Aaj hum baat karne wale hai Mumbai ke sab se badnaam mafia Don ke baare mein, jisne Mumbai sheher mein 1960 ki shuruaat se lekar 1980 tak apna dabdaba banakar rakha tha. Do dashako se bhi jyada samay tak Mumbai par raaj karne wale iss Don ka naam tha Kareem Lala. Kareem Lala ka poora naam tha Abdul Kareem Sher Khan, jiski vajah se use Mumbai ka Sher Khan bhi bulaya jaata tha. Kareem ka janm saal 1911 mein Afghanistan ke Kunar district mein hua tha. Saal 1920 mein Kareem apne parivar ke saath Afghanistan chodkar us samay ke Bombay jaata hai. Bombay aakar Kareem aur uski family South Bombay ke gareeb Muslim samuday wale ilaake Bhendi Bazaar mein bas jaata hai. Apni or apne parivar ki gujar basar karne ke liye shuruaat mein Kareem Bombay docs par ek mamuli majdoor ke taur par kaam karne lagta hai. Kareem ka apraadh(crime) ki duniya mein pehla kadam tab pda, jab vo Pashtun gang ko join kar leta hai, jo poore Bombay mein Pathaan gang ke naam se mashoor thi. Pathaan gang illegal recovery agent ka kaam kiya karti thi. Marwadi or Gujrati Seth apna udhaar nikalvaane ke liye Pathaan gang ko kaam diya karte the. Dikhne mein lambe chaude, taakatvar or daravane hone ki vajah se in Kareem ke liye udhaar ke paise nikalvaan aasaan tha.
Bohot jald hi Kareem ki Pathaan gang mein rank badh jaati hai or vo Pathaan gang ka leader ban jaata hai. Kareem ke leader banne ke baad se Pathaan gang kai saare apraadho mein shamil ho chuki hoti hai. Lagbhag do dashak tak Kareem Pathaan gang ka leader raha tha, jo ki South Bombay ki Muslims basti jaise Dongri, Nagpada, Bhendi Bazaar or Mohammad Ali road par jaise ilaako par operate kiya karti thi. Pathaan gang illegal satta, jabardasti property khaali karvaana, kidnapping, security money yaani hafta lena , contact killing yaani Supari lena or drug taskari jaise apraadho mein shamil ho chuki thi. 1960 mein Kareem Lala ka bolbala poore Bombay seher mein ho chuka tha, or vo kaafi bada criminal ban chuka tha. Uska rutba Bollywood se lekar politics tak kaafi badh chuka tha. Kareem aksar Bollywood ke kayi actors or kai politicians ko apni parties or Eid celebrations mein bulaya karta tha. Kareem Lala 1960 se 1970 ke dashak ke beech tab ki Indian Prime minister Indira Gandhi se bhi kai baar mulakat kar chuka tha aur isi ke saath Kareem Lala ke Shiv Sena pramukh Bala Saheb Thackeray ke saath bhi ache sambandh the.
1970 ke dashak mein Kareem Lala do aur ganglords Haji Mastan aur Varadarajan Mudaliar ke saath ek agreement karta hai, jisme vo teeno Bombay ke hisso ko ek doosre ke saath baant lete hai, taaki vo teeno apni criminal activities asaani se chala sake or un teeno ke beech gang war ki sthithi paida na ho. 1970 ke dashak ke aakhir tak Kareem Lala ki tabiyat kharab rehne lagi thi, jiske baad vo Pathaan gang ki leadership apne bhaanje Samad Khan ko de deta hai. Pathaan gang ki leadership chodne ke baad Kareem Lala apne hotel or transport business ko sambhaalne lagta hai , halaanki uske kayi saare illegal businesses bhi chal rahe hote hai. Lekin vo apne saare illegal businesses ko apne kuch legal businesses ke cover mein karta tha. Uske kuch legal businesses mein uske do hotels or ek tours and travel agency thi, jinke cover mein vo apne saare illegal businesses jaise drug taskari or rupeyon ki jaalsaji karna kiya karta tha.
Kareem Lala har hafte ek durbar ka aayojan kiya karta tha, jisme vo aam logon ki takleefon ko suna karta tha. Vo unki takleefon ko kabhi rupayon ki madad kar ke toh, kabhi apni gang ki power ka use kar ke unhe insaaf dilata tha. Logon ki madad karne ki vajah se use uske tamaam criminal activities ke baavjood aam logon ka kaafi support tha. Kuch saalo ke baad 19 February 2002 ko 91 saal ki age mein Kareem Lala ki maut ho jaati hai.
Kareem Lala ke character ko kai Bollywood films mein bhi dikhaya gaya hai, jinme haal hi mein, saal 2022 mein release hui Sanjay Leela Bhansali ki film Gangubai Kathiawadi bhi shaamil hai, jisme Kareem Lala ka character Ajay Devgan ne play kiya tha.
( The End )