Tridev 2

90 ka dasak bihar mein apradh ka aisa bolbala tha ki logo ko sadko par bahar nikalte huye bhi dar lagta tha, logo ko hamesha lagta ki agar wo bahar nikle aur unke sath kuch galat ho gaya toh kyuki ki lootpaat, maarpit, jhagda, apharan, rangdaari, hatya jaisi ghatnaaye waha ek dum aam baat thi aur Bihar ki issi criminal background mein dehsat aur darr ka ek naam badi teji se ubhar raha tha aur wo naam tha Mohammad Shahbuddin ka, jiske aane se bihar mein darr ka mahol aur teji se phel raha tha. Lalu Prasad Yadav ke behad karibi rahe Mohammad Shahabuddin ke naam ek waqt par bihar mein aisa darr tha ki aam janta toh chhodo bade neta, adhikaari, police sab unse darte the. Kaha jata hai ki Shahabuddin ki marji ke bina Bihar ke Siwan gille mein toh patta tak nhi hil sakhta tha aur kuch bhi karne se pahele Shahabuddin se permission leni padti thi. Siwan ke saheb ka naam diya tha Siwan ke logo ne Shahabuddin ko, Mohammad Shahabuddin ka janam 10 May saal 1967 ko Siwan ke Pratappur mein hua tha . Siwan ke school mein hi apni padhai puri karne ke baad unhone political science mein apni graduation ki thi aur college ke dino se hi Shahabuddin ka naam apradh se judne laga tha, saal 1986 mein jab wo 19 saal ke the toh unke upar pehla criminal mamla darz hua tha . Shahabuddin ke liye toh crime ki ye shuruaat thi iske baad toh wo ek ke baad ek khaufnaak waardaatoh ko anjaam dete rahe , kai maamle Shahabuddin par darz hone lage yaha tak ki unhe history sheeter tak ghosit kar diya gaya tha. Jab apradho ki list badhne lagi toh Shahabuddin ne Raajniti ka daaman thaamne ka mann bana liya tha, saal 1985 ke chunav mein jirdohi seat se Shahabuddin ne independent hokar chunav lada aur jeet hasil ki, bas kiya tha shuruaat ho chuki thi ek shaatir apradhi ki rajniti se judne ki . Iske baad toh crime ke sath sath rajniti mein bhi iss bahubali ka graph badhta chala gaya tha . Siwan ka ye don dheere dheere purey Bihar mein famous hone laga, logo mein Shahabuddin ka itna darr tha ki koi unke khilaaf kuch bhi kehna nhi chahta tha aur issi dauran Shahabuddin Lalu yadav ke karib aa paaya tha. Shahabuddin ne saal 1995 mein janta dal ki seat par vidhansabha election lada aur jeet hasil ki iske turant baad saal 1996 mein Shahabuddin ko loksabha ka ticket bhi de diya gaya tha aur paheli baar siwan ka saheb Sansad tak pahucha tha. Saal 1997 mein RJD bani aur Lalu yadav ki sarkar aayi toh Shahabuddin ka kadd aur badh gaya aur sath hi badh gayi uski gundagardi. Saal 1999 mein Bihar ke vaamapanthee neta chota Shukla ka apharan hota tha aur phir hatya ho jaati thi, iss apharan aur hatya ka aarop Shahabuddin par lagta tha lekin police unke girebaan par hanth daalne ki himmat tak nhi karti thi. Haalaki baad mein iss maamle mein Shahabuddin ko umar kaid ki saja sunai gayi thi aur wo lambe samaye tak jail mein band the.
16 March saal 2001 ko local police RJD unit ke president par ek warrant ka execution kar diya gaya tha lekin jab ye baad Shahabuddin ne virodh kiya aur giraftaari adhikaari Sanjeev kumar ko thappad maara toh unke logo ne police waalo ki khub pitai kar di thi. Police ne phir se taakat jutaai aur Shahabuddin ke ghar par ek ghamasan ladai shuru ho gayi thi jisme uttar pradesh ke sath sath aaspaas ke aur police waalo se madad maangi gayi thi. Saal 2004 tak Shahabuddin ki aaprad ki sima paar kar gayi toh unhone ab logo ko acid se maarna shuru kar diya tha jiske liye unko jail mein daal diya gaya tha phir bhi wo chahte the ki unka dabdaba bana rahe isliye saal 2009 mein court ne iss bahubali neta ke chunav ladne par bhi rok laga diya tha, baad mein Shahabuddin ne apni patni Heena Sahaab ko chunav ladwaya lekin Heena ko iss chunav mein haar ka saamna karna pada tha. Saal 2014 mein unhone phir se chunav lada lekin iss baar bhi unko haar hi haanth lagi. Issi bich double murder case mein supreme court ne Shahabuddin ki umarkaid ki saja ko barkarar rakha gaya aur Delhi ke tihaad jail mein daal diya gaya tha. Covid ki wajah se unki tabiyat kaafi kharab ho gayi thi unhe private hospital mein admit kiya gaya tha lekin wahi inki maut bhi ho gayi thi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Tridev 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Karan Arjun 2

Punarjanam ko lekar kai saare dawe kiye jaate hai lekin unn dawo mein kai aise dawe hai jo sach nikalte hai aur jab iske baare

Read More »
Beta 2 , Anil Kapoor, Madhuri Dixit,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Beta 2

The family entertainer, कहलाई जाने वाली साल 1992 की जबरदस्त फिल्म बेटा आज भी ऑडियंस को याद है। पर क्या आपको पता है कि इस

Read More »

Sholay 2

कोई भी फिल्म यूंही हिट या ब्लॉकबस्टर नहीं बन जाती है उसे पहले बहुत सारे मुस्किलो से गुजरना पड़ता है तब जा कर उसे सिनेमा

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected