Karan Arjun 2

Sri Lanka ki iss choti si ladhki ko apna purana janam yaad hai. Kya hua aur kyon hua jaise sawaalon ke jawaab isne khud hi ne jaan liye hain, magar yeh kaise hua hai yeh abhi bhi ek rahsaye hi hai. Purnima Ekanaye name ki iss ladhki ki study Psychology professor, Faculty of Social Sciences of the University of Iceland, Erlendur Haraldsson ne ki hai. Purnima ek chote se seher Polunnaruwa se ati hai. 3 saal ki umar se hi Purnima apni purani zindagi ke kuch pal apne dimaag mein dekh paati thi. Ek din hua yun ki jab woh apne parivaar walon ke saath baith kar TV dekh rahi thi tab TV mein Kelaniya Temple jo ki 145 kilometer dur hai Bakamuna se woh aya. Yeh mandir kaafi famous temple hai Buddhists ka aur kamaal ki baat hai ki Purnima kabhi bhi wahan gayi hi nahi thi. Magar TV mein iss temple ko dekh kar usne ek dam se kaha ki woh iss mandir ko jaanti hai. Phir kuch din baad woh apne maa baap ke saath uss mandir ke paas gayi aur jaate hi usse yaad agaya ki woh apne pichle janam mein nadi ke uss paar rehti thi.
Bus yeh qissa yahin khatam nahi hua. Iske baad se cheezein badhti gayi. Uske hisaab se usse yaad agaya tha ki uske maa baap kaun hai, aur yeh bhi ki woh ek agarbati ki factory mein kaam kiya karti thi. Usne apni past life mein hue accident ke baare mein bhi apne maa baap ko bataya, magar uske maa baap yeh soch kar baat tahl dete the ki Purnima bachi hai, aur shayad usse kahaniyan banana bahut pasand hai. Lekin yeh baatein badhti chali gayi.
Purnima ko yaad agaya tha ki woh pichle janam ek ladhki nahi balki ek ladhka thi. Woh ladhka jo ki apni cycle par baith kar, jagah jagah agarbatiyan becha karta tha. Purnima ne yeh bhi bataya ki uski maut jab accident se hui, toh usse aisa lagta hai ki woh bus 2 ghante tak behosh thi, aur uske baad hi woh apni purani life se iss life mein agayi.
Iske baad Purnima ko yeh sab baatein mann mein pareshaan karne lagi, kyon ki usse lagta tha ki uski kahani adhuri hai aur usse sab janna hai. Isi ke liye professor ko bulaya gaya, taaki woh iss case ki study kar sake. Professor ko isi liye bhi bulaya gaya kyon ki abb Purnima ke maa baap jann na chahte the ki kya yeh sab sach hai, yaa phir yeh sab bus Purnima ke dimaag ki Kalpana hai.
Toh bus aisi hi koi professor hamein Karan Arjun 2 mein dekhne ko mil sakti hai, jo Karan Arjun ke punarjanam ki kahani ko samjhegi. Purnima ki kahani ko professor ne kaise pata lagaya, yeh hum aapko iske agle video mein batayenge.
Tab tak aap hamare saath bane rahiye.

 

-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Judwaa 3

जुड़वा होने का फ़ायदा कैसे उठाना है अगर इस चिज़ के बारे में जानना या सीखना हो तो लोगो को सतीश और सबरीश राज के

Read More »
Soldier 2 , Bobby Deol | Sara Ali Khan | Prakash Raj | Abbas Mastan Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Soldier 2

Major Mukund Varadarajan ( Boby Deol ) apni Quick Response Team ke soldiers ke saath uss double story building ko gher lete hai jiske andar Altaf

Read More »
KARAN ARJUN 2

Karan Arjun 2

Hum sab jaante hai ki jab bhi baat punarjanam ki aati hai logo ke bich excitement badh jaati hai ye jaanne ke liye ki aakhir

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​