KGF chapter 3

Apne senior se permission milne ke baad Neeraj Kumar Romesh Sharma ko pakadne ke liye ek plan banate hai. Neeraj Kumar Suresh Rao se request karke unhe apne plan mein shamil kar lete hai. Unka plan kuch iss tarah hota hai ki Suresh Rao har baar ki tarah iss baar bhi Romesh Sharma ke pass apna helicopter vaapas maangne ke liye jaayega, lekin Romesh Suresh ko dhamki dekar vahan se bhaga dega. Jiske baad Suresh Rao Romesh Sharma ke khilaf Hauz Khas police station mein FIR darj karva dega, Hauz Khas police station se ye case CBI ko transfer kar diya jaayega or CBI Romesh Sharma ko arrest kar legi. Neeraj Kumar ka ye plan sun ne me to ekdum full proof tha, lekin jab iss plan ko execute Kiya jaata hai to isme gadbadi ho jaati hai. Hum dekhte hai ki Neeraj Kumar, O.P. Chatwal, Suresh Rao or Suresh ka friend Rakesh South Delhi ke DCP ke office mein baithkar plan ko discuss kar rahe hote hai. Jiske baad Suresh Rao Rakesh aur O.P. Chatwal ke saath ek car mein baithkar Romesh Sharma ke farm house ke liye nikal jaata hai. Romesh Sharma ke farm house par pahuchne ke baad Suresh Rao farm house mein andar chala jaata hai, jabki Rakesh aur O.P. Chatwal farm house se thodi dur apni car mein hi baithe hote hai. Suresh Rao ko farm house ke andar huye abhi 5 minutes hi huye the, ki tabhi hum dekhte hai ki Romesh Sharma Suresh Rao ko jabardasti pakadkar apni car mein bithata hai, or vahan se jaane lagta hai. Ye sab dekhkar O.P.Chatwal bhi apni car se Romesh Sharma ki car ka peecha karte hai. Kuch der baad Romesh Sharma ki car jaakar ek bunglow par rukti hai, ye dekhkar O.P.Chatwal aur Rakesh vaapas se Neeraj Kumar ke pass DCP office aa jate hai or unhe saari baat bata dete hai. Neeraj Kumar thodi der soch vichar karne ke baad Delhi Police ke ek inspector Jasbir Singh ko turant us bunglow par raid maarke Suresh Rao ko bachane ke order dete hai. Idhar Inspector Jasbir police team ko lekar us bunglow ki taraf jaane lagte hai jisme Romesh aur Suresh mojood hai, vahi Neeraj Kumar CBI ki ek team ke Romesh Rao ke farm house par raid maarne ke liye nikal padti hai.

Kuch hi der mein Neeraj Kumar CBI ki team ke saath Romesh ke farm house par pahunch jaati hai, or us farm house ke kone kone ki chhanbeen karne lagti hai. Chhanbeen mein Neeraj Kumar ko kai saare secret rooms or bahar jaane ke raaste milte hai. Lekin jis cheej ki talash Neeraj ko thi vo unhe Romesh Sharma ke bedroom ki bed mattresses ke andar milti hai. Neeraj Kumar ko bed mattresses ke andar un sabhi properties ke paper milte hai, jinpar usne Dawood Ibrahim aur Abu Salem ki madad se jabardasti kabja kiya hua tha. Neeraj Kumar ki team chhanbeen kar hi Rahi thi ki tabhi vahan par Romesh Sharma pahunch jaata hai, or vo vahan par mojood sab police walo par chillane lagta hai. Jab Romesh apne bedroom mein jaata hai to uska saamna Neeraj Kumar se hota hai. Romesh akad dikhaate huye Neeraj Kumar par bhi chillana shuru kar deta hai, ki tabhi Neeraj Kumar ek jordaar thappad Romesh ke gaal par jad dete hai or vo neeche gir jaata hai. Iske baad Neeraj Kumar Romesh ko uski saari illegal properties ke paper dikhaane lagte hai, jiske baad Romesh ki saari akad gayab ho jaati hai or vo Neeraj Kumar ke saamne haath jodne lagta hai. Neeraj Kumar Romesh Sharma ko Hauz Khas police station le jaate hai, jahan par Inspector Jasbir pehle se hi Suresh Rao ke saath mojood the. Neeraj Kumar Romesh Sharma ke khilaf case banate hai, jiske baad use arrest kar liya jata hai. Neeraj Kumar Romesh ke ghar se mile subooto ki list banane lagte hai, isi ke saath vo un sabhi neta or businessman ke baare mein bhi pta karne lagte hai jinka Romesh Sharma ke saath connection tha. Inhi mein se ek neta the Bihar ke ex- chief minister Lalu Prasad Yadav. Lalu Prasad Yadav aur Romesh Sharma ka lagbhag rojana ka milna julna hua karta tha, ye dono itne achee dost ban gaye the ki Lalu Prasad Yadav ne Romesh Sharma ko apni party se Rajyasabha ka ticket Dene Tak ka mann bana liya tha. Or agar Neeraj Kumar ne Romesh Sharma ko arrest na kiya hota to sayad Dawood Ibrahim ke ye aadmi Indian Parliament tak pahunch bhi chuka hota. Neeraj Kumar ki iss list mein Haryana ke ex- chief minister Om Prakash Chautala, congress party ke kai kai netao se lekar India ke ex- cabinet secretary or ex- election commissioner T.N. Seshan ka bhi naam shaamil tha. Lekin jaise hi CBI ke dwara Romesh Sharma ko arrest kare jaane ki baat sabko pta chalti hai, to ye sab log apna naam Romesh Sharma se dur kar lete hai. Lekin abhi bhi Congress Party ke kuch log the, jo Romesh Sharma ko bachane ki koshish kar rahe the. Akhir Romesh Sharma kaun tha or vo yahan tak kaise pahuncha. Romesh Sharma kaise bna bhartiya rajneeti mein itna bada naam.

Uttar Pradesh ke Phulpur mein janma Romesh Sharma 60 ke dashak mein Uttar Pradesh se Delhi aa jaata hai, or sadak kinaare rumaal bechne ka kaam karne lagta hai. Lekin use jald hi samajh mein aa jaata hai ki apne sapne poore karne ke liye use kuch bada karna hoga, isliye vo 1972 mein Mumbai chala jaata hai. Mumbai pahunchkar Romesh ki mulakaat underworld Don Vardarajan Mudaliar se hoti hai, jo ki Varda Bhai ke naam se jaana jata tha. Kuch hi samay mein Romesh Varda Bhai khaas aadmi ban jaata hai, or 1980 aate aate Romesh ki najar real estate business par padti hai. Romesh Sharma sabse pehle esi property ko dhoondhta tha, jisame kai parties ka alag alag hissa hota tha. Uske baad Romesh ek party se uska hissa khareed leta tha, or uske baad apne underworld ke gundo ki madad se vo us property ke baaki ke hissedaro ko dhamki dene lagta tha. Dhamki se pareshan hokar ye baaki ke hissedar apne hisse ki property bhi kam daam mein Romesh Sharma ke naam kar dete the. Isi tareeke se Romesh ne kai properties kam daam mein khareed kar karodo rupey kamaaye hote hai. Saal 1988 mein Varda Bhai ki maut ke baad Romesh turant hi Dawood Ibrahim ki gang ko join kar leta hai. Saal 1990-91 mein Dawood Ibrahim ke kehne par Romesh Sharma Delhi aa jaata hai. Delhi aakar vo netao ko unki vivadit property dilwaane mein madad karta hai, jiske badle mein use netao logon ki dosti ke saath saath achee khaase rupey bhi milte hai. Ab Romesh ka neta logon ke saath lagbhag roj ka uthna baithna ho chuka tha, jis vajah se ab vo khud bhi ek neta banna chahta tha. Apne neta banne ke sapne ko poora karne ke liye Romesh sabse pehle Charan Singh ke Lok Dal ko join karta hai, or fir uske baad Menka Gandhi ke Rashtriya Sanjay Vichar Manch join karta hai. Kuch hi samay me RMSV ke andar Romesh Sharma ki popularity Menka Gandhi se bhi jyada ho jaati hai, jiske vo Menka Gandhi ko RSMV se bahar kar deta hai or RSMV ke saath Congress Party mein jud jaata hai. Congress Party mein shamil hone ke baad Romesh sabse pehle Assam se congress ke hi ek MP ki property par kabja kar leta hai, or uske baad vo Delhi ke Chhatarpur area mein ek flat par kabja kar leta hai. Lekin ye flat kisi neta ya kisi businessman ka nhi balki Intelligence Bureau ke ek retired joint director ka tha. Ab Romesh Sharma ek ke baad ek kai saari properties ko illegal tareeke se apne naam karvata jaata hai, or koi bhi uske khilaaf complaint nhi karta hai.

Romesh Sharma ko arrest karne ke baad CBI uspar alag alag Sections mein 13 cases file karti hai. CBI ko andaja hota hai ki Romesh ko court mein pehli baar mein hi bail mil jayegi, isliye CBI Romesh upar National Security Act laga deti hai. Ek esa section jisme doshi ko bail milna lagbhag namumkin hota hai. Romesh Sharma ko kuch cases mein 14 saal ki saja hoti hai, to kuch cases mein use bari kar diya jata hai.

 

( The End )

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Bahubali 3,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Bahubali 3

Bharat mein kai saare aise yudh huye hai jo ya toh bharat ko purey tarike se badal diya ho ya ek nai misaal kaayam ki

Read More »

Pushpa 2

Hamne pushpa mein deka tha ki kaise pushpa ne last last tak kaise police waalo se apna peecha chhudaya tha lekin makers iss baar pushpa

Read More »
BAHUBALI 3

Bahubali 3

एसएस राजामौली कोई छोटे मोटे director नहीं है। राजामौली जिस फिल्म में भी काम करते हैं वो फिल्म की पूरी डिटेलिंग में घुस‌ जाते हैं।

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​