Pankaj Tripathi aka Kaleen bhaiya kehte hai ki woh apni asli zindagi me bilkul bhi power hold nahi karte hai, aise me Kaleen Bhaiya ka kirdaar unhe aisi life jeene ka mauka deta hai, jisse woh thode wakt ke liye powerful feel karte hai. Pankaj Tripathi ki baat se iska andaza toh hume bhi hai, ki Kaleen bhaiya ka kirdaar Mirzapur series ki jaan hai. Aise me jab unke saamne ek aisa rival aa jaaye jiska alag hi stardom ho, toh kya Kaleen bhaiya isse bardasht kar paayenge? Waise toh yeh sochne waali baat hai, par chaliye pehle yeh jaante hai ki aakhir woh rival hoga kaisa.
Jab kisi ke paas BMW jaisi mehangi gaadi, vedeshi breed ke cats aur dogs, Louis Vuitton jaise mehange brand ke joote aur kapde ho, toh andaaz lagana mushkil ho jaata hai ki woh insaan asal me ek mujrim hai. Halanki UP ka gangster Badan singh Baddoo ki yahi pehchaan hai. Woh ek aisa gangster hai, jiski zindagi aur looks bilkul kisi Hollywood villain jaise hai. Badan singh Baddo mool roop se Punjab ka hai, lekin 1970s ke dauran uska pariwaar Meerut aakar bas gaya, tab se hi Badan singh yahi ka ho gaya. Badan ke pita jab Jalandhar se Meerut aaye toh woh yahi pe truck driver ke roop me kaam karne lag gaye. Iske kuch wakt baad Badan ke pita khud transport ke business me aa gaye. Badan Singh apne 7 bhaiyon me sab se chota tha. Bada hone pe woh bhi truck chlane ke dhande me aa gaya. Truck chalane ke dauran hi Badan Singh dusre gunde ke contact me aa gaya aur yahi se Badan, west UP ke border waale ilaake se Alcohol ki illegal smuggling karne lag gaya. Badan Singh pe sab se pehla criminal act ka charge 1988 me laga, jab usne zameen ko lekar huye jhagde me ek aadmi ki, beech sadak pe hatya kar di thi. Issi saal Badan ko ek rifle aur 15 live cartridges ke saath pakda gaya tha. 1994 me bhi Badan ne ek ladke ki hatya ki thi. 1996 me Badan ne ek advocate ki sirf issiliye hatya kar di thi, kyunki वकील ne Badan ko thappad maara tha. Asal me Badan ne वकील ke ek family friend ki wife pe comment kar diya tha, jisse gussa kar Rajendra naam ke वकील ne Badan ko jor se thappad maar diya aur issi ka badla lene ke liye Badan ne Rajendra ki hatya kar di. Iss jurm ke liye Badan Singh ko 2017 me umar-kaid ki saza sunayi gayi thi. 2011 aur 2012 me Badan ne do aur logon ki hatya ki thi. Pehla aadmi panchayat ka sadasya tha toh wahi dusra aadmi, Cable network ka maalik tha. Badan singh ke khilaaf UP ke alawa dusre raajyon me loot, hatya, vasooli ke 40 se jyada maamle darj hai. Wahi iss gangster pe kareeb 2 lakh ka inaam bhi rakha gaya hai. Badan singh ki lifestyle ko dekh use ek criminal maan’na thoda mushkil hai. Badan singh ka mahal ke tarah ghar hai, luxurious bulletproof cars ki lambi लाइने hai. Iske alawa mehange hathiyaar, videshi breed ke dog aur cats, bade-bade brands ke kapde aur joote bhi Badan singh ke paas hai, jo use bilkul kisi Hollywood icon ka look deti hai. Dekha jaaye toh Badan ki puri life hi ek film ki tarah hai. yaha tak ki woh bilkul filmi andaaz me faraar (फरार) hota hai.
Ji haa! Yeh baat hai 2019 ki jab Fatehgarh jail me band Badan singh ko kisi purane maamle ke aarop me, Ghaziabad ke court me pesh hona tha. Police use court me pesh karwa kar waapas jail laa hi rahi thi, ki Badan Singh apne plan ke thehat police waalon ko Meerut chalne ke liye raazi karwa leta hai. Meerut pahuch kar Badan police waalon ko ek hotel me le gaya, jaha pe police waalon ko Alcohol ki bhaari maatra di gayi. Issi beech Badan Singh faraar ho gaya. Inn sab ka asar yeh hua ki, uss din Badan Singh ke saath jitne bhi police waale the, sab ke khilaaf action liya gaya. Maze ki baat yeh thi ki, jis din yeh ghatna ghati uss din Meerut me high alert tha, kyunki ghatna ki jagah se 18 km ki doori pe hi uss dauran Prime Minister Modi ek rally ko address kar rahe the aur iss wajah se security kaafi tight thi. lekin Badan issi beech bhaagne me poori tarah se kaamyaab ho gaya. Aaj Badan Singh Baddoo 2 saal se faraar hai, logon ka kehna hai ki, woh videsh me apne bete ke saath philhaal reh raha hai. Badan singh Baddo social media pe bhi bahut active rehta hai. Police ke mutabik kayi logon ko usse khatra hai. Iss khatre ke darr se kayi logon ne police team se security ki appeal ki hai. Wahi logon me iss baat ko lekar bhi bahut gussa hai ki aakhir kyun police abhi tak Badan singh ka pata nahi laga paaya hai. Wahi bhale hi Badan Singh aaj-kal desh me naa ho, lekin uske aadmiyon dwara aaj bhi logon pe nazar rakhi jaa rahi hai. Police dwara pehle hi Badan Singh ke kayi properties ko destroy kar diya gaya hai. Kayi ki keemat toh 10 crore ke paar hai. Police ne Badan Singh ko apne “most wanted” list me shaamil kiya hai. Halanki woh use pakadne me aaj bhi safal nahi ho paaye hai. Halanki unki khoj jaari hai.
Dekha jaaye toh iss tarah ka kirdaar Kaleen bhaiya pe kuch hadd tak bhaari pad sakta hai aur iske kayi kaaran hai. Pehla yeh ki Antagonist desi aur videshi dono tarikon me maahir hai, aise me antagonist ke paas jaha desi gundo ki fauj hogi, wahi uske paas videshi hathiyaar bhi honge, jo uske kaam ko aur asaan bana denge. wahi Kaleen bhaiya ki baat kare, toh UP ke ekdum desi gangster hai, jiske paas jyadatar desi taur-tarikon ki cheezen aur saathi hai. Aise me dekhne waali baat yeh hogi ki aakhir isme kiski jeet hoti hai kyunki dono hi gangsters kaafi khatarnaak hai aur logon me inka ka khauf bhi hai. Par iss kahani ka plot, twist kya hoga yeh toh series dekhne ke baad hi pata chalega. Tab tak ke liye aap bane rahiye humare saath iss blog pe, jiska naam hai Bollygrad studioz.
The End
Sooryavanshi 2
Mumbai, Delhi, Hyderabad, Pune kuch aisi cities hain jin mein India ka youth rehta hai. Delhi strategically important hai toh Mumbai economically! Aise mein agar