Bahubali 3

Haldighati ka yudh ek aisa yudh hai jiska itihaas abhi bhi likhe ja raha hai kyuki itihaaskaaro mein abhi bhi mat bhev chal raha hai ki aakhir kaar kiya hua tha uss yudh ka parinam aur kisne kisse haraya tha. Haldighati ka yudh 18 june saal 1576 ko Mewar ke rajput Shashak Maharana pratap aur Mughal Badshah Akbar ke bich lada gaya tha. Jisme mughalo ne mewar ki sena par kadi najar gadaaye huye the lekin wo Maharana pratap ko nhi pakad paaye the. Saal 1568 mein chittorgarh ki gherabandi ne mewar ke upjaau jagah ko Mughalo ke haantho kho diya tha aur baaki bache jungli aur pahadi rajya aabhi bhi sisodiya ke andar tha . Akbar mewar ke jariye se gujarat ke liya apna ek permanent rasta banana chahta tha lekin jab 1572 mein Maharana pratap singh ko taaj pehnaya gaya toh Akbar ne Rana ko iss jagah ke kai dusre raajput netaao ki tarah usse apna doot banane ka hukum diya lekin Rana ji ne isse thukra diya tha aur issi karan unn dono ke bich yudh hua tha. Haldighati asal mein ek darra hai, jo Aravalli parvat se gujarne waala darra jo rajasthan mein udaipur se karib 40 km dur hai aur iss darra ki mitti haldi ki tarah pili rang ki hai isliye iss jagah ka naam Haldighati pada jo rajasthan mein Rajsamand aur paali ke gillo ko jodta hai. Itihaas mein kai aise sabut maujud the jis par saaf taur par iss yudh ke baare mein likha gaya tha lekin Mughalo ne usse bhi barbaad kar diya tha . Darasahal inn Shilalekh par likhi kai saari jaankaari mein Akbar ke saamne mewari sena ko kamjor batata gaya hai jo ki aisa bilkul bhi nhi hai sath mein iss yudh ki date 18 june batayi gayi hai balki agar maujud kitabo ki maane toh 21 June ko hui thi.
Yudh ke dauran Maharana pratap ke pitaji Uday Singh ko chorkar lagbhag sabhi pramukh rajao ne Mughal vansh ko swikaar kar liya tha aur Mewar ke raaj gharaano ne Mughalo ke saamne ghutne nhi teke the, aise mein Akbar ne rajya failaane ke liye October 1567 mein chittorgarh ki gherabandi kar di thi, jiske wajah se Uday Singh ko majburan padh chorna pada aur saari zemedari Raja Jaimal ko de di gayi thi jo uss yudh ke kaaran maare gaye the aur phir uske 4 saal baad Uday Singh ka dehant ho gaya tha. Uday Singh ki mrityu ke baad unke putr Maharana pratap ne mewar ki kamaan sambhali aur Akbar ne kai baar baat ki lekin pratap ne Mughalo ki nhi maani aur aakhir kaar yudh ka faisla kiya, uske baad jab yudh hua toh usme Akbar ki sena ke saamne mewar ki sena kaafi choti thi jiske kaaran mewar ki sena ko kaafi nuksaan bhi hua tha .Rana Pratap ke andaaz ke mutabik unke sena mein majbut 800 van ki kamaan Hakim khan Sur ne apne Afghano, Dodia ke Bhim Singh aur Ramdas Rathor ke sath sambhali ki aur dakshin taraf se lagbhag 500 majbut van taiyaar the aur iska kamaan Gwalior ke raja Ramshah Tomar aur unke 3 beto be Sambhal rakhta tha. Pratap ne apne ghode par sawaar hokar kendra mein lagbhag 1300 sainik ka dhiyan rakha gaya tha yaha tak ki pujari aur dusre log bhi uss yudh mein shamil the.
Itihaas me kai saare aise yudh mita diye gaye hai jiska hona bahut jaruri tha kyuki usme maujud baatein uss yudh ki sachai hai. Ab yudh mein jeet kiski hui iske piche kai kaaran hai wahi dono side ke logo ka maanna hai ki unki jeet hui thi. Itihaaskaaro ke anusar kaha gaya hai ki mewar ne bhi jeet ka dawa kiya tha kyuki uss yudh mein koi bhi Aatmasamarpan nhi hua tha aur wahi Mughalo ne bhi dawa kiya tha ki wo bhi yudh ke annt samay tak wahi the, isliye jadatar itihaaskaar is conclusion par pahuche hai ki Pratap ki sena Haldighati ki ladai se kabhi pichey nhi hati thi jiska saaf matlb hai ki wo ladai Mewar ne jeeti thi. Pata nhi iss yudh ki sachai kiya thi lekin jaisa abhi hamara aaj hai uske hisaab se jeet mewar ki hi hui thi warna aaj mewar, mewar nhi hoti. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Bahubali 3 ki jisme ek raja ne kisi bhi haal mein aatmasamarpan swikaar nhi ki. Aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

RRRR

Ashfaqulla Khan ka naam India ke itehaas mein bahut famous raha hai. Ashfaqulla unn chuninda logon mein se ek the jinhone unhein loota jo hamein

Read More »
Pushpa 2

Pushpa 2

फिल्म पुष्पा 2 का क्लाइमेक्स सीन शूट हो चुका है और उस सीन ने मानो जैसे ये रिवील कर दिया हो कि पुष्पा 3 भी

Read More »
Pushpa The Rule - Part 2: Directed by Sukumar. With Allu Arjun, Fahadh Faasil, Mohanlal, Rashmika Mandanna, bollygradstudioz.com

Pushpa 2

Log majburi mein kabhi kabhi galat rasta pakad lete hai lekin McMillan jaise log sab kuch hotey huye bhi jada paisa kamane ke chakar mein

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected