KGF chapter 3

Kahani ki shuruaat hoti hai saal 1998 se, hum dekhte hai ki Indian Express ki ek journalist Suparna Sharma New Delhi ke Chhatarpur area mein stith ek neta ke farm house par uska interview lene jaa rahi hoti hai. Suparna 90 ke dashak ke dabang neta or All India Bhartiya Congress Party ke founder Romesh Sharma ka interview lene jaa rahi hoti hai. Jab vo us Romesh ke farm house mein andar jaati hai, to vo dekhti hai ki us neta ki parking mein ek helicopter khada hua hai. Suparna vahan mojood ek aadmi se poochti hai ki “ kya netaji se koi Milne aaya hai kya ?” Vo aadmi jawaab deta hai “nhi madam koi nhi aaya hai, vaise aap kyun pooch rahi ho”. Suparna kehti hai ki ye helicopter khada hua hai na isliye poocha, to vo aadmi Suparna ko batata hai ki ye helicopter netaji ka hi hai. Suparna ye baat sunkar kaafi chaunk jaati hai ki, ek neta ke pass khudka personal helicopter dekh Suparna ko kaafi ajeeb or kuch galat lagta hai. Suparna Romesh ka interview lekar apne office vaapas aa jaati hai, lekin uske mann mein abhi bhi yahi baat chal Rahi hoti hai ki ek neta ke pass personal helicopter hona koi choti baat nhi hoti haIske baad Suparna Romesh ke baare mein or jyada jaankari ikathaa karti hai, or Romesh ki ek file taiyaar karti hai. Suparna Romesh ki file lekar us samay ke CBI special task force ke DIG Neeraj Kumar ke pass jaati hai , or unko Romesh ki file dekar kehti hai ki “mujhe Romesh ke baare mein kuch to galat lag raha hai aap ek baar check kar lijiyega”.

Suparna ke request karne par Neeraj Kumar iss matter ko investigate karna shuru kar dete hai, lekin kuch din ki investigation ke baad Neeraj Kumar samajh jaate hai ki ye koi chota-mota nhi balki bohot bada matter hai. Suparna se helicopter wali jaankari milne ke baad Neeraj Kumar CBI Special Task Force ke SP O.P. Chatwal ko bulaate hai. Thodi der iss matter par baatcheet karne ke baad dono police officers CBI Special Task Force ke Inspector Hassan ko iss helicopter ki investigation karne ke orders dete hai. Hum dekhte hai ki Inspector Hassan us helicopter ki investigation karne mein jut jaate hai, vo Romesh ke farm house mein taank jhaank karne lagte hai. Tabhi unhe Romesh ke farm house mein ek helicopter dikhayi padta hai, vo dekhte hai ki helicopter par bade bade aksharo mein “VT-EAP” likha hota hai. Scene shift hota hai Chanakya- Puri stith CBI ke office par, jahan hum Neeraj Kumar ko dekhte hai. Suparna ne Neeraj Kumar ko Romesh ke kuch Phone numbers diye hote hai, lekin agar Neeraj in phone numbers ko CBI ke protocol ko follow karte huye surveillance par daalte to isme kayi mahine lag jaate . Isliye vo Delhi Police Crime Branch ke Inspector Ishwar Singh ko bulaate hai. Inspector Ishwar Singh ko saara matter samjhane ke baad Neeraj unhe kuch phone numbers surveillance par daalne ke liye de dete hai. Inspector Ishwar turant hi ek warrant issue karvaate hai, or in phone numbers par ho rahi baat cheet ko sunne lag jaate hai. Idhar Inspector Hasaan Romesh ke helicopter par likhe us code ke baare mein O.P. Chatwal ko batate hai. Or O.P.Chatwal helicopter ki details ke liye turant Airport Authority of India se contact karte hai. Airport Authority of India se O.P. Chatwal ko pta chalta hai ki ye helicopter pehle Mumbai ki ek company “Pushpak Aviation Limited” ke maalik H. Suresh Rao ke naam par registered rha. Lekin saal 1996 mein Suresh ne iss helicopter ko sirf 40,000 rupeyo mein Romesh Sharma ko bech diya tha. O.P. Chatwal ko ye baat kaafi ajeeb lagti hai ki koi itna mehnga helicopter itne kam rupeyo mein kyun bechega. Jab O.P. Chatwal ye saari baat Neeraj Kumar ko batate hai, to unhe bhi kaafi ajeeb lagta hai or vo O.P. Chatwal ko turant Mumbai jaakar Suresh Rao se milne ke liye kehte hai.

Mumbai pahunchne ke baad O.P. Chatwal Suresh Rao ko milne ke liye CBI ke office mein bula lete hai. O.P. Chatwal ke poochne par Suresh batata hai ki Romesh Sharma ne usse vo helicopter dhokhadhadi karke apne naam karva liya tha. Suresh batata hai ki saal 1996 mein Romesh Sharma Uttar Pradesh ke Phulpur district se Loksabha seat par election ke liye khada hua tha. Romesh Sharma ne apne chunav prachar ke liye Suresh ki company Pushpak aviation se helicopter kiraaye par liya tha. Romesh ne Suresh se kaha tha ki vo helicopter ke kiraaye ke official papers nhi dikha sakta hai, kyunki chunav prachar mein kharch kiye gaye rupeyo ko lekar election commission ke rules kaafi strict hai. Isliye Romesh Suresh ko ek idea dete hai ki, Suresh election se pehle unhe ye helicopter kam daam par bech de or election hone ke baad vo ye helicopter dobara Suresh ko vaapas kar dega vo bhi unke saare kiraaye ke saath. Suresh Romesh ke iss idea ke liye Maan jaata hai or sirf 40,000 rupeyo mein helicopter Romesh Sharma ko bech dete hai, jiske baad Romesh iss helicopter ka use apne chunaav prachaar mein karta hai. Lekin chunaav ke result aane ke baad pta chalta hai ki Romesh Sharma badi buri tareeke se chunaav haar chuka hota hai. Chunav ke baad Suresh Rao apne kuch aadmiyon ko apna helicopter vaapas lene ke liye bhejte hai, lekin Romesh ke aadmi un logon ke saath maarpeet karke unhe vahan se bhaga dete hai. Jab Suresh Romesh se apna helicopter vaapas lene jata hai, to Romesh use jaan se maarne ki dhamki dekar vahan se bhaga deta hai. Suresh Romesh ke pass kai baar apna helicopter lene jaata hai, lekin har baar use dhamki dekar vahan se bhaga diya jaata tha.

Jab ye saari baatein Neeraj Kumar ko pta chalti hai, to vo Romesh Sharma ke upar ek file taiyaar karte hai. Neeraj iss file ko apne senior aur CBI ke Director T.N.Mishra ko dikhaate hai. T.N. Mishra achee se jaante the ki Romesh Sharma koi chota-mota naam nhi hai, uska kai bade neta or yahan tak ki prdhan mantri tak ke saath utna baithna hai. Isliye vo Neeraj se Romesh Sharma ko arrest karne se pehle uske khilaaf pakke suboot ikathaa karne ke liye kehte hai. Ek din Neeraj ko home ministry ke ek secratery Arvind Varma ka call aata hai, or vo Neeraj ko ek phone number dekar use check karne ke liye kehte hai. Neeraj ke pass underworld se related phone numbers ka kaafi bada database tha, jab Neeraj us phone number ko us data base mein check karte hai to unhe pta chalta hai ki ye number Abu Salem Abdul Qayum Ansari ka hai. Abdul Salem Dawood Ibrahim ki D-Company mein kaam karta tha, or vo Dawood Ibrahim ka kaafi khaas bhi tha. Isi ke saath Abdul Salem ka naam 1993 Bombay bomb blast mein bhi saamne aaya tha. Neeraj iss phone number ke baare mein Arvind ko batate hai, jiske baad Arvind unhe batata hai ki iss phone number se unke ek dost Ramesh Malik ko dhamki bhare calls aa rahe hai. Jab Arvind ko pta chalta hai ki Abu Salem hi unke dost ko dhamki de raha hai to vo Neeraj se apne Ramesh Malik ki madad karne ki request karte hai. Neeraj CBI Special Task Force ke ek officer ko Ramesh Malik ki madad karne ki jimmedari dete hai. Vo officer apne kai sources ki madad se Abu Salem tak ye message pahuncha dete hai ki DIG Neeraj Kumar ko Rakesh Malik ko di jaa rahi dhamki ke baare mein pta chal chuka hai. Jiske baad hum dekhte hai ki Abu Salem turant Rakesh Malik ko call karta hai or unse kehta hai ki “Malik sahab aapko pehle batana chahiye tha na ki aap CBI ke DIG Neeraj Kumar ko jaante hai, agar aap pehle hi bata dete to mein aapko pareshan karta hi nhi. Ab aap ekdum bindaas ho jao, ab aapko meri taraf se tension Leni ki koi jarurat nhi hai”.

Doosri taraf, hum Inspector Ishwar Singh ko dekhte hai jo kai dino se Romesh Sharma ke phone numbers ko check kar rahe hote hai. Itne dino mein Inspector Ishwar ne kai ese calls ko intercept kiya hota hai, jisme Romesh Sharma Abu Salem se baat kar raha hota hai. Neeraj Kumar in call recordings ko T.N. Mishra ko sunaate hai, in call recordings ko sunne ye pakka ho jata hai ki Romesh Sharma Dawood Ibrahim ki D-Company ka hi ek member hai. T.N. Mishra Neeraj ko Romesh ko arrest karne ki permission de dete hai. Romesh ko arrest karne ke liye Neeraj Kumar ek plan banate hai.

Kya hoga Neeraj Kumar ka plan ? Kya Romesh aayega Neeraj ke haath ? Jaanenge iss video ke agle part mein.

 

( To be … Part 1 )

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Pushpa The Rule - Part 2: Directed by Sukumar. With Allu Arjun, Fahadh Faasil, Mohanlal, Rashmika Mandanna, Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Pushpa 2

Smuggler ki duniya ka ek or sitaara Rick Ross, Ross ka janam saal 1960 mein 24 January ko U.S. ke Texas mein hua tha. Inke

Read More »
Salaar

Salaar

  वाराणसी के हेरिटेज अस्पताल के आईसीयू में मरे हुए‌ गैंगस्टर सूरज सिंह का चेहरा देख कर बाहर आने वाली उसकी मां की आंखों में

Read More »

Krrish 4

Krrish 4 को ले कर हम सभी काफी एक्साइटेड भी है, तो वहीं disappointed होने से डर भी रहे है, क्योंकि क्रिश 3 ने हमें

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected