Soldier 2

Kuch ladke milkar ek gaon mein Kabaddi khel rahe hote hai, tabhi achanak do ladko ke beech ladayi ho jaati hai. Baaki ke ladke un dono ladko ki ladayi rokte hai, jiske baad Karam Singh naam ka ladka gusse mein vaapas apne ghar aa jaata hai. Ghar aane ke baad uski or uske kapdo ki haalat dekhkar uski maa samajh jaati hai ki Karam Aaj firse ladayi karke aaya hai. Karam Singh ki maa use kehti hai ki “ tu itna bada ho gaya hai or abhi tak galiyon mein ladta jhagdata rehta hai, kuch kaam dhandha kyu nhi kar leta?”. Karam kehta hai ki “ maa galti meri nhi thi, usne mujhe bura bhala bola tha, to mein kya karta mujhe gussa aa gaya”.

Tabhi vahan par Karam ke mamaji aa jaate hai, jo fauj se retired the, vo Karam se kehte hai “ to fir apna ye guss kahi sahi jagah nikaal, fauj join karle or desh dushmano par apna gussa utaar”. Ye baat sunkar Karam ki maa kehti hai ki “ mein apne bete ko fauj mein nhi jaane dungi, usme bohot khatra hai”. Tab Karam kehta hai ki “ maa agar har maa tere jaisa sochegi, to iss desh ki suraksha kaun karega? or agar mujhe kuch ho bhi jaata hai to tere pass tere bki teen bete hai”. Karam apni maa ko mana leta hai or vo British Indian Army ko join kar leta hai. Karam Singh ko British Indian Army ki 1 Sikh regiment mein commissioned kar diya jaata hai.

Training khatam hote hi Karam Singh ko World War 2 ki ladayi mein Burma bhej diya jata hai, jahan par Karam Singh kaafi bahaduri ke sath ladta hai. Burma ki ladai mein bahaduri dikhaane ke liye Karam Singh ko Military medal se bhi sammanit kiya jata hai. Burma se aane ke kuch saal baad hi Bharat ko British sarkar se azaadi milti hai, or Karam Singh Indian Army mein Lance Naik ban jata hai.

Azaadi ke turant baad hi Pakistani army ne kabaliyo  ke sath milkar Kashmir par kabja karne ki niyat se hamlaa kar diya jata hai. Iss hamle ke jawaab mein Indian Army bhi Kashmir mein apne troops ko deploy kar deti hai. Yudh ki shuruaat mein Pakistani army kabaliyo ke sath milkar bhartiya Seema mein Tithwal gaon ke saath kai गांवों par kabja kar leti haih. Kupwara sector mein Line of control par stith Tithwal gaon strategically kaafi import hota hai, isliye Indian Army jawaabi hamlaa karke Tithwal gaon ko apne kabje me le leti hai, Lekin dushman iss area par dobara kabja karne ke liye hamle karna shuru kar deta hai, kyunki Tithwal ki ladai ladte ladte kayi mahine gujar jate hai, isliye 13 October ke din Pakistani army Kabaliyo ke sath milkar Tithwal gaon par kabja karne ke liye bade paimaane par hamle karna shuru kar deti hai.

Lance Naik Karam Singh ko 1 Sikh regiment ki ek company ki command di jati hai, or unhe Tithwal bridge par deploy kiya jata hai. Lagatar Pakistani golibaari mein Karam Singh ghayal hote huye bhi saahas nhi khote or apne ghayal soldiers ki madad karte hai. Ladai ke dauraan Karam Singh apne aap ko dushman ki golibaari mein expose karte huye ek post se dusri post par jaate hai or apne soldiers ka moral boost karte hai. Dushman ki kai goliyaan lagne ke baavjood Lance Naik Karam Singh medical help ke liye jaane se mna kar dete hai or front mein rehkar dushman se ladte hai.

Karam Singh saamne se aa rahe dushmano par lagatar firing karte jaate hai or saath mein grenades bhi fenkte hai. Pakistani ruk ruk kar hamlaa karte hai. Dushman ki taraf se paanchve hamle ke dauraan do Pakistani soldiers Lance Naik Karam Singh ke pass aa jate hai. Mauka dekhte hi Karam Singh un dono Pakistani soldiers ke upar kood padte hai, apni rifle mein lage chaaku  se un dono Pakistani soldiers ko maar dalte hai. Iske baad dushman Karam Singh ki company par teen baar or hamlaa krte hai, lekin Karam Singh dushman ke sabhi hamlo ko nakaam kar dete hai or dushman ko peeche hata dete hai.

Tithwal ke Yudh mein dushman ne ek din mein 8 baar hamlaa krta hai, lekin Karam Singh har baar use nakaam karte hai. Yudh khatam hone ke baad Lance Naik Karam Singh ko unki Bravery ke liye Paramveer Chakra se sammanit kiya jata hai.

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

SOLDIER 2

Soldier – 2

Major Sunny achee se jaante the ki operation ki safalta ko 100 percent sure karne ka ek hi raasta hai, strike ki date ko postpone

Read More »
gadar 2

Gadar 2

आज तक हमने सनी देओल और बॉबी देओल को एक साथ देखा है की सारी फिल्मों में, लेकिन जो कभी नहीं हुआ वो अब होगा।

Read More »
Karan Arjun 2,Salman Khan and Shah Rukh Khan, bollygradstudioz.com

Karan Arjun 2

Purnima jo ki Sri Lanka ki ek choti si ladhki thi, usse apni purani zindagi ke baare mein 3 saal ki umar se yaad aane

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected