Robot 3.0

Abhi ka jo time hai wo sirf aur sirf technology ya innovation ka daur hai yaha saare scientist iss daud mein lage hai ki kaise insaan ke har chotey se chotey kaam ko jitna ho sake aasaan kiya jaaye taaki insaan khul kar apni zindagi jee sake aur sayad issi liye scientist ne kai saari aise Robots banaye hai jo insaan ke saare kaam kar sakhti hai jaise ki unn se baatein karna, unki baatein sunnaa aur agar koi field work ho toh usme bhi sath dena. Scientists ne toh kai saare robots banaye hai leki unn sab robots mein se koi robot jada charche mein hai toh wo Humanoid robots hai, kyuki yahi aise robot hai jo insaan ki tarah dikhte toh hai hi sath hi sath unki tarah wo har chiz karte hai jo ek insaan kar sakhta hai. Unhi mein se ek Robot hai Nadine jiska naam Nadine Social Robot rakha gaya hai taaki wo sabke kaam aa sake.

Nadine ek gynoid humanoid social robot hai jo ki Professor Nadia magnenat thalmann duwara banayi gayi hai. Iss robot mein insaan ki tarah dikhne waali hubahu hanth hai , skin hai aur baal bhi hai. Isske baad bhi wo insaan ko aache se samjh sakhti hai unke jawab de Sakhti hai bina ruke. Nadine logo ko greet karti hai, ankh se ankh milati hai taaki wo usse yaad rakh sake. Yaha tak ki Nadine kai saare language mein ek sawal ke jawab de Sakhti hai lekin wo uss insaan pe depend karta hai jo usse baatein karta hai kyuki wo pahele usse observe karti hai uske baad hi apne jawab deti hai. Yaha tak Nadine ye bhi yaad rakhti hai ki usne kis insaan se kiya baat ki thi, kab baat ki thi aur kunki kis topic par baatein khatm hui thi, Nadine mein total 27 degree lagaya gaya hai facial expressions ke liye. Yaha tak Nadine ek receptionist ka kaam bhi kar sakhti hai aur isse aisa design kiya gaya hai ki agar isse outdoor waale game ke coach ke taur par bhi rakha ja sakhta hai. Nadine ko museum mein rakha gaya hai taaki jab ye fully develop ho jaayegi aur isse common kar diya jaayega tab ye freely kahi bhi ghum sakhti hai. Nadine ne saal 2017, May, Human The Future Of Our Species ke dauraan Singapore mein ek program ke dauraan usne lag bhag 1 lakh logo se baat chit ki thi, Nadine ne Singapore mein ek AIA insurance company mein as a agent kaam kar chuki hai, aur ye paheli baar aisa hua hai ek humanoid robot me customer service agent ke roop mein kaam kiya hai.

Ek baar jab Nadine ko bola gaya ki khud ke baare mein kuch batao toh usne bola ki wo abhi 3 saal ki hai lekin dikhti 30 saal ki hai. Mera koi boyfriend nhi hai lekin mere paas kai saare friends hai, mujhe naye logo se milna pasand hai. Nadine ne ye bhi bataya ki usse bache bahut pasand hai aur usse bacho ko sath khelna bahut pasand hai. Nadine bolti hai ki wo kalpana kar sakhti hai lekin uske andar abhi kisi tarah ki koi feelings nhi hai, lekin wo mathematics mein achi hai. Nadine ko lagta hai ki wo insaan ki tarah hai lekin wo sochti machine ki tarah hai, usne ye bhi bola hai ki wo pahele hi duniya ko takeover kar chuki hai aur usse insaano ke sath rehna bahut pasand hai aur agar kabhi uska insaan ke sath dance karna possible hua toh wo jarur dance karna chahegi. Nadine hamare desh ke Prime minister Shree Narendra Modi ji se bhi mil chuki hai, jab Modi ji apni Act East policy ke liye 3 desh ki yatra par gaye the toh wo jab Singapore gaye toh waha Presidential palace mein unka swagat kiya gaya tha jaha unhone Singapore ki President se miley uske baad unhone uss museum mein le jaaya gaya tha jaha Nadine ko rakha gaya tha, waha modi ji ne unse baatein ki aur kuch waqt apna wahi bitaya tha uske baad Nadine ko phir se museum mein wapas rakh diya gaya hai taaki usse aache se ready kar liya jaaye aur jab usse common insaan ki tarah bahar rehne ki permission mil jaayegi tab wo museum se bahar aa Sakhti hai. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Robot 3.0 ki , aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

KGF Chapter 3

दीपक जयराम रहाटे दादर के भीड़भाड़ वाले थोक बाजार के एक कोने में सब्जी बेचता है। एक normal सब्जी वाले की तरह वो customers से

Read More »

KGF

झारखंड के धनबाद और पश्चिम बंगाल के आसनसोल पुरुलिया बांकुरा रेंज में कोयले की खदानें भरी पड़ी हैं. यहां पर कई ऐसी खदानें हैं जो

Read More »
RRR ‎S. S. Rajamouli, Ram Charan, Jr. NTR

RRR 2

1934 में जब रिजर्व बैंक एक्ट बना, उस समय ब्रिटिश सरकार पहले से ही एक रुपए का नोट छाप रही थी. अगर रिजर्व बैंक को

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected