi, jisse gaadi toh door, logon ka chal kar jaana bhi kaafi mushkil tha. Police waale apne gaadi se utar gaye aur ek-ek kar JCB machine ko paar karte huye gaaon ke andar badhe. Police gaaon me thodi door chal kar Vikas Dubey ke ghar ke paas pahuch gayi. Andhera kaafi jyada tha, jisse kuch bhi dikhna mushkil ho raha tha. Police ne iss wajah se Vikas ke ghar ke chat pe torch maari. Wahi torch ki light jaise hi chat pe chupe badmaashon pe padi, turant upar se jamkar firing shuru ho gayi. Saare Police waalen andar se hairaan aur pareshaan ho gaye. Sab daur kar jaha jagah mil raha tha waha, chup kar khud ko cover karne lage. Pehli hi baar me 20 se 22 round tak ki firing hui, jisse Police ko sambhalne ke mauka hi nahi mila. Uss din kareeb 30 Police waalen the lekin waha pe kareeb 60 gunde maujood the. Iss firing me kayi Police waalen ghaayal ho rahe the, jinhe bachane ke liye kuch officers jaise-taise apni gaadi tak pahuche aur unhe turant hospital refer karwaya. Shaant andhere gaaon me sirf firing ki awaaz sunayi de rahi thi. Jo bhi police waala badhmaashon ke nazar pe pad raha tha, woh sab maare jaa rahe the. Kisi ka bachna uss din mushkil lag raha tha. Tej firing ke beech CO Devendra Mishra bhi khud ko cover karne ke liye ek ghar ki yor bhaage lekin ghar ka darwaza andar se band tha. Devendra chilaate rahe “darwaza khol do…” lekin firing ki awaaz se log itne dare the, ki kisi ki himaat nahi hui. Phir achanak goli ki awaaz sunayi di aur Devendra wahi gid pade. Jaise hi badhmaashon ko pata chala Devendra ghyaal ho gaye hai, turant hi sab gunde ghar ke chat pe kude aur unpar lagtaar firing tabtak jaari rakhi, jabtak ki unka gussa Devendra ke liye shaant nahi ho gaya. Devendra wahi maare gaye. Koi bachane waala nahi, firing ki awaaz ke beech Devendra ki dead body wahi padi rahi. Devendra U.P ke Bilhaur ke C.O the. Wahi iss ghatna me Devendra ke alawa Shivrajpur ke S.O aur Sub inspector ke alawa 5 sipaahi maare gaye. Lekin sabse darwani maut Devendra mishra ki hui, jinpe कुल्हाड़ी(axe) se bhi waar kiya gaya tha. Jaankaari ke mutaabik Vikas Dubey sabse jyada Devendra mishra se chidhta tha, kyunki Devendra Vikas ke purane cases ko bhi saamne laa rahe the aur uspe kayi naye cases bhi file kar rahe the. Inn sab ki jaankaari Vikas ko police department ka hi ek officer, Vinay Tiwari lagataar de raha tha, jis wajah se Vikas Devendra se man hi man dushmani rakhne laga. Vikas aur uske gang dwara 8 police waalon ko maarne ki khabar jab agle din poore desh ko pata chali, toh sabhi Vikas ke turant encounter ki maang karne lage. Pura desh khaas kar North India me Vikas ko lekar khaasa gussa dekha gaya. Police waalen bhi apne saathiyon ke maut ka badla lene ko taiyaar the. lekin unke saamne sabse bada sawaal tha ki aakhir Vikas aur uske saathiyon ko police ke aane ki khabar kisne di? Iss sawaal pe kaafi charcha kiya gaya. Har police se sawaal-jawaab unhi ke adhikaariyon ne ki lekin khulasa tabtak nahi hua, jab tak ki Vikas Dubey khud naa pakra gaya. Jab Vikas ko hiraasat me liya gaya, ussi dauran uski call recording check ki gayi, jiske through pata chala ki chaubeypur thana ka S.O Vinay Tiwari hi woh andar ka dushman tha, jo wardi pehan kar badmaashon ki madad kar raha tha. Vinay ko aage chal kar jail ki saza sunayi gayi. Wahi 8 police waalon ko maar girane ke baad Vikas aur uske saathi turant Bikroo gaaon chod kar faraar ho gaye. Shayad iska main kaaran public ka gussa bhi tha, jo Vikas ko faansi dene ki maang kar rahe the.
Halanki jyadatar gundon ko police pakarne me aur unka encounter karne me kaamyaab rahi, lekin Vikas Dubey ab bhi faraar tha. Ghatna ke kuch dino baad Vikas Dubey kayi raajyon se hote huye by road, Ujjain ke Mahakal mandir pahucha. Vikas ne waha pahuch kar shaanti se puja ki, daan bhi kiya aur sabke saamne surrender kar liya. Lekin M.P police ke hisaab se mandir ke guards ne Vikas ko pakra tha. Yeh sab kuch 9 july, 2020 ke subah kareeb 8 se 9 baje ke beech hui. Vikas surrender karte hi chilaane laga “haa mai Vikas Dubey hu wahi Kanpur wala!” Vikas aise kayi baar chilaya jisse logon ka dhyaan uss yor gaya. 9 july ke shaam 7 baje M.P police ne U.P police ko maamle ki khabar di, jiske baad U.P ki special task force Ujjain pahuchi aur by road Vikas ko lekar Kanpur chali gayi. Pura desh pal-pal ki khabar rakh raha tha. Log intezaar bhi kar rahe the ki aakhir Vikas ke Kanpur pahuchne pe kya hoga. 10 july kareeb 6 baje police Vikas ko lekar Kanpur me enter ki. Kanpur me enter karne se pehle jo toll padti hai, wahi pe saare media aur logon ko rok diya gaya. Jaise hi police Kanpur me enter karti hai, kuch der tak kisi ko bhi uss raaste se aane nahi diya gaya, jaha se police ki gaadi Vikas ko lekar jaa rahi thi. Gaadi aage badhi aur kareeb 20 min baad khabar aayi ki Vikas police encounter me maara gaya. Police ke mutaabik gaadi ke saamne achanaak गाय(cow) ka jhund aa gaya. Issi se bachne ke chakkar me gaadi ka balance bigar gaya aur woh palat gayi. Vikas mauke ka fayeda uthakar, achanak gaadi ke tire ko theek kar rahe police waale se pistol cheena aur bhaagne laga. Bhaagte wakt Vikas ne police waalon par goliyan chalani shuru kar di, issi ke jawaab me police ne bhi fire back kiya. Issi encounter me goli Vikas ko lagi aur woh maara gaya.
Lekin Vikas Dubey ke encounter ke iss kahani me kaafi drawbacks bhi hai. Jaise ki Vikas Corona ke wakt by road aaram se dusre raajya pahuch gaya aur toll pe kisi police ki uspe nazar bhi nahi padi? July ka mahina corona ka woh daur tha jab ek state se dusre state me jaane ke liye, border pe kayi tarah ke jaanch kiye jaa rahe the. Aise me Vikas pe kisi ki nazar kyun nahi padi? Jabki U.P se M.P kaafi door bhi hai. Dusra drawback yeh hai ki jis gangster ko aaj tak police nahi pakar paayi use mandir ke guard ne kaise pakar liya? Vikas jab mandir me ghusa aur puja kiya tab checking ke wakt kisi ko uski identity nahi pata thi? Teesra sawaal yeh hai ki Vikas Dubey Kanpur ka naami gangster tha yu kahe toh woh yaha ka raaja tha. Aise me ussi ke jagah pe koi use itni asaani se kaise maar sakta hai. Police ke mutaabik Vikas ke पैर bhi bandhe the toh phir woh bhaag kaise raha tha? Encounter waale spot ko pehle hi kyun khaali karwa diya gaya aur jab woh jagah khaali thi toh गाय ka jhund kaha se aaya jaise aur bhi tamaam sawaal hai, jiska jawaab abhi tak nahi mil paaya aur naa hi kabhi milega. Jaankaaron ka maan’na hai ki Vikas abhi zinda hai bus naye naam aur chehare ke saath ghum raha hai. Halanki iski kisi ne pushti nahi ki hai.
Waise aapko kahi jaane ki jarurat nahi kyunki bhale hi iss gangster ka encounter ho gaya ho, lekin kahani ab bhi baaki hai. Ji haa! Aage hum jaanenge ki aakhir kis tarah ka khulasa Vikas ne M.P police ke puchtaach ke duran kiya tha. Hume isme kayi saare aur bhi raaz ka pata chalega jo Vikas Dubey se joori hui hai. Toh bane rahiye humare saath iss blog pe jiska naam hai Bollygrad studioz.

To be continued… part-3

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Adipurush

16 जून को रिलीज हुई prabhas, कृति सेनन और सैफ अली खान starrer फिल्म आदिपुरुष फिर से कॉन्ट्रोवर्सी में फंस चुकी है डायलॉग राइटर Manoj

Read More »
dunki

Dunki

डंकी फिल्म के रिलीज होने का जितना इंतजार audience को है ही, उससे ज्यादा इंतजार शाहरुख खान को है। शाहरुख ने एक इंटरव्यू में बताया

Read More »
Dunki

Dunki

शाहरुख खान की फिल्म ‘डंकी’ एक प्लेन ट्रैवलिंग एक्शन मूवी होने वाली है जो बॉलीवुड में बहुत कम बनती है। ऐसे मूवी बनाने में काफी

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected