Dhoom 4

Chor kabhi apne ghar mein chori nhi karta hai lekin Frank William Abagnale sabhi choro se alag hai , inhone 15 saal ki umar mein sabse Paheli chori ki thi wo bhi apne hi ghar se aur aisa nhi tha ki ghar waalo ko ye baat pata nhi thi. Frank ke pitaji ne Frank ko apna credit card de diya tha ye soch kar ki wo uska aache se istemaal karenge aur sirf jarurat ke chiz hi lega lekin Frank iss credit card se sirf ulta sidha samaan karidte aur usse phir bech diya karte the yaha tak ki baad mein inko ek college ka professor bhi bana diya gaya tha, toh aaiyiye iss chor ke baare mein detail mein jaante hai.

Frank ka janam newyork mein 27 April saal 1948 mein hua tha, inhone apna bachpan Bronxville, New York mein bitaya tha. Jab Frank 12 sa ke the tab inke maa aur papa alag ho gaye the aur 3 saal baad inhone talaak le liya tha jiske baad frank apne pita ke sath New York se chale gaye the. Uske baad se hamesha Frank kuch na kuch badmasiya ghar mein kiya karte the unhone ye baat khud boli thi ki jab unka mann chori karne ka hua tha toh unhone sabse paheli chori apne hi ghar mein ki thi wo bhi apne pitaji ko loot kar. Jab ek interview mein frank se unke padhai ke baare mein pucha gaya tha toh unhone bataya tha ki wo New York ke kisi School mein padha karte the lekin jab iski chaan bin hui toh aisa koi record tha hi nhi. Saal 1964 December mein unhone 16 saal ki umar mein United States ke navy mein admission liya tha lekin waha se bhi 3 mahine ke baad unhe nikaal diya gaya tha. Jab Frank waha se wapas aaye toh unhone ek aur chori ki jiske baad unhe jail jana pada tha. Frank hamesha koi na roop badal kar logo ko lootne ke liye chala jata tha aur wo logo ko apne baaton se manwane mein bahut mahir tha, ek baar toh usne khud ko police wala bata kar kisi ke ghar mein ghus gaya tha aur unko ye bola ki hum aapke ghar mein ek choti bachi ko dhundne aaye hai jo kaafi dino se lapatta hai, itna bolte hi wo unke ghar mein ghus gaya tha aur saari kitmti chize waha se lekar faraar ho chuka tha. Jinke ghar mein Frank ne chori ki thi unn logo ne iss par case bhi file ki aur aarop lagaya, agle din jab court mein sunawai hui toh kisi bhi haal mein frank ko pakadne ke liye aadesh diye gaye the.

Saal 1965 mein the federal Bureau of investigation waalo ne Frank ko pakad liya tha jab wo chori kiye huye car se kahi ja raha tha toh waqt usse pakda gaya tha lekin isme jada bhumika TV ke ek add ne nibhayi thi kyuki ussi mein frank ke chehre ko baar baar dikhaya ja raha tha jiske wajah se Frank pakda gaya tha. Lekin jab sabut pesh karne ke liye bola gaya toh chori ke koi sabut nhi hone par unko chor diya gaya tha jiske baad se Frank kuch waqt ke liye choti moti choriyan karne lage the. Frank hamesha khud ki kai saare bank mein account kholwa kar rakhta tha taaki usse pakadna muskil ho jab bhi police usse pakadne ke liye uske Bank se madad leti thi unko mayusi ke alwa kuch bhi nhi milta tha . Wo choti moti choriyan karke thak chuka tha toh usne ab ye plan banaya tha ki wo ab bade bade choriyan karege uske baad wo kabhi khud ko police bana leta toh kabhi enginner ya kabhi doctor bann kar logo ko lootta tha. Yaha tak ki jab Frank ka mann puri duniya free mein ghumne ka hua toh usne apni fake visa aur ticket banayi aur takriban 26 desho ki yatra isne free mein kar daali thi. Lekin ye iss tarah ki harkate jada din tak nhi kar paya aur pakda gaya jiske baad isse 12 saal ke liye jail mein daal diya gaya tha. Lekin uske baad bhi iski kismat aachi thi pata nhi kaise isne aisa kya kiya jiske wajah se isse 5 saal se bhi kam ki saja ke baad isse chor diya gaya tha.

Uske baad unhone apni image ko aachi karne ke liye wo saare kaam chor diye aur ek college ke professor bann gaye wo bhi chotey motey college ke nhi America ke bade college mei aur jo subject inko diya gaya hai wo kabiley taarif hai aur wo subject hai Prevention of Fraud. Yeh kahani ho sakhti hai aane waali movie Dhoom 4 ki jisme ek shatir chor professor bann kar aachi life jee raha hai .Aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Sultan 2 , Salman Khan Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

sultan2

टोक्यो ओलंपिक में पहलवान रवि दहिया ने भारत का तिरंगा लहरा दिया है. उन्होंने सेमीफाइनल में कजाखिस्तान के पहलवान को शिकस्त देकर फाइनल में जगह

Read More »
Jawan ,bollygradstudioz.com

Jawan

ब्रिगेडियर उसमान ने अपना भरोसा दिलाते हुए बटवारे के बाद कोट पर जीत हासिल की. इधर 6 फरवरी को सुबह 6 बजकर 40 मिनट पर

Read More »
Dabangg 4,Salman Khan,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Dabangg 4

दबंग फिल्म के रिलीज होते ही उसने पहले ही दिन 51 करोड़ कमा लिए थे वो भी सिंगल स्क्रीन से। जब फिल्म को मल्टीप्लेक्स स्क्रीन

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​