Dhoom-4

Journalist Tom jab Boston ke daily newspaper me, Gardner museum se looti gayi paintings ke baare me likhta hai, toh FBI agents alert hokar maamle ki jaanch karna shuru karti hai, lekin unke haath kuch nahi lagta.
FBI iske baad art dealer William ke paas pahuchti hai aur usse loote gaye artworks ki jaankaari lene ki koshish karti hai, lekin Willam bhi kaafi tez tha. Woh itni asaani se jaankaari dene ke mood me nahi nazar aa raha tha. William FBI se kehta hai ki woh tabhi Gardner heist ko lekar details disclose karega, jab uske dwara kiye gaye crimes ke badle, uspe koi case nahi file ki jaayegi aur uske dost Connor ko bhi jail se riha kar diya jaayega. Jaahir si baat hai yeh demand FBI ke liye kaafi badi thi aur woh aisa bilkul bhi nahi kar sakte the. FBI phir William se kehti hai ki hume abtak koi mazboot saboot nahi mila hai, jisse hum yeh maan sake ki tum loote gaye artworks ke baare me sach me jaante ho. William ispe FBI ko kuch ‘paint chips’ aur colored photographs deta hai. Maana gaya ki yeh paint chips Vermeer(वहमीयह) ki “The Concert” paintings se match kar rahi thi. “The concert”, Gardner museum se loote gaye 13 paintings me se ek thi. Wahi “paint chips” asal me paint ke ek chote tukre ko kehte hai, jo jyada wakt hone pe purani paintings se nikalne lagta hai.
2014 me investigative reporter Stephan ne, Bobby Donati gang ke ek superior Vincent Ferrara(विन्सेंट फेरारा) se baat ki, jisme Vincent ne kaha ki FBI ne Merlino gang ko crime suspect maan kar bahut badi galti ki hai, kyunki iss heist ko asal me Bobby Donati ne hi anjaam diya tha. Donati ki maut 1990 me ek gang War me ho gayi thi. Ussi saal museum heist bhi hui thi. Vincent ne bataya ki heist se kuch mahine pehle, Bobby Donati usse milne jail pahucha tha. Bobby ne Vincent se kaha tha ki woh ab aisa jarur kuch karega, taaki Vincent jail se riha ho sake. Teen mahine baad Vincent ne jail me hi reh kar “Gardner museum heist” ki khabar suni. Heist ke baad Bobby Vincent se milne dobara jail pahucha aur usne Vincent se kaha, ki woh iss heist me acchi tarah se involved hai aur usne churaye gaye artworks ko zameen me dafna diya hai. Bobby ka maksad tha ki woh churaye gaye paintings ke badle, Vincent ko jail se riha karne ki baat kahega. Issi kaaran who iss maamle ke thanda hone ka intezaar kar raha tha. Asal me jab se museum me loot hua, tab se har jagah yeh loot hi charcha ka vishay ban gayi thi. Bobby maamle ke thande hone ka jabtak wait karta, usse pehle hi Bobby Donati ki hatya ho gayi. Saare saboot bhi Donati ke khilaaf the, lekin asli proof ke liye Donati zinda hi nahi tha. Iss maamle pe aage hui jaanch me pata chala ki “Jimmy Marks” naam ka aadmi heist se jooda tha, lekin heist ke ek saal baad, 1991 me Jimmy ki hatya ho gayi. Jimmy Marks ka case bhale wakt ke saath thanda pad gaya ho, lekin aage jaakar heist ko lekar kayi saari jaankaariyan saamne aayi thi. Gardner museum ke security chief Anthony ko kisi anjaan insaan se ek note mila, jisme officials se request kiya gaya tha, ki woh Jimmy Marks ki murder case ko investigate kare. Jimmy ek famous criminal tha. Loot ke 11 mahine baad hi Jimmy ki hatya ussi ke apartment me ho gayi thi.
Jaankaaron ka kehna hai ki apni maut se pehle Jimmy har jagah show-off kar raha tha, ki woh loote gaye 2 famous paintings ka owner hai aur usne yeh bhi maana ki usne kuch aur artworks ko dusri jagah chupaya hai. Jimmy isse pehle 1960s me huye ek bank robbery me involved reh chuka hai. Iske alawa Jimmy Drug dealer bhi tha. FBI ne paaya ki Jimmy ko, heist ke peeche shaamil asli mastermind ki jaankaari thi. Kyunki Jimmy ka unlogon se connections tha, jin-logon ke naam heist me main suspect ke taur pe saamne aaye the. Yaha tak ki Jimmy ki pehchaan Bobby Donati se bhi thi. Bobby aur Jimmy ko accha dost maana gaya hai. Shaayad issi kaaran Jimmy, loote gaye artworks ke uss transportation ka hissa tha, jisme artworks ko loot ke baad Boston se Philadelphia laaya gaya tha. 2015 me bhi Jimmy Mark ke khilaaf saboot mile the. Asal me Marlino gang ke associate Robert ki wife ne 2015 me bataya, ki Robert ne hi Jimmy Mark ki hatya ki thi. Robert ki death 2004 me hui thi. Aage jaakar bhi kayi logon ke naam saamne aaye jinhe iss heist se joda gaya, lekin prime suspect shuruat se hi Bobby Donati tha. Ek suspect ne toh yeh bhi kaha ki loot ke baad Bobby uske paas “Finial Eagle” ko lekar aaya tha aur usse “Eagle” ki keemat puch raha tha.
Inn sab saboot ke bawajood bhi US attorney ka kehna hai, ki jabtak koi mazboot prove nahi mil jaata hum Bobby ko prime suspect nahi maan sakte. Iss heist ke ek aaropi ne kaha ki Bobby kisi pe vishwaas nahi rakhta tha aur issi kaaran usne saare artworks ko kahi chupa diya hai, jise ek din jarur hi koi khoj nikaalega. Tab tak ke liye “Isabella Stewart Gardner museum” heist ka asli aaropi, ek mystery hai.
The End

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Sultan 2

Thumbnail:- Sultan हुआ retired! Content:- Salman khan ki film Sultan ki kahani ki shuruat hoti hai Delhi se, jaha pe Sultan(Salman khan) ko retirement ke

Read More »
Rambo, tiger shroff,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Rambo

फिरौती मिलने के बाद भी मरा बच्चा!    Hopewell, New Jersey के rural इलाके में एक सुंदर 390 एकड़ की property पर, चार्ल्स लिंडबर्ग (Charles

Read More »
Rowdy Rathore 2,Akshay Kumar,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Rowdy Rathore 2

इसके बाद एक बार फिर उसी रात हम लोग घटनास्थल पर गए, तो कुछ लोगों से पूछताछ की। ज्यादातर लोग घर जा चुके थे। इस

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected