Mirzapur-3

Shri Prakash Shukla UP ka sab se kam umar ka gangster tha. Prakash ka istemaal bade-bade raajneta apne rivals ko khatam karne ke liye karte the. Prakash peshe se ek Indian killer tha, jo 1990s ke daur me UP me sab se jyada active tha. Prakash sirf 25 saal ka tha, jab use ek encounter me maar diya gaya.
Prakash Shukla ka janam 1973 me Gorakhpur, UP me hua tha. Prakash ke pita Gorakhpur me hi ek teacher the.
Prakash ko shuru se hi pehalwani ka shauk raha hai aur iss wajah se woh apne gaaon ke अखाडों me apna dum dikhate rehta tha. Prakash ne apni zindagi ka pehla jurm 20 saal ki umar me kiya tha. Asal me 1993 me Rakesh Tiwari naam ke ek badmaash ne Prakash ki behan se badtimizi kar di, jis wajah se Prakash ne use beech sadak pe itna maara, ki uski mauke pe hi maut ho gayi. Iss ghatna ke baad Prakash Bangkok bhaag gaya, par jab woh waapas aaya toh woh ek alag hi insaan ban chuka tha. Ab Prakash ek master ka neta nahi, balki ek criminal ban chuka tha. Uss wakt UP me do aur aise naam the jinka crime ke duniya me bolbala tha. Harishankar Tiwari aur Virendra Pratap Sahi yeh dono aise criminal the, jinhe bhi iss baat ka pata nahi tha ki Prakash ab unse bhi aage nikalne waala hai. Prakash jaise hi crime ke duniya me aaya, uske baad woh phir nahi ruka.
Woh ek ke baad ek murders karte chala gaya. 1997 me Prakash ne apne rival Virendra sahi ka goli maar kar murder kar diya tha. Din ke ujaale me huye iss murder ne poore UP ke logon ke beech dehshat ka mahual create kar diya tha. Iske baad Prakash vasooli aur kidnapping ke bhi dhandhe me aa gaya.
1 august 1997 ko UP vidhaan sabha ka session chal raha tha, jiske paas me hi Dilip hotel tha. Issi hotel me Prakash ne 3 logon ko goliyon se udaa diya. Prakash ne iss dauran 100 se jyada fire kiye, jiski awaaj poore Vidhaan sabha tak pahuch gayi. Prakash ke haath me uss dauran AK-47 maujood thi. Iss ghatna ke baad bhi Prakash nahi ruka balki uski himmat itni badh gayi, ki usne Bihar ke bahubali kahe jaane waale mantri Brij Bihari Prasad ka khuleaam(openly) murder kar diya. Prakash jab Bangkok se lauta tha, ussi dauran se hi woh thekedaari(ठेकेदारी) yani ki contacting ke business me aa gaya tha. Prakash ne apne aas-paas aisa khauf paida kiya tha ki, koi bhi uske hote huye, railway theke ka tender nahi le sakta tha. 24 saal ki umar me koi apna itna khauf paida kar sakta hai, shayad hi yeh kisi ne socha hoga. Prakash Shukla ko ab crime ki duniya me hi reh kar ek alag naam kamana tha. shayad yahi wajah thi ki, usne UP ke tat-kaaleen(तत्कालीन) CM Kalyan Singh ki supaari(सुपारी) utha li. Iss kaam ke liye Prakash ko kareeb 5 करोड mile the. 90s ke daur me yeh bahut badi rakam thi. Yaha tak ki iss daur me SRK aur Salman jaise bade actors ko bhi 25 se 50 lakh fees hi di jaati thi. Uss daur me UP ke ek local goon ko 5 करोड ki rakam milna sach me badi baat thi aur shayad jisne bhi use yeh contract diya hoga, use iss murder se aur bhi jyada fayda milne waala hoga. Wahi yeh supari waali baat jab UP police ke kaano me padi, toh chaaron yor sansani fail gayi. Sab iss baat se waakif the ki, Prakash aur uske gang me CM ko maarne ki kaabiliyat hai, aur jo baat security force ko khatre me bhi daal sakti hai. Issi wajah se ab Prakash ko pakadna bahut jaruri ho gaya tha. Police ko ab iss baat se fark nahi pad raha tha ki, Prakash ko zinda pakadna hai yaa phir mara hua, unhe toh bas iss gangster ko apne kabze me lene se matlab tha. STF yaani ki “Special Task Force” Prakash ko khojne ke liye nikal padi, lekin unke paas Prakash ki koi tasveer nahi thi, jiske basis pe police uss tak pahuch paati. Police ne iss maamle me thodi jaanch-padtaal (जांच पड़ताल) ki, jisme unhe pata chala ki Prakash kuch dino pehle apne ek relative ke birthday party me gaya tha, jaha pe uski tasveer bhi khichi gayi thi. Bus phir kya tha, Police ne turant Prakash ke uss relative ka address aur phone number nikaala, taaki unse Prakash ki tasveer baramad ki jaa sake. Halanki koi bhi rishtedaar dar ke kaaran Prakash ka photo dene ke liye maan nahi raha tha. Lekin STF ne unn par pressure daal kar tasveer li aur unse waada kiya ki, unka naam nahi aayega. Issi kaaran STF photo ke saath Lucknow ke ek studio me pahuchi aur waha pe Prakash ke photo ko edit karwaya. Aaj jis famous photo ko log dekhte hai, usme shakal toh Prakash ki rehti hai, lekin body famous Bollywood actor Sunil Shetty ki hoti hai. Iss photo ko police ne postcard se kaat kar lagwaya tha, taaki Prakash yeh naa samjh paaye ki uski yeh tasveer aakhir aayi kaha se. Prakash shukla sab se jyada phone pe active rehta tha. Woh apne aas-paas ke logon me iss baat se rob bhi dikhata tha, ki uske phone ka per day ka bill 5000 rupay aata hai. Waise toh Prakash baat karne ke liye kayi alag sim cards ka istemaal karta tha, lekin apni zindagi ke aakhiri dino me woh ek hi sim card se jyadatar baatein karne laga. Prakash ko zara bhi andaza nahi tha ki uski yahi galti use ek din maar daalegi.
STF ne asaani se Prakash ke phone ko tap kar liya. 21 September ko kisi ne police ko inform kiya ki, Prakash subah 5:30 baje, Indian Airlines se Ranchi jaane waala hai. STF ne Delhi Airport pe jaal bichaya lekin Prakash waha nahi aaya. Phone tap kar pata chala ki Prakash ki flight miss ho gayi hai aur ab who apni girlfriend se milne Ghaziabad jaane waala hai. Police ne Prakash ke raaste me jaal bicha diya. Ab Delhi-Ghaziabad state highway pe police tainaat ho chuki thi. Prakash gaadi ki madad se Gaziabaad ke liye nikla. Prakash jis gaadi me baitha tha, uska number bhi nakli tha. Ussi dauran Prakash ko iss baat ka ehsaas ho gaya ki, koi uski gaadi ka peecha kar raha hai. Issi kaaran Prakash ne apni gaadi ko main road ke route se divert kar use kacche raaste pe le aaya. Uss din Prakash ke saath gaadi pe uske do aur saathi bhi sawaar the. State highway se 1 km door hat kar, use police dwara gher liya gaya. Prakash ko jaise hi iss baat ka andaaza hua usne goliyaan chalani shuru kar di. Lekin acchi baat yeh thi ki uss din Prakash ke paas Ak-47 nahi thi. Apni revolver se Prakash ne 14 goliyan fire ki. Issi ke jawaab me police ne 45 goliyan fire ki, jisme Prakash aur uske saathi maare gaye.
Prakash Shukla ek aisa khatarnaak criminal tha, jiska khauf naa sirf U.P balki Bihar, Nepal, Delhi aur West Begal tak faila hua tha. Police ne aise gangster ka encounter kar kayi logon ko khatre se bacha liya tha.
Toh yeh thi UP ke local gangster Shri Prakash Shukla ki kahani, jiski maut 1998 me sirf 25 saal ki umar me hi ho gayi thi. Dekha jaaye toh aise gangster ki entry Mirzapur-3 me Kaleen bhaiya ke power ko kam karne ke liye, unke rival dwara karwyi jaa sakti hai. Sabhi jaante hai ki kaleen bhaiya apne ilaake me kitna jyada power hold karte hai. Aise me unke kayi rivals bhi honge, jo unke jaan ke peeche pade honge. Ho sakta hai Mirzapur ke iss naye season me Kaleen bhaiya ka hi koi rival, Prakash Shukla jaise kisi local gangster ko Kaleen bhaiya ka murder karwane ke liye bheje. Agar aisa kuch hota hai, toh yakinan kahani kaafi interesting aur thrilling ban jaayegi.
Toh yeh thi aaj ki kahani. Agar aapko yeh blog pasand aayi toh ispe apni opinion jarur comment kare. Dhanyawaad.
The End

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Sooryavanshi 2 , Akshay Kumar , By Pratima Ratwani, bollygradstudioz.com

Sooryavanshi 2

2G spectrum Scandal Modern India ka bahut hi famous scandal hai. Ji haan, lagbhag 180, 000 crore ka ghabhan karne ke baad A Raja ko

Read More »
DON 3

Don 3

Anant Singh आज भी बिहार में ऐसा नाम है सुनकर काफी पुलिस वालों की नींद उड़ जाती है । अनंत सिंह का जन्म एक ऐसे

Read More »
Bholaa ,Ajay Devgn,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Bholaa

जापान के Amori गांव में रहने वाला Yoshira Tamamori 1936 तक एक normal जिंदगी जी रहा था। 1936 में Yoshira पर कल का इल्जाम लगाया

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​