Tridev 2

Bihar ek aisa jagah hai jaha ek waqt tha ek se bhadkar criminals nikalte the jaise ki kissi ko paiso se matlab hota tha toh kisi ko naam se, ussi mein se ek the begusarai ke Kaamdev Singh jisse log waha ke masiha bhi maante the. Samrat Kaamdev Singh wo naam hai jo ek jamaane mein jiski bihar ke begusarai mein tuti bolti thi, unki jung ek communist party ke logo se thi aur wo sirf apne gaaon waalo ki bhalai hi chahte the. Jab kaamdev aur communist party ke log aamne saamne aaye toh halaat aisi ho gayi thi ki begusarai aur uske aas paas ke ilaako mein aaye din goliyo ki awaaz gunja karti thi aur banduko ke bal par hi kai bade bade faisle ho jaaya karte the aur din dahade murder yaha tak ho jaaya karti thi , unke liye butho par kabza karna ek aam baat ho gaya tha. Inn sabke liye starting se Kaamdev ko jemedaar mana gaya tha lekin unke logo ka kehna tha ki ye sab kiya karaya communist party ke logo ka hai yaha tak ki Kaamdev par murder aur smuggling ke bhi aarop lagaye gaye the. Ex vidhayak aur bhartiya community party neta Rajendra rajan ka ye kehna tha ki communist party se unki koi political competition nhi thi, lekin wo gaanje ki smuggling karte the. Saal 1969 mein Vidhan sabha ke chunao mein unhone communist party ka virodh kiya tha uss samay bhola singh CPI ke candidate the aur uss daur mein Kaamdev ne Sonapur, Nayagaon ke booth par hungama kar diya tha yaha tak usne waha ke polling agent ko bhi waha se bhaga diya tha.

Saal 1969 mein Rajendra rajan ke baad saal 1971 mein lok sabha ke chunao ke baare mein batate hai ki tab yogendra sharma CPI ke umeedwar the aur Shaymanand Mishra ko Kaamdev Singh se milwaya, Kaamdev Singh ne begusarai ke 34 bootho par kabza kar liya tha aur congres ko jeet dilai thi. Halaki yogendra sharma begusarai ki 6 mein se 5 Vidhan sabha seato par aage the, jiske baad Kaamdev Singh aur communist party me log aamne saamne aaye the. Saal 1971 mein ki Kaamdev ke logo ne sangharsh ke dauran 13 saal ke bache ki hatya kar di thi, jiske baad Kaamdev par murder ka case darz hua aur phir ussi saal usne aur di hatya ki lekin communist party ne iss baar chupi todi aur Kaamdev ke khilaaf politics aandolan shuru kar diya tha. lekin jab Kaamdev Singh ke upar naare baaji shuru hui toh unke party ke log bhi sadak par aa gaye aur pardarshan karne lage the. Baad mein jab Surya Narayan Singh saansad bane toh unhone iss mudde ko saansad mein uthaya tha, uske baad saare mantri Kaamdev Singh ke against aa gaye the unhe apne sikanje mein liya aur Kaamdev ko jhukne mein majbur kar diya tha. Kaamdev Singh ne samjhauta kar liya aur unhone ye wada bhi kiya ki wo aab se kisi bhi politics se related chizo par dhiyan nhi denge aur na hi booth par koi kabza karenge. Jab rajendra rajan se pucha gaya tha ki kya wo kaamdeise darte hai toh unhone jawab diya ki unko kabhi bhi koi nizi ladai nhi rahi Kaamdev se aur yaha tak ki unke ghar mein sab padhe likhe aur aache post par hai toh kyu wo koi afwa failana chahenge Kaamdev ke baare mein .

Saal 1980 mein Samrat, sabke chahitey Kaamdev Singh ek encounter mein maare gaye the. Begusarai ke local reporter unke gaaon matihaani gaye the. Reporter ne bataya ki wo uss waqt gaaon jaane se darr rahe the kyu ki gaaon mein pura sannats pasra hua tha. Jab wo waha pahuche toh unhone dekha ki waha sab Kaamdev ko gher kar khade hai waha police officer ke sath sath CRPF ke jawan bhi the unhone ne hi bataya tha ki Kaamdev ek encounter mein maare gaye the. Jab wo reporter gaaon ke logo se baat karne laga toh usne waha ki aurotoh se pucha ki Kaamdev ek aapradhi the jo smuggling karte the aap log unke liye kyu ro rahe hai toh unn aurotoh ne jawab diya ki wo koi apradhi nhi the wo unke masiha the kyuki jab bhi unke ghar mein koi Janam leta ya marta bhi tha toh Kaamdev Singh hamesha apne gaaon waalo ke sath hi rehte the isliye unke gaaon waale unhe aapradhi nhi masiha maante the. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Tridev 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Black Tiger, Salman Khan,Yaami Gautam,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Black Tiger

Artist बना RAW ऑफिसर! एक बार की बात है अपने देश भारत में एक ऐसा भी इंसान था जो theatre artists था, RAW ऑफिसर था

Read More »
MUNNA BHAI

Munna Bhai-3

Shark Tank me aane waale Kamlesh ke anusaar unhone iss show ka add, apne phone pe dekha tha, jiske baad uske bhai ne use iss

Read More »
K.G.F 3 Rocky by masumi sachdeva ,bollygardstudioz.com

KGF

PART SEVEN Thumbnail title: किसकी हुई jeet? Jald hi release hone waali badi Tollywood movie, kgf chapter three ki kahaani kuch iss tarah aage badhne

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected