RRRR

Jab baat desh ki aati hai tab koi bada ya chota, mota ya patla nhi dekhta, dekhta hai toh bas ye ki uske dil aur dimaag mein apne desh ke safety ke alawa usse kiya hi najar aata hai. Kai baar aisa bhi hota hai ki desh se badhkar kisi se ke liye kuch hota hi nhi hai aur jinko desh ke alawa kuch bhi dikhta usse kisi bahane ki jarurat nhi padti hai wo bas mauke ki talaash mein tehta hai ki bas usse ek baar mauka miley apne desh ke liye sewa karne ka aur apni desh ke prati zemedari ko puri karne ka. Aise bhi humne kai aise senaniyon ke naam suney hai jinhone bilkul apne tarike se apne desh ko azad dilaane ki koshish ki aur apne desh ke liye shahid bhi ho gay. Lekin kai aise naam hai jinke baare mein humne aaj tak suuna hi nhi hai ya kaha koi unki naam tak nhi jaanta hai unhi mein se ek hai Tirot sing ji , ye unn swatantrata senaniyon mein hai jinhone apne desh ko azad karane ke liye apni edee choti ka jor laga diye the lekin ye desh ko azad karane ke liye ladte ladte shahid ho gaye aur bharat desh ke liye ek sabak de gaye ki kabhi kisi ke saamne jhuna nhi hai aur na hi kisi ki gulaami karni hai.

Tirot sing, jinhe U Tirot Sing Syiem ke naam se bhi jana jata hai , inka janan saal 1802 mein Mairang mein hua tha, 19th century ki shuruaat mein important logo mein se Tirot ji ek the. Tirot apne vansh ko Sylhet vansh se nikaale the, wo jada tar pahadiyo ke hisse, Nongkhlaw ke head jo ki khasi hill ke the ya bolu toh waha ke raja the. Wo apni parishad ke sath co-operate authority ke sath kuch shajha karne waale the jo ki sirf aur sirf unke ilaake mein ho sakhti thi. Saal 1826 mein treaty of Yandabo complete hone ke baad British ne Brahmaputra valley par control kar liya tha. Sylhet mein apni sampati aur niche Assam mein nai adhik sampati ke bich Khasi pahadiyo ne rukawat laane ki koshish ki thi.

Tirot ne yudh ki ghosna ki aur khasi pahadiyo par control karne ke koshish ke liye British ke khilaaf ladai hui thi. Meghalaya ke uss yodha yar purey north east ko abhi bhi garv hota hai kiu Tirot Sing ne bahut hi kam umar mein british emperor ke khilaaf bigul fhuk diya tha aur unhone apne dimaag ke kaaran 10,000 ladko ke sath milkar British ki eet se eet baja kar rakh diya tha unhone. Waise toh khasi samudaye se aane wale Tirot Sing Khadsawphra Syiemship ke raja the, lekin unhe uss parde par behad aache tarike se banwaya gaya tha kyuki unke bheetar ka jo jajba tha wo bilkul ek yodha, ek aisa yodha jo nidar tha aur itna himaat wala jisne bina daare alele apne balbutey par britishert ko unki naani yaad dila thi. Raja Tirot Sing sirf aur sirf apne logo ya kahu toh apne praja ke liye wo kuch bhi kar sakhte hai din raat sirf unke baare mein sochte rehte hai. Sayad issi kaaran jab East India company ke David Scott ke leadership mein Britishers ne unke saamne ek proposal rakha ki wo Guwahati ko Silhatt se jodne se liye ek sadak ka nirmaan karna chahte hai toh iss par bhi Tirot naraj nhi huye aur unke baad unhone unn ka swagat bahut aache se kiya gagaya tha.

Tirot Sing ko ye laga tha ki iss road ke wajah se unke hi logo ko jada suvidha hogi aur wo apne business ko aache se waqt de paayenge.Tirot sadak banane ke liye maan gaye gaye the lekin badle mein unhone Jo bhi sampati Assam mein chipayi thi unhone Tirot wapas lena chahte the, court ke do din baad sabha british ki baat maan gayi ki waha sadak banane di jaaye. Jan Rani ke Raja Balram Singh ne Tirot Sing ke daawo par vivaad kiya toh wo apna dawa sthapit karne ke liye December saal 1828 mein sabhi ke sabhi mens ek party ke sath gaye, unhe Biswas tha ki British unka sath degi lekin unka saamna sipahiyon ke jhund se hua jinhone unka rasta rok diya tha.

Unhone saal 1827 mein David Scott ke sath apne darbaar mein baithak ki , iss baithak main lambi charcha ke baad guwahati ke najdik Rani se Nongkhlo hote huye Surma ghati tak sadak nirmaan ki manjuri de di gayi. Sadak banane ka kaam shuru hua toh unnn logo ke bangle bhi Nongkhlo mein aa rahe lag bhag 18 mahino ke liye kaam apne time par ho raha tha aur waha le local adiwasiyo ke sath Swatantra roop se wo log mil gaye aur aacha rishta banaye rakhee. Magar ek din ek bangali sevak ne Tirot Sing ko bataya ki British jo bhi piyar ya apnapan dhikha rahe hai wo sab dikhawa hai aur wo log ek plan bana rahe hai jiske teht road banante banante tak wo local logo par apni hukumat karne lagega aur sadak puri hotey hi unka apna gulaam bana lega. Tirot sing ko baat samjh aa rahi thi aur unhone unki jaalsaaji samjhne mein deri nhi lagi, unhone bahut pata karne ki koshish ki , akhir baat sach hai ya nhi toh unhe malum chala ki sach mein british sadak ke jariye apni ek ghinauni mansa ko anjaam dena chahte hai sur fauran unhone sabhi ko Nongkhlo Khali karne ki keh diya, magar ne isse andekha kar diya aur aise behave karne lage jaise maano ye unki ki jagah ho. Jab Tirot Sing ne british ka aisa rawaiya dekha toh wo naraaj ho gaye aur iske baad unhone apne kuch adhikaariyon ke sath milkar British par 4 April 1829 mein hamla kar diya tha .Udhar british ne bhi Tirot Sing ki naraajgi aur gussa dekhkar khud ko bachane ke liye apne sainiko ko Silhatt aur kaamroop mein bulaya aur unki awaaz dabani chahi par Tirot Sing ke leadership mein khasi ke log chup nhi baithe aur unhone British ke khilaaf Jang chedne ki peshkash ki. Tirot sing jaante the ki ab baat yudh par aa gayi hai aur unke paas jeetne ke alawa aur koi dusra rasta hai ki nhi kyunki unke apne logo ka ek matr wahi hai jo british se lad sakhte hai iskiye unko ye yudh jeetna hi hoga. Tirot sing ke sirf paramparik yudh ke samaan jaise teer, bhala aur talwaar aadi the. British ki banduk aur yudh ki ranniti ke khilaaf ye asardaar nhi the kyuki kahi na kahi ye sab purane tarike the yudh karne ke liye uske waibjud Tirot singh ke leadership mein khasi samudaye ke fighters ne haar nhi maani aur chaar tak british se unka yudh chala. Tirot sing ki takat lagataar Kam ho rahi thi lekin wo british ke saamne jhukne ko taiyar nhi huye wo jaante the agar wo jhuk gaye ya gaar maan gaye toh ye haar sirf unki nhi unke purey rajya ki hogi, wo ghayal halat mein unhone gufaao mein jakar khud ji jaan bachai lekin shayad uss waqt kismat bhi unki sath nhi thi Tirot singh ka ek aadmi British se mila hua tha aur usne british ke sath milkar Tirot ke sath chal kar diya aur karib 9 January saal 1833 mein unko jabardasti unae surrender karwa gaya tha. Iske baad unko Dhaka bhej diya gaya tha jaha kaid mein rehne ke duran 17 July saal 1835 mein inhone aakhiri saans li , mana jata hai ki unhe pey mein dikate shuru ho gayi thi jiske kaaran unki maut ho gayi thi. Aaj Tirot sing ko bharat ke unn shurveeron ke sath yaad kiya jata hai jinhone british ke khilaaf kabhi apna seer apni margi se nhi jhukne diya aur sab se alag hone ke waibjud maidan mein sabke saamne aade rahe.

Meghalaya ke iss bahadur ka explanation british itihaaskar Sir Edward Gate ki kitaab “Tha history of Assam” aur professor PN dutta ki “1986 mein Asaan Shillong ke itihaas ki jhalak” mein bhi bataya gaya hai. Yeh kahani RRRR movie ke liye ho Sakhti hai jisme director ek sache aur bahadur desh bhakt ki kahani dikha sakhte hai. Toh aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye..

 

 

Chandan Pandit

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

KGF

KGF 2

Underworld ki duniya mein ab tak bahut sare bade se bada gangster dekhe Gaye. Unme se kuch Jane Gaye apne kaam se, naam se, khauf

Read More »

Pushpa 2

Allu Arjun की Pushpa 2 के आने में अभी 7 से 8 महीनो का वक्त बचा है लेकिन फिर भी इस फिल्म की हाइप अभी

Read More »
Bahubali 3 , Prabhas , By Rashmi bollygradstudioz.com

Bahubali 3

बाहुबली फिल्म को अगर ध्यान से देखा जाए तो बाहुबली फिल्म के डायरेक्टर एसएस राजामौली ने खुद कई जगह हिंट दिया था, ये बताते हुए

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected