Tridev 2

Dharam pal Singh ek aise neta hai jinhone jeb mein ek phuti kaudi nhi hotey huye bhi sapne bahut bade bade dekh rakhe the jinko unhone pura bhi kiya lekin kuch sahi raste par chal kar toh kabhi apradh ke raste chal kar. Dharam pal Yadav ka janam 25 july saal 1948 ko gilla Bulandshahar ke ek chote se gaaon Sarfabad mein hua tha. Sarfabad gaaon ab Noida mein aata hai, aur Dharam pal Yadav 7 bhai aur 3 behen hai. Dharam pal Yadav ke pita ji ek aam insaan the jo apne ghar ko chalane ke liye dairy farm mein kaam kiya karte the, ghar mein paiso ki kami ki wajah se inhone aache se padhai bhi nhi lekin jaise taise muskilo ko jhelte huye inhone graduation complete kar li thi. Jurm ki duniya mein DP yadav kabhi bhi nhi aana chahte the lekin unko unke halat aur kuch logo ne unhe jurm ke raste par chalne ke liye majbur kar diya tha, aur wo jisse inn sab ka jemedaar maante the wo hai samaj ke kog aur unki situations. Dharam pal Yadav ne apni ek interview mein kaha tha ki mujhe Dharam pal Yadav se Dp yadav kar diya gaya aur ye karne waale kon hai hamare samaj ke hi log. Bhale hi aaj Dharam pal Yadav khud ke halaat ke liye logo ko doshi theraate hai lekin daulat aur rajniti ke liye unhone aprad ka sahara liya tha, illegal sharaab ke dhande mein doob chuke DP yadav ke hi ek theke ki jehrili sharaab pikar haryana mein karib 350 logo ki maut ho gayi thi, aur ye ghatna saal 1990 ke shuruaat mein hui thi lekin uss waqt tak DP yadav par koi bhi case file nhi hua tha aur iska kaaran tha unki rajniti mein pahuche.

DP Yadav ka rajniti mein aane ka maksad yahi tha ki wo apne kaale kaamo se bach sake aur usse jitna ho sake utna phaila sake. 80 ke dasak mein congress ke Balram Singh yadav ne DP ko gaziabad gille mein congress warg ka president bana diya tha jiska asli maja DP yadav utha rahe the, lekin daadri ke president Mahendra Singh bhati unko puri tarah se rajniti mein laaye. DP yadav bisrakh se block head bane wo bhi jaati ke aadhar par, dheere dheere DP yadav ne samajwaadi party ke mukhiya Mulayam Singh Yadav se apni dosti badhai aur Safaa ka daaman thaam liya tha . Party banne ke baad mulayam singh yadav ko dhani logo ki jarurat thi aur DP yadav ko munch chahiye tha jiske wajah se mulayam aur DP yadav ki mulakaat turant ho gayi jiske baad unhone har wo chiz try ki jisse unki dosti strong hote rahe. Safaa ki cycle par sawar DP yadav ne paheli baar saal 1989 mein vidhansabha ka chunav jeeta aur mulayam ki sarkaar mein wo rajya mantri bann gaye the. Saal 1991 aur 1993 mein bhi wo vidhayak rahe, jiske baad unhone rajniti aur bahubali image ke wajah se unka naam aur badhta chala gaya jiske khilaaf aapradhik maamlo ki file ek ek kar kam hote chale gaye the. DP yadav ne rajniti aur shauhrat ke sath- ganth ke sahare case ki files jo daba diya tha lekin wo kehte hai na ki kanoon ke hanth lambe hotey hai aur uske girafth se apradhi bach nhi pata hai. DP yadav ko saal 1992 mein ex vidhayak Mahendra Singh bhati ke aarop mein 23 saal ke baad inhe saja sunai gayi. Mahendra Singh bhati aur DP yadav dono bahut karibi dost the,bhati ne saal 1991 mein bulandshahar vidhansabha seat se DP yadav ko janta dal ka ticket bhi dilwaya tha . Yadav ko vidhayak banwaane ke liye bhati ne pura jor laga diya tha lekin DP satta mein majbut dawedaari ke liye Mahendra bhati se alag hokar mulayam ke side mein chala gaya tha. Chief minister Kalyan Singh ke BJP shashan ke dauran DP yadav ko giraftaar kiya gaya tha aur unn par Guru bhati ki hatya ka aarop bhi lagaya gaya tha jo saal 1992 mein daadri ke president the. March saal 2015 mein DP yadav ko Mahendra Singh bhati murder mein aajeeevan karawash ki saja sunai gayi thi aur dehradun jail mein daal diya gaya tha lekin jab saal 2021 mein daadri hatya case mein high court ne unhe bari kar diya tha sabut na milne ke wajah se jiske baad wo abhi politics mein apni party ko lekar hamesha busy hi najar aate hai. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Tridev 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

 

 

 

Chandan Pandit

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Mr. India 2

Mr. India 2

मिस्टर इंडिया फिल्म को पूरी तरह शूट करने में लग भग 350 दिन लग गए थे। मिस्टर इंडिया को देर से शूट करने का कारण

Read More »

Hera pheri 3

Sonu नया नया robber बना है और, जिसने अपने दिमाग में Robbery करने का full proof plan बना रखा था। अपने हाथ में एक pistol

Read More »
Gadar 3

Gadar 3

आख़िरकार इतने दिनों के इंतज़ार के बाद फ़िल्म गदर 2 को रिलीज़ कर ही दिया गया। लेकिन एक्टर सनी देओल ने audience को impress करने

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected