Krrish-3 me jaisa ki humne dekha ki Rohit Mehra ek aisi device pe research kar raha tha, jo dead tissues ko solar energy ki madad se dobara zinda karne ki taakat rakhta hai. Aisa hi kuch, ab America ke scientists bhi karne jaa rahe hai. Ji haa! America ke cryonicists ka maan’na hai ki woh dead bodies ko preserve kar rahe hai, iss umeed me ki aage jaakar technology badhegi aur woh unn bodies ko waapas zinda kar paayenge. “Cryonics” ka matlab hota hai dead bodies ko low temperature pe freez karna. Wahi Cryonicists woh hote hai, jo cryonics method pe research karte hai. Waise toh duniya me aise kayi saare maamle aaye hai, jinme purn-janam ki baatein saamne aayi hai. Lekin kabhi kisi ne yeh socha hai ki ek insaan ke marne ke kuch saalon baad woh ussi body me waapas zinda ho sakta hai. Jaahir hai, abhi inn baaton ka sense nahi ban raha, lekin American scientists ka maan’na hai ki aisa hona ab mumkin hai. Issi kaaran pichle kuch decades se log apni dead bodies ko, cryonic tank me preserve karwa rahe hai. Inn logon ko umeed hai ki, woh ek din jarur waapas zinda honge. Iss baat ko samjhne se pehle hum jaante hai ki, aakhir insaan ki body kaise function karti hai.
Human bodies ki agar hum baat kare, toh yeh biological process pe based hoti hai. Wahi humare cell ke andar kayi tarah ke chemical reactions hote hai, jisme “ATP” naam ki energy ka hona bahut jaruri hota hai. Humare body ke andar maujood cell “ATP” energy ka istemaal body ki growth, repair aur reproduction me karti hai. Halanki jab human body “Entropy” ke kaaran kamzor ho jaati hai. Isse humari body kamzor hokar kaam karna band kar deti hai aur insaan ki maut ho jaati hai. Aise me scientist ko human cell pe kaam karna hoga, kyunki issi ke kamzor padne se insaan ki maut hoti hai. Waise toh duniya me kaafi scientific reserves kiye gaye hai, lekin abhi tak aisi koi technology invent nhi hui hai, jo Insaan ko zinda karne ki taakat rakhti hai, Lekin American Cryonicists ka kehna hai ki aage jaakar aisi technology jarur aayegi, jo human bodies ko dobaara zinda kar degi. Issi umeed me kayi log marne ke baad apni body ko preserve karwa rahe hai. Inhi me se ek 2 saal ki ladki bhi hai. Ji haa! Thailand ki Matheryn(मैथरीन) ko brain cancer tha. Matheryn ke maata-pita dono doctor the, jinhone Matheryn ke brain ki bahut surgeries karwayi, lekin kuch bhi kaam nahi aaya. Issi kaaran Matheryn ke maata-pita ne, 2015 me uski maut ke baad uski body ko cryonic tank me preserve karwa diya. Issi ke saath Matheryn 2 saal ki sabse youngest ladki ban gayi hai, jiski body ko preserve kiya gaya hai. Isse pehle 199 aur log apni bodies ko preserve karwa chuke hai. Cryonic tank me nitrogen gas bhari hua hai, jo human cells ko preserve karne me madad karta hai. Kayi log, jinki cancer aur dusri khatarnaak bimaariyo ke kaaran bahut hi choti umar me maut ho chuki hai, unhone Cryonic facility ko aashirwaad ke roop me dekha hai, jo unhe dobara zinda hone aur apni zindagi jeene ki chaah deti hai. Insaan ke marne ke baad, cryo-preservation shuru kiya jaata hai. Iss process me dead bodies se blood aur dusre fluids ko hata diya jaata hai aur use ek aise chemical se replace kiya jaata hai, jo damage karne waali ice crystal ko body me form hone se bachati hai. Asal me dead bodies ko nitrogen gas me rakha gaya hai, jisme fluids ka ice banna aam baat hai. Issi kaaran ise rokne ke liye scientists body se blood ko kisi chemical se replace kar dete hai. Iske baad bodies ko cryonic tank me preserve kar diya jaata hai. Wahi iss method ko istemaal karna kaafi jyada costly bhi pad sakta hai. Ek insaan ke body ko preserve karne ke liye 200,000 dollars dena padta hai. Wahi akele brain ko preserve karne ke liye 80,000 dollars dena hota hai. Kayi log jo future ki trip lena chahte hai, woh log bhi apni bodies ko marne ke baad, iss method ke through preserve kar rahe hai.
Wahi aisi technology ka istemaal Krish-4 me ho sakta hai, jisme dobara zinda huye insaan Krish ke naye dushman ka kirdaar nibha sakte hai.
Toh yeh thi aaj ki kahani, agar aapko yeh video pasand aaya ho, toh ise like karna naa bhule. Dhanyawaad
The End
Ganpath-
तो Most awaited फिल्म गणपत पार्ट 1 को लेकर इस अंदाज में गणपत यानी actor टाइगर श्रॉफ ने हमें कबकी खुशखबरी दे दी