Gadar 2

 

Jab India aur Pakistan mein yudh hua karta tha tab kai aur aisi chize hoti thi jisse yudh ka naam de diya jata tha kai baar toh aisa hua tha ki yudh ki naam par har chizo mein Pakistani aur India ke kuch logo ne ghotala kiya tha , iss ghotaale mein kahi kahi uss waqt ke Prime minister Rajeev Gandhi ka bhi naam aata tha aur ek par toh aisa hua tha ki pakistan ke president ne Rajeev Gandhi ko phone kar ke pucha tha ki ye sab ho kiya raha hai jisko sunte hi Rajeev Gandhi puri tarah se chauk gaye the. Saal 1987 mein jab bofors top kharid mein ghotaale ka maamla saamne aaya toh dono desho mein hadkamp mach gaya tha. India ne saal 1986 mein Sweden se karib 400 bofors top kharidne ka sauda kiya gaya tha, baad mein The Hindu ne dawa kiya ki iss ek arab 30 crore dollar ke saude mein kathit taur par 64 crore rupaye ki riswat di gayi thi. Bofors scandal mein Rajeev Gandhi ka naam bhi uchhala gaya tha aur vipaksh parties ke nishaane par bhi wo aa gaye the. Yah sab kuch chal hi raha tha ki iss dauran India aur Pakistan mein jung chhidne ki naubat aa gayi thi, dono desho ne sima par bhari fauz aur gola-barudh , hathiyar bhi jama kar liye the. Jis waqt Bofors case ka maamla uchhala, ussi ke aamne saamne Indian army pakistani border ke najdeek military exercise kar rahi thi. Pakistan ke uss waqt ke tatkaaleen president General Zia Ul Haq ko laga ki India unn par hamla karne ki taiyaari kar raha tha. Itihaaskaaro ka kehna tha ki uss waqt general Zia Ul Haq itna kadar darr gaye the ki unhone India ke Prime minister Rajeev Gandhi ko phone kar diya aur unn se pucha ki yah sab kya chal raha hai? Iss phone call ki Rajeev Gandhi ko umeed nhi thi toh wo ye suunte hi sann reh gaye the. Rajeev Gandhi ne bahut muskil se unhe samjhaya ki wo koi hamle ki taiyari nhi kar rahe hai aur issi bich jald baazi mein Rajeev Gandhi ne general Zia Ul Haq ko delhi mein ek cricket match dekhne ke liye invite kar diya tha tab ja kar kisi tarah wo maamla shaant hua tha. Ek interview mein jab Rajeev Gandhi se pucha gaya thi ki kya wo sach mein nhi jaante the ki border par amry excercise kar rahe hai toh isspar unhone bola tha ki unko iss chiz ke baare mein bilkul nhi pata tha aur ye kaam wahi unki bina jaankari ki ho rahi thi jiske wajah se wo bahut naraaj huye the aur unhone raksha rajya mantri Arun singh aur tatkaaleen sena head K.Sudarji ko summoned kar diya gaya tha. Rajeev Gandhi ne iss ghatna ke baad mehsus kiya ki raksha mantri ka post kisi aise insaan ke hawaale karna chahiye jo har matter ko aache se solve kare. Unhone raksha rajya mantri Arun singh ko hatta diya tha aur unki jagah V.P. singh ko raksha mantri ki kamaan saup di thi taaki wo har kaam ko aache se sambhal sake aur koi bhi faisla jald baazi mein na kare.

Jab Viswanath Pratap Singh ko kaam par rakha gaya toh unhone apni zemedari sambhalate huye wo fauran kaam par lag gaye aur ek din aisa kuch hua ki unka shaq sahi sabit hua, hua uun ki viswanath Pratap Singh jo Rajeev Gandhi sarkaar mein rakhsha mantri the unhe ek ghotaale ki gandh aane lagi thi aur jab unhone iske baare mein chaan bin ki toh pata chala ki ghotaale mein chaar pandubbiyon ki kharid mein hera pheri hui thi aur Bofors maamle ke sath hi iss naye ghotaale se beychain hokar aakhir kaar Pratap Singh ne resign karne ka soch liya tha kyuki agar kabhi iski sachai saamne aati toh pratap singh hi fhaste kyuki inke under hi ye saare kaam ho rahe the aur inhi sabhi chizo se bachane ke liye unhone resignation de diya tha. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

RRR, Ram Charan , Jr. NTR bollygradstudioz.com

RRRR

सुभाष चन्द्र बोस (23 जनवरी 1897 – 18 अगस्त 1945) भारत के स्वतन्त्रता संग्राम के अग्रणी तथा सबसे बड़े नेता थे। द्वितीय विश्वयुद्ध के दौरान,

Read More »
MUNNA BHAI

Munna Bhai Series

हम सब जानते हैं कि किसी भी अभिनेता या अभिनेत्री की जिंदगी आसान नहीं होती है यहां तक ​​की जब बॉलीवुड में आपको अपनी पहचान

Read More »
Khalnayak 2, Sanjay Dutt, Jackie Shroff, Tiger Shroff, Madhuri Dixit ,bollygradstudioz.com

Khalnayak 2

1962 mein Alcatraz Federal Penitentiary naam ki jail kaafi famous hui thi, kyon ki wahan ke kuch kaidi bade ajeeb tarike se jail se bhaag

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected